Funny Poetry Collection!

  • Work-from-home

Bird-Of-Paradise

TM ki Birdie
VIP
Aug 31, 2013
23,935
11,040
1,313
ώόήȡέŕĻάήȡ
Ishq Ke Medan Mein Dore To Nahi Thay
Ab Bi Gadhe Ho Pehle Bi Ghore Tu Nahi Thay
Office Be Lait Aye Ho Aur Kaan Bi Hai Laal
Begham Ne Raat Ko Kaan Marore Tu Nahi Thay
Shakyat Kun Ki Apne Baap Se Ja Kar
Pakre Thay Hath Tere Tore Tu Nahi Thay
Kal Shaam Muje Dekh Kar Tum Bhage Kun Is Tarah
Saghar Ke Hath Mein Koi Rore Tu Nahi Thay
 

Bird-Of-Paradise

TM ki Birdie
VIP
Aug 31, 2013
23,935
11,040
1,313
ώόήȡέŕĻάήȡ
Hoti Hai Teacheron Se Ptai Kabi Kabi
Aate Hain Din Ko Taare Dikhai Kabi Kabi

Har Roz Eid Neest Ke Halwa Khord Kise
Milti Hai Dekhne Ko Karahi Kabi Kabi

Ye Chota Gosht Ab Apni Qismat Mein Kahan
Karte Hain Zibah Bakri Qasai Kabi Kabi

Har Eid Pe Kapre Banat Hun Muft Mein
Deta Hun Darzion Ko Silai Kabi Kabi

Tv Pe Dekhta Hun Cricket Ki Jhalkian
Karta Hun Be Dali Se Parhai Kabi Kabi
 

Bird-Of-Paradise

TM ki Birdie
VIP
Aug 31, 2013
23,935
11,040
1,313
ώόήȡέŕĻάήȡ
Janab Dum Ki Ajab Nafsiat Hoti Hai
Ke Is Ki Jumbash-e Adna Mai Baat Hoti Hai

Wafa Ke Jazbay Ka Izhar Dum Hilana Hai
Jo Dum Khari Hai Wo Nafrat Ka Taziana Hai

Jo Lambi Dum Hai Wo Aali Sifat Hoti Hai
Jo Mukhtasir Hai Bari Wahiat Hoti Hai

Wo Jandar Mukamal Nahi Adhora Hai
Wo Jis Ke Dum Nahi Hoti Hai Wo Landora Hai

Jahan Mai Yun Tu Hai Ooncha Muqam Insan Ka
Magar Landoron Mai Aata Hai Naam Insan Ka

Mai Sochta Hun Jo Insan Ke Dum Lagi Hoti
Kasar Jo Baqi Hai Wo Be Na Reh Gayi Hoti

Wo Apni Jaan Bachane Ko Ye Sapar Leta
Jo Hath Se Nahi Kar Pata Dum Se Kar Leta

Kuch Is Tareqay Se Rad-e Amal Hoa Karta
Guzarti Dil Pe Dum Pe Asar Mila Karta

Khushi Ka Jazba Ubarhta Tu Dum Uchak Jati
Koi Udas Jo Hota Tu Duk Latak Jati

Kisi Pe Dhons Jamata Tu Dum Utha Leta
Kisi Se Dhons Jo Khata Tu Dum Daba Leta

Buzarg Log Jawanon Se Jab Khafa Hote
Zuban Pe Un Ke Ye Alfaz Barmla Hote

Tumhain Khabar Nahi Thi Kesi Aan Baan Ki Dum
Kata Ke Bech Li Tum Ne Tu Khandan Ki Dum

Khain Jo Fateh-e Aazam Koi Khra Hota
Mere Khayal Me Yun Poz De Raha Hota

Bare Gharoor Se Lehra Raha Hai Dum Apni
Bajaye Monchon Ke Sehlaa Raha Hai Dum Apni

Saba Mai Jab Koi Dastoor-e No Bna Karta
Shmar Raye Kuch Is Tarah Se Hoa Karta

Jo Log Is Ke Mwafaq Hai Dum Utha Lain Wo
Jo Log Is Ke Mukhalif Hai Dum Gira Dain Wo

Ameer Logo Ki Dum Main Anghotian Hoti
Anghotion Mai Nageenon Ki Botiyan Hoti

Ghumand Aur Bi Bhar Jata Aur Itrate
Ye Log Jab Ghari Apni Dum Mai Latkate

Haseen Log Kisi Tarah Se Nibah Lete
Na Milta Kuch Tu Faqat Dum Ko Hi Ranga Lete

Jo Muflasi Se Apni Koi Ghlata
Tu Hasaptal Mai Le Ja Ke Dum Kata Aata

Haseen Logo Ki Pholon Se Dum Dhaki Hoti
Ke Phuljari Se Fazaon Mai Chat Rahi Hoti

Dumon Se Phir Qad-e Zeba Kuch Aur Saj Jate
Kahan Ki Zulf Ke Dum Hi Mai Dul Ulaj Jate

