Ghause azam

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
Malang Sahib Agar aap yai bata dain ke Oliya Allah ki yai Iqsam jo aap bayan kar rahay hain. Yai Iqsam kiss ne banayi hain to maharbani hogi.
pooray barray sagheer main islaam aulye karam nay phailaya aur apni karamaat bhi dekhai is ka matlab ye nahi k wo na phailaatay to hota hi nahi

quran-e-paak main hai agr Allah chahay to 1 bhi kaafir na rahay

koi na koi waseela banta hai

ap(SAWW) k baad sahab-e-karaam longo ko dars dea kartay kartay log apnay masyel k liya un k pass jatay jab wo na rahay to aulia Alah karnay lagay hindustaan jahan hinduon ki abaadi thi wahan islaam kaisay phila ap jaiso ki behas karnay se kabhi history parhay to pata chala na k kaisay phaila aur phir un k mureed bantay gai
 

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
yar kabhi hazrat abdul qadir jillani ki zindagi main un ko ghaous e azam nahin kaha gia.agar kaha gia hai to subut pesh karo.sirf kehnay say kia hota hia.
ap un k naam par hi nahi atak gai balk ap to inko aulia hi maan rahay lag raha hai aur shahid nazeer sahab ap ko sirf hujjatain hi karni ati hain kabhi roohaniat ki study ki hai k wo kiya hoti hai agr kartay to pata chalay ga k aulia Allah ko Allah nay kaisay kaisay wasf se nawaza un ki karaamat

huzur-e-paak k ummi ko itni fazeelat hasil hai k hazrat moosa (AS) nay Allah paak se farmaya k kash ap(SAWW) ka ummatti hota kyn k in k ummati main aulia ka itna rutba rakha hai jaisay nabi ka lakin is ka ye matlab nahi k wo nabi ki jaga hogai---lakin ap ko to behas ki cheez mil jye gi na k is ko samjhao....in advance pehlay wali samjh lain
 

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
bhai jan app nain bat clear to ki nahin dosri bat shuru kar di hai ye sabit to karen kay un ko sab say bara madad gar kaha ja sakta hai jo kay sirf allah ki sift hai.

ap kaha na Allah se barh kar koi nahi lakin us nay aulia ka bhi to rol rakha na agr aisa na hota to sub khd muslim hojatay aulia ko kiya zuroorat ki deen phailanay ki aur rahi bat ghos-e-azam ki wo un k rytbay se kaha gaya hai jo un ko hasil tha wo aulia k peer manay jatay hain sirf isi lehaz se kaha gaya aur un ka silsila qadria sub se bara silsila hai sirf naam par mat atak jaya karain

agr ksi ko rehman kaha jata hai to wo ghlat hai kyn k rehman ka matlab paalnay wala hai jo k sirf Allah hai...aur Allah nay apni sift apnay bando main daali hain isi liya un main ye jazba daal dea k k wo madad bhi kar sakain muhabbat bhi

jab Allah nay hazrat adam ko apnay asma sekhye to farishto tak ko nahi pata tha k kia hai par adam nay bata dea to Allah nay kaha k main nay nahi kaha tha k jo main janta hu tum nahi jaantay insaan ko Allah nay apni sift de hain

Allah nay kaha hai main apnay muqarrib bando k haath ban jata hu aankh ban jata hu jis se wo suntay hain boltay hain itna darja ksi ummat ko hasil nahi hai k Allah nay un k liya ye farmaya ho aur ye isi ki taraf ishara hai aulia hota hi wo hai jis ko Allah paak apni itni sifaat se nawaz dety hain k wo Allah k hukm se madadgaar ban jata hai lakin sirf Alllah ka naam lay kar hi us se ro ro kar hi madad maangta hai aur Allah paak us ki waja se kyn k wo Allah k itna qareeb tha apnay bando par aur ziada meharban hain
 
Status
Not open for further replies.
Top