Guftagoo Karne Laga Aalam Hairan Ka Sakoot

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Is kadar pheil gia hai shab e hijran ka sakoot
Bolta hai kayi lehjon mein biyaban ka sakoot

Rehnumayi meri karti hai ajab sar goshi
Mera asbaab e safar dasht o biyaban ka sakoot

Yeh bhi pera iyah izhar e shikayat hi to hai
Koi samjhe to sahi deedah weeran ka sakoot

Ik zara paon ki zanjeer jo hil jati hai
Apna lehjah hi badal leta hai zindan ka sakoot

Koi khuabidah, koi hasrat koi izhar e kheyal
Kahin bar bad na kar de dil weeran ka sakoot

Shehar ka shehar hazeen, hal pareshan gum sum
Wajah halat hai ik be sar o saman ka sakoot

Jab se aafaaq badalne lage perahun tan
Guftagoo karne laga aalam hairan ka sakoot
 
Top