Hazrat Syyedina Nooh Alaihissalam

  • Work-from-home

Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
HAZRAT SYYEDINA NOOH ALAIHISSALAM
as reported by Hakim mustadrak, his name is ABDUL GHAFFAR and because he oftenly cry on himself a lot that’s why he has given this name NOOH…according to some sources his name is NOOH Alaihis Salaam Bin LAMK ibne MATOOSHALAKH ibne AKHNOOKH According to TIbrani hazrat abi zar ( (Radiallahu Ta’ala Anhu)) said. “I asked with beloved prophet mohammad Peace and Blessings Be Upon Him oh beloved rasool allah (SAWS) who was the first NABI? Rasoolallah SAWS said ADAM Alaihis Salaam , then I asked then who?prophet Peace and Blessings Be Upon Him said NOOH Alaihis Salaam ,and between Hazrat ADAM and NOOH there are 20 centuries ” it means two thousand years difference.. according to mustadrak “ibn e abbas raziallahu anhu said, “between ADAM & NOOH there are 10 centuries” Allah knows Best

(Nooh Alehissalam is also known as ADAM E SAANI which means SECOND ADAM, And Nooh Alehissalam was the First Rasool

HAZRAT SYYEDINA NOOH ALAIHISSALAM : Hakim mustadrak bayan karte hain ke, inka naam ABDUL GHAFFAR hai aur chunke ye apni zaat ke liye bakasrat roya karte the isi liye inka naam NOOH pad gaya. Aur Hakim ye bhi kehte hain ki aksar sahaba (rizwanullah alaihim ajmayeen) NOOH alaihissalam ke IDREES alaihissalam se pehle hone ko mante hain.
NOOH Alaihis Salaam Bin LAMK ibne MATOOSHALAKH ibne AKHNOOKH.. Aur mash hoor qaul ke mutabiq AKHNOOKH hi IDREES alaihissalam hain .
Aur Tibrani hazrat abi zar ( Rahmatullahi Allaih) se riwayat karte hain ke unho ne kaha. “mai ne rasool allah sallallahu alaihi wasallam se arz ki key a rasool allah (SAWS) sab se pehle nabi kon hain? Rasoolallah SAWS ne irshad farmaya ADAM Alaihis Salaam , mai ne kaha phir kaun? Irshad kiya hazrat NOOH Alaihis Salaam ,aur Hazrat ADAM aur NOOH ke darmayan 20 sadiyan (20 centuries) hain” yani 2 hazar saal ka arsa. aur mustadrak me ibn e abbas raziallahu anhu se marwi hai, unho ne kaha “ADAM aur NOOH ke darmayan 10 sadiyo (10 centuries) ka fasla tha.”
Mustadrak hi me ibn e abbas Rahmatullahi Allaih se marfooan marwi hai ke “khuda ta’ala ne NOOH Alaihis Salaam ko 40 saal ki umr me risalat ke saath maboos farmaya, pas wo 950 saal zinda rehker apni qaum ko khuda ki taraf bulate rahe…aur toofaan ke baad 60 saal zinda rahe, yahan tak ke inke samne hi admiyo ki kasrat hogai aur wo dunya me khoob phail gaye.”Quraan me bhi aap ki umr 950 saal batai gai hai.


(nooh Alaihis Salaam ko adam e saani bhi kaha jata hai, aur nooh alaihissalam sabse pehle rasool the
 
  • Like
Reactions: Shikra-e-Ab'bar

MuftiSaeed

Regular Member
Dec 26, 2013
124
86
528
New York, New York
Learn authentic teachings of Islam from Quran and Sahih Hadith

NO firqa or Madhhab
Quran and Sahih Teachings of the Prophet pbuh

Mufti Ammaar Saeed
Islamic Research Foundation New York
AHAD TV
Shariah Council New York

WhatsApp QA Text, Audio 1-917-400-4420
[email protected]

facebook.com/MuftiAmmaarSaeed
Twitter.com/MuftiAmmaar
Youtube.com Channel Mufti Ammaar Saeed
 
Top