HUM PAKISTANI (zati afsana)

  • Work-from-home

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
mera ye afsana hum pakistaniyon pe hai


Hum pakistani




Assalam alaikum
Qudsiya apne kamre main bethi hui thi k achanak bahir se us ki dost aneela dorti aur hampti kampti ander agai aur bare zor se boli qudsiya tumhain pata hai aaj hamare collage main girls ka debate compitition hai jis main hamari collage ki zaheen larkiyon ka apas main debate muqabla ho ga aur us main mera aur tumhara naam bhi shamil hai.
Qudsiya ye sab sun ker harbara ker apne bister per se uthi aur khushi se jhoom ker boli arey aneela aaj ka compition to aaj samajh hum hi jeetain ge, wese hamare muqable main hai kon?
Arey qudsiya wohi shaziya aur shamim ye keh ker aneela ne aik zor ka kehkaha lagaya aur qudsiya bhi hansne lagi arey wo dono hamara kiya muqabla karain gi mujhe to sharam arahi hai un k saath compete kerne main bhi. acha aneela mujhe ye to bata k hum kon se kapre pehnain.
kon se kapre kya matlab arey ager tum collage k kapre na pehne to tumhain compition se disqualify ker diya jai ga aur saath main principal ki daant bhi pare gi aneela ne bohot sanjeeda andaaz main qudsiya k sawal ka jawab diya.
qudsiya mayoos hui aur kaha acha theek hai main abhi collage k kapre pehen ker ati hoon tu yaheen pe ruk.
qudsiya aur aneela rang ki sanwli theen mager un main bara confidence tha. qudsiya aur aneela donon dost theen aur donon ka gher aik hi mohalle main tha dono bachpan hi say kabil or dana theen aur hamesha high standard k marks leti theen ab wo 2nd year main perhti theen in dono ki zahanat sirf perhai tak hi na thi balke ye dono collage k her festival main berh cherh ker hissa leti theen aur ye dono kabhi koi festival ya compition nahi hari theen aneela albatta aik mertaba school debate comtition har gai thee kyun k us k muqable main un dinon qudsiya thee mager jab se un donon ne collage join kiya tha wo aik hi group ban gai theen aur her festival aur compition ko ba asani hathya leti theen.lagtar kamiyabiyon k baas in dono saheliyon main bohot shekhi peda ho gai thi mera matlab hai ghuroor aur takabbur main mubtila ho gai theen aur collage ki kisi bhi larki se seedhe moon baat na kerteen kisi ko dost na banati k un ki image kharab ho jai gi ager kisi se koi baat kerti bhi to sirf apni tareef aur sirf us hi larki ki baat sunti jo un ki tareef kerti janab ye to bohot purani aneela aur qudsiya hum ne aap ko dikhayi hain aaj kal to wo dono aik dosre ko collage ki jitni bhi professors theen un sab se behter aur hoshyar aur dana samajhne lagi theen ye hain qudsiya aur aneela. ab age
Qudsiya collage k kapre pehen ker agai aur se boli chalo collage chalte hain jate hi jeetne se pehle thori der hansi mazak k liye in shaziya aur shamim se poochain ge k in ki kese himmat hui hum donon k muqable main khare hone ki aneela ne aik aur kehkaha lagaya aur boli bilkul theek kaaha tum ne qudsiya chalo collage chalain.arey zara ruk to qudsiya ne foren aneela ka haath pakerte hue kaha kya hua aneela ne poocha yar tu ne ye to bataya hi nahi k compitition main debate ka mozoo kya hai.
main ne kal tujhe kaha tha na chutti na ker sab teri hi waja se ger bar ho gaya kal hamain bataya tha k hum ne larkon k berooni mulk jane k haq main debate kerni hai aur un donon ne in k khilaf main debate kerni hai aur hum hi jeetain ge pakistan main rakha hi kya hai chal ab chalain aneela ne qudsiya ka haath pakerte hue kaha.
ager maine chutti ker li to kiya hua tu mujhe ghar aaker bata nahi sakti thi qudsiya ne aneela se bare ghusse main kaha.
Aneela boli ab in baton ka hamare pas waqt nahi hai chal ab collage chalte hain wese tujhe to ye topic pehle hi se rata huwa hai yaad hai jab school main mera aur tera muqabla tha debate ka us main bhi to tu larkon k berooni mulk jane k haq main debate ker rahi thi aur tu jeeti bhi thi.
haan yaad hai.qudsiya ne thandi aah bherte hue kaha.
