Lambi thi kal qatar ticket ghar ke saamne
Mohtarma bhi ik khaRi thein wahin shaan se
Tun Tun se bhi zyada jasaamat ma tha badan
Tha ik mard un se aage nihaayat hi khasta'tan
Mohtarma se wo bola ke dhakka na dijiye
Mujh jaan e naa'tawaan per zara reham kijiye
Mohtarma ne bigaR ke kaha chaahe kuch bhi ho
Dhakka nahi diya hai abhi hum ne aap ko
Ilzaam is tarah ka sara'sar ghalat na dein
Hum saans le rahe hain, to kya saans bhi na lein