==*==hai Dua Yad Magar Harf-e-dua Yad Nahin==*==

  • Work-from-home

Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
==*==Hai dua yad magar harf-e-dua yad nahin==*==

hai dua yad magar harf-e-dua yad nahin
mere nagmat ko andaz-e-nawa yad nahin


main ne palkon se dar-e-yar pe dastak di hai
main wo sahil hun jise koi sada yad nahin


main ne jin k liye rahon mein bichaya tha lahu
ham se kahte hain wahi ahd-e-wafa yad nahin


kaise bhar ain sar-e-sham kisi ki ankhen
kaise tharrae charagon ki ziya yad nahin


sirf dhundhlai sitaron ki chamak dekhi hai
kab hua kaun hua kis se khafa yad nahin


zindagi jabr-e-musalasal ki tarah katti hai
jane kis jurm ki pai hai saza yad nahin


ao ik sajda karen alam-e-madhoshi mein
kahte hain k "Sagar" ko Khuda yad nahin

 
Top