ab wo dono collage ko rawana ho gain, jab wo collage pohonche to to sab hi lerkiyan un ki taraf mutajja ho hui sab yoon lag raha tha jese un ka besabri se intezar ho raha ho wo dono bina kisi jhijhak k bare maghroorana andaz main berhne lageen aur qudsiya ne joon hi nazer ghuma k dekha to shaziya aur shamim aik side per bethi theen aur apas main baatain ker rahi theen qudsiya ne aneela ko kohni mari or kaha wo dekh mukhalifeen hamare khilaf planinigs ker rahe hain haan theek kaha tum ne qudsiya chal ja k un ko zara planing main help kerte hain wo dono bechari confuse hon gi aneela ne muskurate hue kaha.
ye keh ker dono apne mukhalifeen ki taraf berheen
aneela ne jate hi tanziya andaz main moo banate hue kaha shaziya aur shamim tum dono kya harne k baad rone dhone ki tayari ker rahe ho kya?
arey aneela tu bhi kya bolti hai yar ye dono to soch rahi hain k ibrat nak shikast k baad chupne k liye kahan jain kisi ko moo dikhane k kabil na rahain gi na isi liye. qudsiya ne maka pate hi foren jawab diya.
shaziya aur shamim pehle to in dono ko berdasht kerti raheen aur phir jab qudsiya aur aneela ki bakwas band na hui to shamim k saber ka pemana labraiz ho gaya aur wo ghusse main apni chair per se uthi aur qudsiya ki aankhon main aankhain dal ker boli bas bohot ho gaya
ab main tum dono ki bakwas aur nahi sun sakti abhi wo donon isi jhagre main masroof theen k madem ne alan kerwaya k program shuru hone wala hai charon contestan se derkhwast hai k wo jaldi stage pe pohonch jain.
qudsiya boli k ab pata chale ga k kon kesa hai.
[sab lerkiyan stage pe pohonch gain ye muqabla collage k bare haal main munaqqid kiya gaya tha stage pe aik bari maiz lagi thi jis k dono hisson main 2, 2 kursiyan rakhi hui theen aur un k aage aik aik maik laga tha aur dermiyan main aik kursib judge ki thi jis per pehle se madem bethi hui theen charon conteston madem ko salam kerne k baad apni apni jagha per beth gain aur hal khamoshi cha gai]
Phir madem ne kaha acha to tum charon tayar ho?
Charon lerkiyon ne aik awaz main kaha jee madem.
madem ne pehle aneela aur qudsiya ki taraf apna rukh kiya aur poocha! haan to tum dono start karo k pakistani larkon ka perhai k baad berooni mulk jana kyun zaroori hai?
qudsiya ne apna moon maik ki taraf kiya aur phir gale ko thora khankhara aur kaha! lerkon ka perhai k baad berooni mulk jana is liye zaroori hai k ager larke pakistan main rahain ge to yahan itne kabil aur zaheen log mojood nahi hain k un ko aage achi fasilities de sakain aur doosra ye k yahan itni ghurbat aur berozgari hai k is main acha bhala banda pagal ho jai mere khayal main yahan se bahir ka system bilkul acha hai wahan taleem yafta logon ki qader ki jati hai.aur main to samajhti hoon k aadmi apne aap waheen setel ker le aur biwi bachon ko bhi waheen bula le ye mere comments hain qudsiya ne mike se moon hatate hue kaha.
madem judge ne shamim aur shaziya poocha! aap in ki is soch k bare main kya kahain gi?
Shamim ne bolna shuru kya! bismillah hirrah manirraheem: sab se pehle to main apni principal sahiba ka dil se shukriya ada kerna chahoon gi k unhon ne hamain is kabil samjha k hum yahan aaker kuch keh sakain ab main topic ki taraf ati hoon.
qudsiya ne jese kaha pakistan main kam kerna is liye zaroori nahi k yahan kabil log mojood nahi to main is baat is ikhtilaf kerti hoon aur is k beraks mera jawab hai k pakistan main jitne kabil log mojood hain us se zyada aur kaheen bhi nahi is ka saboot hamare doctors hain jin ko berooni mulk se offers ati hain mager wo phir bhi apna mulk nahi chorte enginears hain jo pakistan ka behtareen sermaya hain aur hamare sab ahem cheez k yahan ulama hain jo bohot hi kabil aur zaheen hain aur hamari madem aur hum talibeilm hum sab zaheen hain. hamare shayar hamare writer sab ache hain.Allama iqbal ka aik shair arz kerti hoon: khudi ko ker buland itna k her taqdeer se pehle
khuda bande se khud pooche bata teri raza kya hai

