Fazail Namaz....Ahdees Collection.

  • Work-from-home

sniper

Newbie
May 27, 2007
17
5
0
124
Assalamoalikum
Umeed hay app sab ahbaab ba khairo afiyath hongay Ajj say may inshaAllah namaz say muutalik FAZAIL pay muushtamil ahadees yahan share kerna start ker raha hoon jis ko koshish ker k roz update kiya karon ga. Souce hay Hazrat Shaikh ul Hadees Molana Mohammed Zikriya Kandhalvi Sahab(ra) ki mashoor zamana Kitab FAZAIL AMAAL....

Allah say dua hay k humay amaal kernay ki taufeek day aur saat saat deen ki mehnat ko poori duniya may layker phirnay wala bana day ameeen.


Wasalam

Ather
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

sniper

Newbie
May 27, 2007
17
5
0
124
Hadees No-1

Hazrat Abdullah Bin Umer(ra) Hazoor(saw) ka irshaad naqal kertay hain kay Islam ki buniyaad 5 saatoono pay hay sab say awal Kalima "La ila ha ill lal lah Mohammed ur raso lol lah ki gawahee dayna yani Allah k seewa koi ibadat k laiq nahi aur Mohammed (saW) Allah k baanday aur Rasool hain, iss k bad NAMAz qaim kerna, Zakaat ada kerna, Haaj kerna aur Ramzan k rozay rakhna.
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
Wsalam
we are glad to have you here.... Allah aap ko Sari Hadees share karne or forward karne ka sawab pohcahe .. Ameeeen... but meri aap se ek request hai k please... apna introduction zaroor kar dein

chillparadise > General > Introduce ur self

Thankzz
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
Sniper buhat achay kam ko kerney ka ap ney socha hai or yaqeenun i hope k jub hum itni khushi mehsoos ker raahay hain is kam may to amal kerney walay ko bhi is kam may khushi mehsoos kerni chahiyay..
Well ALLAH hum sab ko tofeeq dein k hum younhi naiki k kamkartay rahain or Islam phelanay may her mumkin koshish karain AMEEN.
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

sniper

Newbie
May 27, 2007
17
5
0
124
Hadees-2

Hazrat Abu Zaar(ra) fermatay hain kay Aik Martaba Hazoor(saw) saardi k moosam may bahar tashreef laey aur paat'tay(leafs) daarakhtoo'n (trees) pay say geer rahay thaay App(saW) nay aik darakht ki tehni haat may li uss k paat tay aur bhi geernay lagay App(saw nay fermaya jab musalman banda ikhlaas k saat Allah k liya NAMAZ perhta hay tau uss k gunah aisay he gertay hain jaisay ya paat tay daarakht say geer rahay hain
 

sniper

Newbie
May 27, 2007
17
5
0
124
DON, UNIQUE STYLE, RED ROSE....................JazakAllah to al lof you for appreciation.
 

sniper

Newbie
May 27, 2007
17
5
0
124
Hadees-3

Abu Usman(ra) kehtay hain kay may Hazrat Salman(ra) k saat aik daarakt(tre) k neechay thaa unho nay uss darakht ki aik khooshk tehni(Stem) pakar ker us ko herkat de jis say uss k paat tay(leafs) geer gaey, phir mujah say kehnay lagay k Abu Usman(ra) tum nay mujah say ya na poocha k may nay aisa kion kiya, may nay kaha k bata deejiya kion kiya unho nay kaha k may aik maartaba App(saw) k saat aik darakht(tree) k neechay thaa App(saw) nay bhi darakht ki aik khooshk tehni pakar ker isi tarah kiya jis say uss tehni k pattay jhaar gaey thaay phir App(saw) nay irshad fermaya thaa k Salman(ra) poochtay nahi kay may nay iss tarah kion kiya may nay arz kiya k bata deejiya kion kiya, App(saw) nay irshaad fermaya k jab musalman achi tarah wazoo kerta hay phir 5 waqt ki namazayn perhta hay tau us ki khaataeyn aisay he ger jati hain jis tarah ya paattay geertay hain, phir App(saW) nay Quran ki Ayat AKIMIS SALAH ..TARA FENNEEHAR tak talawat fermaey jis ka taarjooma ya hay k QAIM KER NAMAZ KO DIN K DOONO SEERO'N MAY AUR RAAT K KOCH HEESO'N MAY BAYSHAK NAIKIYAN DUUR KERDAYTI HAIN GUNAHOO'N KO YA NAEEHAT HAY NASEEHAT MAAN NAY WALOO'N K LIYA..
 

sniper

Newbie
May 27, 2007
17
5
0
124
Hadees-4

Hazrat Abu Horaira(ra) Hazoor(saw) say naqal kertay hain kay App(saw) nay aik maartaba irshad fermaya k batao agar kisi insan k darwazay per aik nayhaar(stream) jaari ho jis may woh 5 maartaba rozana Ghusal kerta hoo, Kia uss k badan per koi mail baki rahay ga. Sahaba(ra) nay arz kiya k koch bhi baki nai rahay ga App(saw) nay fermaya k yahi haal 5 namazoo'n ka hay k Allah un ki waja say gunahoo'n ko zail ferma daytay hain....

Hazrat Jabir(ra) Hazoor(saw) ka irshaad nakal fermatay haon k 5 namazo'n ki meesal aisi hay k kisi k derwazay per aik nayhar jari ho jis ka pani gehra ho, iss may rozana 5 maartaba ghosal karay...
 

sniper

Newbie
May 27, 2007
17
5
0
124
Hadees-5

Hazrat Huzaifa(ra) Irshad fermatay hain k App(saw) ko jab koi muskil ammaar paish ata tau app forrun namaz ki taraf mootawajja hotay thaay.

App(saW) ka irshaad hay k jab koi hadsa(accident) daikho tau saajday may mashghool hojao.
 

sniper

Newbie
May 27, 2007
17
5
0
124
Hadees-6


Abu Muslim Kehtay hain k may Hazrat Abu Umama(ra) ki khidmaat may hazir howa woh masjid may tshreef ferma thaay, may nay aarz kiya k mujhay say aik sahab nay ap ki taraf say ya hadees naqal ki hay k App nay Hazoor(saw) ay ya irshad suna hay jo shaks achi tarah wazoo karay aur phir farz namaz perhay tau Haq Tala Shanaho uss din jo gunah chalnay say howay hon, ar woh gunah jo uss k haat nay kiya hoon, ar woh gunah jo uss k kaano say sadeer howay hoon aur woh gunah jin ko us ki ankhoon say kya ho aur woh gunah jo uss k dil may paida howay hon sab ko maaf ferma daytay hain. Hazrat Abu Umama(ra) nay fermaya k may nay mazmoon App(saw say kaey dafa suuna hay...​
 
Top