hai ghar kii muhaafiz meri dahaki hui aaNkhen

  • Work-from-home

zabaid

Newbie
Feb 20, 2010
88
122
0
44
~~~><~~~
Poet: Imtiyaz Sagar hai ghar kii muhaafiz meri dahaki hui aaNkhen,mai taaq me rakh aayaa huu jalti hui aaNkhen, ik pal b kisi moD pe rukne nahi deti,kaaNTo ki tarah jism me chubhti hui aaNkhen, raste me qadam phuuNk ke rakhna mere pyaaro,hai chaaro taraf shahar me bikhri hui aaNkhen, yuu us ke bichhaD jaane pe aaNsu na bahaao,manzar ko taras jaayengi bhigi hui aaNkhen, qaatil ke sivaa koi samajh hi nahi sakta,kya dekhti hai tasht me rakhi hui aaNkhen, kya jaaniye kis Khvaab ki taabeer me gum hai,zulfo ki ghani chaao me uljhi hui aaNkhen, 'Sagar' shab-e-tiira me ujaalo ki amiN hai,nafrat ke samundar me ye bahti hui aaNkhen.~~~><~~~
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top