Ye Iftikhar Jo Ham Aashiqon Ko Mil Jata
Har Ik Ghuncha Umeed Dil Ko Khul Jata

Kisi Ko Bazam Mai Ham Apna Yun Pta Dete
Bjaye Paon Dbane Ke Dum Daba Dete

Kabi Kamand Ka Jo Kaam Dum Se Ho Jata
Ham Aashiqon Ka Bara Naam Dum Se Ho Jata

Ishara Kar Ke Hmain Dum Wo Apni Latkaate
Ham Un Ke Khothe Pe Dum Ko Pakar Kar Char Jate

Hamari Rah Ka Har Kanta Phol Ho Jaye
Agar Dua Ye Hamari Qabol Ho Jaye

Ke Aadmi Ke Liye Dum Bohat Zrori Hai
Bghair Dum Ke Har Ik Aarzo Landori Hai
 

Bird-Of-Paradise

TM ki Birdie
VIP
Aug 31, 2013
23,935
11,040
1,313
ώόήȡέŕĻάήȡ
Is Tarah Sitane Ki Zrorat Kia Thi
Kmeeni Dil Ko Jalane Ki Zrorat Kia Thi

Jo Nahi Tha Ishq Tu Bhonk Deti
Apni Auqat Dikhane Ki Zrorat Kia Thi

Ma’alom Tha K Ye Khwab Tot Jaye Ga
O Manhos Phir Neend Mai Aane Ki Zrorat Kia Thi

Mal Lo Agar Ye Aik Taraf Mohabat Thi
Tu Phir Chuhi Ke Monh Wali
Muje Dekh Kar Muskrane Ki Zrorat Kia Thi
 

Bird-Of-Paradise

TM ki Birdie
VIP
Aug 31, 2013
23,935
11,040
1,313
ώόήȡέŕĻάήȡ
Tay Ho Gya Hai Masla Jab Intisab Ka
Ab Ye Bi Koi Kam Hai Likhna Kitab Ka
Khaya Hai Sair Ho Ke Khayali Pakao Aj
Pani Phir Is Ke Baad Pya Hai Srab Ka
Dekhi Hai Aik Film Purani Tu Yun Lga
Jese K Koi Kam Kya Hai Sawab Ka
Sugar Na Ho Kisi Bi Muslaman Ko Ae Khuda
Mushkal Sa Ik Sawal hai Ye Bi Hisab Ka
Anwar Mri Nazar Ko Ye Kis Ki Nazar Lagi
Gobi Ka Phol Muj Ko Lage Ha Gulab Ka
 

Bird-Of-Paradise

TM ki Birdie
VIP
Aug 31, 2013
23,935
11,040
1,313
ώόήȡέŕĻάήȡ
Pind Ke Bohar Thale Ham Ishq Laraya karte Thay
Wo Panday Dhone Aati Thi Ham Maj Nhwya Karte Thay

Wo Har Kam Main Agay Thi Ham Har Kaam Main Phari Thay
Wo Sabaq Mqa Ke Bai Jati Ham Pencil Garhia Karte Thay

Jdon Meri Bay Bay Us Ke Ghar Rishta Lain Gyi
Wo College Jaya Karti Thi Ham Daras Main Parhya Karte Thay

Garmiyon Main Sukar Dhupare jadon Ham Amb Par Charia Karte Thay
Munh Suj Prola Hota Tha Jab Demon Larya Karte Thay

Pind Ke Sar Kande Tlay Jab Wo Muj Se Milne Aati Thi
Sheda, Gama, Fazlo, Teefa Muft Main Sarya Karte Thay
 

Bird-Of-Paradise

TM ki Birdie
VIP
Aug 31, 2013
23,935
11,040
1,313
ώόήȡέŕĻάήȡ
Mehboba Se Milne Ka Bra Shoq Tha
Aik Din Likh Dia Khat Us Ko
Bholi Bhali Smaj Na Saki Mere Pyar Ko
De Diya Khat Apne Bhai Mukhtar Ko
Main Ne Darya K Bahut Bari Moj Dekhi
Jab Apne Piche Mukhtyar Ki Foj Dekhi
Logo Ne Kha K Kis Pe Azab Aya Hai
Dil Ne Kha Nas Putar Tere Khat Da Jwab Aya Hai
 

Bird-Of-Paradise

TM ki Birdie
VIP
Aug 31, 2013
23,935
11,040
1,313
ώόήȡέŕĻάήȡ
Be Fazol Si Gal Par Ar Kar Sute Rahe
Dhupe Pye Pye Sar Gaye Sar Kar Sute Rahe

Biwi Ne Dabkya To Wo Gabar Kar
Ghalat Train Par Char Gaye, Char Kar Sute Rahe

Ratain Daku Pend Main Honja Pher Gaye
Pehre Wale Dande Phar Kar Sute Rahe

Digge Thay Asman Se, Aray Khjor Main Ham
Bas Fair Aos Khjor Main Ar kar Sute Rahe

