Ghause azam

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.
Oct 5, 2008
525
14
0
34
gujar khan(rawalpindi)
app kia samajhtay hain kya HAZRAT ABUL QADIR JEELANI ko GHOUS E AZAM kaha ja sakta hai.jab kay GHOUS ka matlab hai MADADGAR jab kay AZAM ka matlab hai SAB SAY BARA yani kay ghous e azam ka matlab hua sab say bara madadgar jo kay sirf allah hai.
 
Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
iss main koi shaak nahi mere bhai k saab say bharaa madat gaar ALLAH ki zaat hai woh beshak saab say awzal hai dear per aghar app ko pata hoo to ghous e azam ko waliyoo ka badisha kaha jata ta matlab king bool saktai hai saab waliyoo ka ann ko tu ghous e azam iss leyai kaha jataa hai ann ko k yeh insanoo k leyai bharai madat gaar tay ... iss baat ka hargiz yeh matlab nahi hai k woh ALLAH say bhi bharai madatgaar hai
 
Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
Hargiz naheen kaha ja sakta jo siffat Allah ki hain wo kisi bunday ki naheen ho sakti. Aur aisa kahna bhi shirk ho ga.
 
Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
iss main koi shaak nahi mere bhai k saab say bharaa madat gaar ALLAH ki zaat hai woh beshak saab say awzal hai dear per aghar app ko pata hoo to ghous e azam ko waliyoo ka badisha kaha jata ta matlab king bool saktai hai saab waliyoo ka ann ko tu ghous e azam iss leyai kaha jataa hai ann ko k yeh insanoo k leyai bharai madat gaar tay ... iss baat ka hargiz yeh matlab nahi hai k woh ALLAH say bhi bharai madatgaar hai

Aap ka mutlub hai kisi ko Jahil bol kar uska mutlub jahil naheen hota. Masha Allah. Zabardast Aql o Danish hai aap ki.

To agar kisi insan ko Allah Nauzbillah pukar lain to us ka mutlub Allah naheen hota.
 
khan_amer

Newbie
Oct 23, 2008
48
7
0
app kia samajhtay hain kya HAZRAT ABUL QADIR JEELANI ko GHOUS E AZAM kaha ja sakta hai.jab kay GHOUS ka matlab hai MADADGAR jab kay AZAM ka matlab hai SAB SAY BARA yani kay ghous e azam ka matlab hua sab say bara madadgar jo kay sirf allah hai.
Kafi confusion ho gayee hay, eak aur thread maiN kuch members keh rahay thay kay App (SAAW) apni qabr maiN hayaat haiN aur logooN key madad ker saktay haiN etc etc, ab App (SAAW) key mojod'gee maiN kisi aur koy yeh aizaaz kaisay mil sakta hay?

Hazrat Abdul Qadir Gillani, apnay app ko Wali nahi Aalim kaha kertay thay, woh Hanbali school of thought say zyada mutasir thay, aur Ulema key taraah hi saaf suthra libaas aur hiba zaib-e-tan kiya kertay thay.
 
khan_amer

Newbie
Oct 23, 2008
48
7
0
iss main koi shaak nahi mere bhai k saab say bharaa madat gaar ALLAH ki zaat hai woh beshak saab say awzal hai dear per aghar app ko pata hoo to ghous e azam ko waliyoo ka badisha kaha jata ta matlab king bool saktai hai saab waliyoo ka ann ko tu ghous e azam iss leyai kaha jataa hai ann ko k yeh insanoo k leyai bharai madat gaar tay ... iss baat ka hargiz yeh matlab nahi hai k woh ALLAH say bhi bharai madatgaar hai
Kaha jata tha? kya woh ab WaliyooN kay badshah nahi rahay? kya yeh badshahat ab kisi aur kay pass hay, kindly iss baray maiN hamari maloomat maiN izafa farma daiN.

meray ilm kay mutabiq, Waliyaat key sab say baRi laRi Hazrat Ali (RZA) say chaltee hay, eak aur silsila-e-wilayat Hazrat Abu Bakr (RZA) say bhi chalta hay. aur iss silsilay maiN Hazrat Junaid Baghdadi ka naam sar-e-fehrist hay, yani Hazrat Junaid hi woh shakhsiyat haiN ju Ilm-e-Wilayat ( jisay ilm-e-batin bhi kehtay haiN agay manqool kernay key ahem kaRi haiN.

Ab kon zyada ahem howa, Hazrat Junaid Baghdadi ya ?

Eak aur confusion bhi hay, kehtay haiN Dha'i qalandarooN kay dum say duniya abaad hay, Eak tu Shahbaz Qalandar haiN, aadhi Qalandira Rabiya Basri haiN ( aakhri ka naam maiN bhool gaya) tu badshah kon howa?
 
Aisi shirki ya kufria batain daleen kis nain Islam main?
 
Oct 5, 2008
525
14
0
34
gujar khan(rawalpindi)
iss main koi shaak nahi mere bhai k saab say bharaa madat gaar ALLAH ki zaat hai woh beshak saab say awzal hai dear per aghar app ko pata hoo to ghous e azam ko waliyoo ka badisha kaha jata ta matlab king bool saktai hai saab waliyoo ka ann ko tu ghous e azam iss leyai kaha jataa hai ann ko k yeh insanoo k leyai bharai madat gaar tay ... iss baat ka hargiz yeh matlab nahi hai k woh ALLAH say bhi bharai madatgaar hai
allah ka koi aisa nam jo us ki sift say mansub ho wo kisis kay liyay bhi istamal kar saktay jaissay nam razzaq agar kisi insan ka rakhna hota hai to abulrazzaq rakha jata hai aur hazzrat abdul qadir jillani ko sab buhat baray alim matay hain likin un ko ghaus e azam kehna jaez nahin hai.
 
The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
Jab app logh Quran o Hadith mein say jitne ayaat Ghair Allah say madad mangne ka saboot dainte hain unn sab ke Munkir hain tu bar bar app sab say ek hee topic per baat kar ke mein apna Imaan bhi zaya nahi karwana cahta.
 
The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
Beshak Allah sab say bara madadgar hai aur Allah ki ata ke baghair koi kisi ki madad nahi kar sakta laikin Allah apne Naik Bandon ko yeh taqat ata farmata hai aur yeh Quran-o-Hadith mein yeh kahin nahi aya ke Allah ke Nabi, Wali aur Naik Bandy Madad nahi kar sakty aghar hai tu koi Ayat ya Hadith pesh karo.

The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
Read the Rulez app sab ki Posts Edit kar di gai hain next time khayal rakhein otherwise post edit nhi delete ki jain gi aur app ke khilaf karwai ki jai gi...
 
khan_amer

Newbie
Oct 23, 2008
48
7
0

MaiN nahi janta hay kay rules kin per apply hotay haiN aur kin per nahi, App kay haath maiN Allah ta'la nay taqat dee hay yaqeenan app iss baat say bhi agaah hooNgay kay iss taqat key bab'et bhi app say sawal jawab kiya jayaiN gay.

App nay ju meri post edit key hay, uss maiN sirf itna pocha gaya tha kay Article kay writer nay bd'mazhab kisay kaha hay?

ChooNkay article app nay post kya tha, iss liya sawal bhi app key tarf hi tha. mujhay nahi maloom kay iss maiN aisi kon-c baat thee ju kay rules kay khilaaf gayee... per chooNkay app kay pass taqat hay, app koy bhi jawaz ghaR saktay haiN...

Per mera sawal abhi bhi mojood hay kay bd'mazhab kon haiN?

Ho sakay tu jawab day daiN..
 
Status
Not open for further replies.
Top