Ek moja e sehba e junoon taiz bohat hay
ek saans ka shisha hay keh labraiz bohat hay
Kuch dil ka lahoo pi ke bhi faslen hoin shadab
kuch yon bhi zameen gaon ki zarkhaiz bohat hay
palkon pe charaghon ki sanbhalay howay rakhna
is hijr kay maosam ki hawa taiz bohay hay
Bolay to sahi, jhoot hi bolay woh balasay
zalim ka lab o lehja dil aawaiz bohat hay
Kiya us kay khid o khal khulen apni ghazal mein
woh sheher kay logon mein kam aamaiz bohat hay
Mohsin usay milna hay to dukhnay do ye aankhen
kuch aur bhi jago keh woh shab khaiz bohat hay