Happy New Year

  • Work-from-home
Dec 11, 2008
932
510
0
dammam
ASALAMOALKUM dostun
chand saatain ya chand gharyaun ya chaand dinoon baad ya saal bhi history ka hisa ho jay ga aur ya history humari anay wali nasloon ko wo batay gijis se aaj hum bekhabar hain bilkul us tarhan jis tarhan hum se buhat pahlay log apnay halat se bekhabar thay aur aaj jab hum un ki history perhtay hain tu haraan hotay hain.kia aap nay kabhi ahla e andilis ki history perhi hay,wo jinhun nay azeem us shaan qartaba masjid tu tameer ki lakin us kay gumbad ko ALLAH HO AKBAR ki goj na suna sakay. kia aap nay ahlay baghdad ki history suni hay wo ahlay baghdad jo apni dahrti main jazb honay walay khoon e husaini ki laaj bhi na rakh sakay.tareekh humain batai hay kay ya wo nations thi jin kay under hum kay bajay main ki pukar thi ya wo komain thin jo infiradi thor per jina chahti thi ya wo komain thin jinhun nay izaat kay aawaz aazadi ka soda kerna chaha magar na phir izaat rahi na aazadi. histiry humanin ya bhi batai hay kay in kay dusman in kay samnay apni talwarain taaz kertay thay aur ya apni aash w nisaat main mast thin.

past per nazar dalnay kay baad kyun na apnay haal per ik nigha dalain kia aasa nahi lagta kay hum anjanay main un ki rawish per chal rahy hain ALLAH na keray kaykahin humari anay wali naslain humari history wasay hi parh rahi hun jis tarhan aaj hum apnay se pahlun ki parh rahy hain.
2008 apnay end per hay yaqinnun humarahy zahan main HAPPY NEW YEAR kay fikray gojh rahy hun gay her koi apnay friendz ko internet mobile messages kay through wish kerna chahta ho ga.
magar srif ik pal ik lamhay kay liyay sochay tu sahi ya new yera ki mubarak baad kis liay?kia waziristan aur digar ilaakun main marnay aur bay ghar honay walay apnay hum watnun kay liay? jaltay sulagtay kashmir ki?khundar hotay iraq kiya afghanistani ki?ya phir safaki ka shikar hotay falastin ki?
agar hum insan hain tu insaniyat kay baray main socahin.
pakistani hain tu pakistan kay baray main sochain.
muslim hain tu alam e islam kay baray main sochain
aur phir batain kay kiakia kahin khushi aur musarat ka koi unsar hay.ho sakta hay kay infiradi tor per ya saal humain kuch khushyan day gaya ho lakin bahasiyat insan ,muslim aur bator nation tu humaray pass srif dukh aur ghum hain blood aur tears hain in halat main mubarakbaad di jati hay ya dua ki jati hay?kia history likhi ja rahi hay kay ik aasi nation bhi hay jo apnay jaysay insanun ,apnay bhayun ki mut aur barbadi per aik dosray ko mubarakbaad dayti rahi hay.kia humany aanay wali naslun ko ik aasi tarikh dani hay ? raat kay aakhri pahar us HASTI kay samnay sir ko jhukain aur ro ro ker dua kerain hum main se channd to aasy hun gay ALLAH jin ki dua qabool keray ga aur shayad ya ansoo muskarahat main badal jain. AALAH HUMSAB KO HIDAYAT KI TOFEEQ ATA FERMAY .AMEEN SUMAMMEN
 
Top