Ghaltiyan

  • Work-from-home

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Ghaltiyan aise bury afaal hain jin ka irtakab hum danestgi ya na danestagi mai krty rehty hain...Q k hum insan hain khuda thori hain k her aib or ghalti se Pak hon. Insan to hai hi khata ka putla phir ghaltiyan kese na serzed hon ?Magar iska matlab ye hergiz nhi k wo ghaltiyan hmara mustaqil hwala ban jayen. Asal tausur to wo amal hai jo hum ghalti k bad krty hain... Jese aik acha insan her bar ghalti hony per foran ehsas e nadamat mai mubtla ho jata hai or uska azala krny ki koshish krta hai, khud se ehad krta hai k ainda is se ijtanab kry ga or khuda se maafi ka swal krta hai or toba krta hai.
Kuch logon ko iska ehsas boht der bad hota hai...or
Kuch logon ko iska kbi ehsas nhi hota ...... jb apka zameer mar jaye to ye ehsas kbi mhi hota, kbi nhi
hota !!
 
Top