aur doosri baat jo inhon ne ki k pakistan main ghurbat aur berozgari hai to is bare main main ye hi kahoon gi k ager pakistani qom ghareeb hai to kya hua hum dunya k hosla mand logon main se hain yahan bijli jati hai gas jati hai aur bohot se masail hain mager ye hamara mulk hai is ko kon theek kare ga hum theek karain ge kyun k hum mustaqbil main qom k nakhuda hain ager hum hi moon mor lain ge to pakistan kese acha ho ga hamain kuch bhi ker k chahe ghareebi main hi kyun na hon apne eeman ko dao pe nahi lagana aur islami hudood k ander reh ker pakistan ka naam roshan kerna is per bhi aik hamare qomi shayar allama iqball ne bohot zaberdast shair kaha k:
mera tareeq ameeri nahi faqeeri hai
khudi na bech ghareebi main naam peda ker
aur inhon ne jo teesri baat ki us pe bhi main ikhtilaf kerti hoon: inhon ne kaha k bahir mulk main taleem yafta logon ki qader hai haan ye baat theek hai mager un main qader sirf apne hi logon k liye hai pakistan ko to kathpuli ki terhan istemaal kerte hain thore zyada peson ka lalach dikha ker hamare zaheen logon ko khareed lete hain aap khud sochain kya aap ko wo 911 wala hadsa yad hai jab wo hadsa hua to us k bad jitne bhi wahan pakistani mojood the sab log un ko nafrat ki nigah se daikhne lage aur bohot se masoom musalamanon ko unhon ne terrorism k jhoote ilzam main paker liya aap khud sochain k pakistan main beshumar bomb blast hote rehte hain tab bhi hum hosla nahi har rahe aur america main aik 911 ko ab tak yaad kiya jata hai k ye zulm hua mager humare saath kiya ho raha hai kyun ho raha hai koi ye sochta hai nahi
arey bahir k log kiya fiker karain ge hamare apne log bhi theek nahi hain un ko khud is baat ka ahsaas nahi hai humare eeman ki chat kamzor aur khasta haal ho chuki der hai ye kab gir jai aur hum bhi un kafiron ki terhan ban jain.
aaj daikhain hamare log un ki nakal kerte hai hain un ki terhan style kerte hain aur un hi ki terhan behuda aur gandi herkatain kerte hain aaj hamare gharon main tv pe berooni mulk ki films aur programs bohot shok se dekhe jate hain un k tehwaron ko pasand kiya jata hai aur hamare apna kya kuch bhi nahi yaad rakhiye k pakistan aik islami riyasat hai hum tab hi theek honge jab hum apni tehzeeb apni riwayat ko samne laker us per amal karain ge to hum sab kamyab honge aur ager hamari soch un logon ki terhan hai to hum kuch bhi nahi thats all.
ye keh ker shamim beth gai hall main taliyon ki goonj phel gai phir madem qudsiya aur aneela ki taraf huin aur kaha tum dono is hawale se kuch kehna chaho ge?
Wo dono khamosh bethi sab sun rahi theen phir qudsiya boli mubarak ho aap dono ko aap aaj ka contest jeet gai aur main sirf itna hi kehna chahoon gi k yahan jitne bhi log mojood hain maine un sab ka dil dukhaya hai main sab se maafi mangna chahti hoon khas tor se shaziya aur shamim se inhon ne hamari aankhain khol deen bas.
Madem muskura ker boli kisi ne sach hi kaha hai k aik bara aadmi banna acha hai mager us se bhi behter hai k koi aik acha insan ban jai aur main aap sab ki mashkoor hoon k aap ne is contest main hissa liya aur aaj ka winner to already announce ho gaya aaj ki winner hain shaiziya aur shamim.
jab shaziya aur shamim award le ker bahir nikal rahi theen k qudsiya ne berh ker shamim se kaha! shamaim aur shaziya tum dono hamain maaf kerdo hamain apne kiye per shermindagi hai.
shaziya ne kaha maafi mang ker shermindah na karo aaj se hum dost hain.aneela ne kaha haan aur hum pakistani bhi.aur charo hasne lageen.
khatam shud
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh
Top