Hum Bhi Har Laghzish Masti Ko Sarahte Jate

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Tum se ulfat ke takaaze na nibahe jate
Warna hum ko bhi tamanna thi keh chahe jate

Dil key maron ka na kar gham keh yeh ando naseeb
Zakham bhi dil mein na hota to karahe jate

Hum nigahi ki hamein khood bhi kahan thi tofeeq
Kam nigahi key liye uzur na chahe jate

Hum bhi kiun dahar ki rafter se hote pamal
Hum bhi har laghzish masti ko sarahte jate

Lazzat e dard se aasoodah kahan dil wale
Hain faqat dard ki hasrat mein karahe jate

Hai tere fitnah rafter ka shehra kia kia
Gar che dekha na kisi ne sarahe jate

Din a mohlat hamein hasti ne wafa ki warnah
Aur kuch din hasti se nibahe jate
 
Top