imkaan qatam nahi hota

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
بسـم الله الرحمـن الرحيـم

bennett_phil_sized.jpg

Assalam o alaikum dosto :)


Ek americi nawjawan dewitt wallace ne irada kia k wo ek monthly digest nikale iskeliye isne apne waalid(father) se 300 dollar mange.laikin iske waalid ne ye kah kar inkar kardia k dewitt paise ka istemal karna nahi janta.iske baad isne bamushkil apne bhai se kuch paise hasil karliye.aur january 1920 me isne ek shumara print karwaya jo chund 100 copies se ziada na tha.

ab dewitt k samne dosra masla tha isne apna magazine newyork k publishing companies ko dikhaya aur kaha k wo isko faroqt (sell) karne me iska taawun kare.magar tamam companies ne inkar kardia.

ye bara naazuk masla tha kyunke news papers aur magazines publishing companies k zarye hi awam tak pahunchte hain.taahum ek imkaan dewitt keliye baaqi tha wo ye k wo barah e raast logaon tak pahunche.aur isi k saath isne news papers me bhi ishtehaar dena shru kia.ek new magazine ko khareedna logaon keliye aam baat nahi thi.iskeliye dewitt ne apne ishtehaar me jo baatein likhin wo ye thin.

qaari(reader) agar magazine ko parhne k baad mutmayin naho to uski khareedari qatam kardi jaayegi.aur usse uski poori qeemat wapus kardi jaayegi.is peshkah ka natija ye hua k log isko khareed kar parhne lage.aur is tarha dewitt ka mansooba kamiyab raha.

ab dewitt keliye mushkil ye thi k is magazine ko acche se accha banaye.iskeliye isko kaafi mehnat karni pari.wo rozana library jaakar kum uz kum 40 magazines ka mutaala karta tha.iskeliye usse bahot aziyat bhi uthaani pari.

masalan bahot se log isse qainchi editor bhi kahne lage.laikin isne har baat ko nazar andaaz karke apna kaam jaari rakha.dewitt k ek dost ka kahna tha k wo jitna ziada bolta hai usse kahin ziada wo sunta bhi hai.

iski ye lagan aur mehnat ka natija ye hua k february 1922 me iska magazine k 5000 copies print hue.iske baad wo barabar parhte hi rahe yahan tak k 1987 me wo 28 million se ziada copies dunya ki 15 languages me 139 edition print kar raha hai.ye wahi monthly magazine hai.jisse log readers digest k naam se jante hain.aur isi tarha wo 1980 me 50,000 dollar ka maalik bangaya.aaj yahi magazine dunya ka subse ziada parha jaane wala magazine hai.

is dunya me imkaan bahot ziada hain bus zaroorat is baat ki hai k hum usse istemal kare.aur yahan wahi kamiyab hota hai jo muhkilaon ka samna karte hue himmat se apna kaam karta rahe.
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
wssalm u aliakum
behtareen sharing{(ok)}
wohi log zindgi me kamayab hote hain jo mustaqil mizaji se kisi maqsad pe datt jate hain or phir us k liye mehnat karte hain
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,205
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam wrwb :)
bohot hi umdah sharing janab
hame isse bhi ibrat lena chahiye aur mushkilat me bh apne kaam ko saranjaam deni ki himmat rakhni chahiye aur sath hi Allah par tawaqqo jiski badaulat hi ham apne maqsad tak pahuch sakte hain

jazakallah khair
 

MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...
Walaikum Salam
very nice advice note

himmat aur jazba ho toh insan Asman k bulandio pr phnch jate hai....
Az ppl says:
No pain no Gain....

nyways nice sharing Arshad
God bless:)
 

*Sonu*

•°o.O Born to Fly O.o°•
VIP
Mar 5, 2010
46,172
11,604
1,313
nice sharing bro
:)
after reading dis we can say that
try and try until you succeed
:)
 

Qalandar

Active Member
Aug 8, 2011
323
477
63
38
Gooooood Sharing
محنت اور لگن انسان کی ہر رکاوت کو ختم کردیتی ہے
 
Top