Four Lines Poetry Collection :)

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Ghanney darakht ke neechey sulaa ke chorr geya,
Ajeeb shakhss tha sapney dikhaa ke chorr geya,
Yeh ujrra hua ghar to usi aik ki nishaani hai,
Jo apne naam ki takhti* lagaa ke chorr geya..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Ek ajeeb sa manzar nazar aata hai,
Har ek qatra samandar nazara aata hai,
Kahan banaaon main ghar sheeshey se,
Har kisi ke hath mein pathar nazar aata hai..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Abhi bahaar baaqi hai chaman mein,
Abhi shaakh se phool torna theek nahin,
Abhi sheher ke logon ko zarurat hai roshni ki,
Abhi hawaaon ka rukh morrna theek nahin..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Abhi to shikaytain hain dil badnaseeb se,
Ik din kisi ko dekh liya tha qareeb se,
Us ke baghair bhi wohi hai zindagi ka daur,
Halaat-e-zindagi bhi hain ajeeb se..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Ek Ajnabi Hai Magar, Rooh Shanas Lagta Hai,
Meri Tarha Mujhe Wo Bhi Udaas Lagta Hai,
Karu’n Talash Toh Ho Shaq Wajood Par Usky,
Jo Aankhein Band Karun Toh Aas Paas Lagta Hai..!!!
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Phir Aaj Koi Gazal Tere Naam Na Ho Jaye !!
Kahin Likhte Likhte Shaam Na Ho Jaye !!
Kar Rahe Hain Intezaar Teri Mohabbat Ka !!
Isi Intezaar Me Zindagi Tamam Na Ho Jaye !!
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Ek Muddat Se Mere Haal Se Begana Hai,
Jane Zalim Ne Kis Baat Ka Bura Mana Hai,
Mein Jo Ziddi Hoon Tu Wo Bhi Hai Ana Ka Qaidi,
Mere Kehne Per Kahan Us Ne Chale Aa Na Hai..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Ek Muddat Se Mere Haal Se Begana Hai,
Jane Zalim Ne Kis Baat Ka Bura Mana Hai,
Mein Jo Ziddi Hoon Tu Wo Bhi Hai Ana Ka Qaidi,
Mere Kehne Per Kahan Us Ne Chale Aa Na Hai..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Saari umar tumko pyar mile,
Jo dil mai hy woh hazaar baar milay,
Bichar jate hyn milnay k bad bhi kuch log.
Jo kbi na bichre aisa tumko pyar mile..!
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Main ne us se bas itna hi puchha tha ki,
ek pal mein.. kiisi ki jaan kaise nikal jati hai,
Us Ne Chalte Chalte Apna Haath Mere,
Haath Se Chhura Liya………
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Jo baat munasib hai woh hasil nahi karte
Jo apni giraah me hai woh kho bhi rahe hain
Be ilm bhi humlog hain ghaflat bhi hai taari
Afsos ke andhe bhi hain aur so bhi rahe hain
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Har chand sitare me tere tasveer nazar ayi
Phir is tanha raat me teri yaad chali ayi
Door tujhse rehkar ye saans tham chuki thi
Jo kanhin naam tera aaya to saans chali ayi.
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Salon bad najane kia sama hoga,
Hm sb doston me se najane kon kha hoga,
Phr milna hua to milenge khuwabo me,
Jese sukhe gulab milte hain kitabon me!
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Unse milne ko jo sochon ab wo zamana nhi
Ghar bhi kaise jaun ab to koi bahana nahi,,
Mujhe yaad rakhna kahi tum bhola na dena
Mana ke barson se teri gali me anajana nhi,,
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Dard Jeet Jata Hai..
Log Milty Julty Hain..
Sath Sath Chalty Hain..
Sath Sath Chalne Main..
Ranjishein Bi Hoti Hain..
Ranjishon Main Bi Lekin..
Chahatein Bi Hoti Hain..
Chahaton Ki Bi Har Pal..
Ik Ajab Kahani Hai..
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Duniya aik ajab saraye-faani* dekhi
Har cheez yahan ki aani jaani dekhi.
Jo aakay na jaaye woh burhapa dekhaa.
Jo jakay na aaye ..woh jawaani dekhi.
 
Top