Us Ke Ganje Ghone Sar Ki Yaad Main Ham
Rangle Palang Ka Pawa Phar Kar Sute Rahe

Begam Se Dar Kar Bhage Tu Do Din Tak
Bay Bay Ke Kamray Main War Kar Sute Rahe
 

Bird-Of-Paradise

TM ki Birdie
VIP
Aug 31, 2013
23,935
11,040
1,313
ώόήȡέŕĻάήȡ
Yun Hi Zindagi Ki Rah Mai Takra Gya Koi
Khud Neche Utar Kar Muj Ko Latka Gya Koi

Rasman Hi Mai Ne Poch Lia Kuch Khaye Jnab
Ghar Main Jo Kuch Pka Tha Sab Kha Gya Koi


Wegan Mai Bari Zoor Se Mai Cheekhi
Mere Paon Ko Jab Sendal Se Dba Gya Koi

Muje Bra Mza Aya Kela Khate Hoye
Lekin Afsos Hoya Jab Road Par Phsal Gya Koi

Jab Cheeting Karte Hoye Mai Ne Kisi Ko Pagal Kha
Bari Khushi Se Jab Jhom Utha Koi

Mera Kya Jurm Tha Dost Kamran Ye Tu Bta
Jab CD Ke Bhane Ghar Mai Chla Aya Koi

Wo Aik Lamhe Ka Safar Aaj Bi Yaad Hai Muje
Jab Achanak Dil Ke Khane Mai Bas Gya Koi

Tum Kya Samjo Dil Ki Baat Cousin Mohsin
Anpi Baton Se Dil Mai Jab Utar Gya Koi

Mai Is Qabal Tu Nahi K Koi Muje Ko Chahe
Lekin Bna Poche Muj Ko Chah Gya Koi

Mudat Se Dil K Aangan Mai Load Shedding Thi Hina
Apne Husn Ke Bulb Is Mai Jala Gya Koi
 

Bird-Of-Paradise

TM ki Birdie
VIP
Aug 31, 2013
23,935
11,040
1,313
ώόήȡέŕĻάήȡ
Husn Ki Toop Ka Gola Mara Tera Kakh Na Rahe
Tuj Par Gir Jaye Kutbi Tara Tera Khakh Na Rahe

Banking Counsil Teri Har Shay Karqi Kar Dain
Char Jaye Tuj Par Karza Bhara Tera Kakh Na Rahe

Sardi Andar Nehar Ke Bnay Sari Raat Khlote
Tu Na Ayi Laya Lara Tera Kakh Na Rahe

Dil Ke Chori Ke Alzam Main Police Ka Chapa Par Jaye
Pharya Jaye Tbar Sara Tera Kakh Na Rahe

Sari Ghazal Suna Kar Bi Nahi Sara Dil Ka Mukia
Sada Hai Bas Iko Ae Nara Tera Kakh Na Rahe
 

Bird-Of-Paradise

TM ki Birdie
VIP
Aug 31, 2013
23,935
11,040
1,313
ώόήȡέŕĻάήȡ
Tumhare Pupha, Wo Ganjy Waley, Jo Le Gaye Thay Udhar Kangi
Mahina Hone Ko A Gaya Hai, Na Us Ne Ditti Na Ham Ne Mangi

Wo Wapda Ne Jo Bulb Mota Laga Diya Hai Tumhare Dar Par
Tu Is Ke Chanan Se Tum Se Milne Main A Rahi Hai Shdeed Tangi

Ye Almia Hai K Us Ko Milne Main Jab Kabi Luk Lka Ke Puncha
Tu Us Ki Dadi Damy Ki Mari Hamesha Ae Aos Waqt Khagi

Tu Apni Sari Nasehton Ko Sambhal Ke Rakh Le Pass Apne
Tu Mama Lagta Hai Is Gal Ka, Wo Ham Ko Bheri Lage K Changi

Hmari Qismat Hai Do Take Ki, Ke Shehr Ki Sab Se Mathi Larki
Wo Sare Din Main Hmare Agyon Se Kyi Waran Muskra Ke Langi
 

Bird-Of-Paradise

TM ki Birdie
VIP
Aug 31, 2013
23,935
11,040
1,313
ώόήȡέŕĻάήȡ
Gardan Gardan Hai Aur Pota Pota Ai Hota Hai
Khra Hamesha Khra Hai, Khota Khota Ai Hota Hai
Naye Nzam Ki Barkein Sunte Umar Guzar Gyi Sari
Wada Har Tha Wada, Chota chota Hi Hota Hai

Luche Ko Samjaya Pyar Se, Sifr Nteeja Nikla
Ham Ye Azmaya, Sota Sota Ai Hota Hai

Pehle Odhron, Fir Idhron Ab Fir Khra Hai Odhron
Public Tang Hai Lekin Lota Lota Ai Hota Hai
 
Top