Imtayhaan

  • Work-from-home

khan_amer

Newbie
Oct 23, 2008
48
7
0
Deen aur Mazhab-e-Islam kay nazool ka maqsad sirf Makhlooq-e-Khuda key rehbbari aur behtri hi tha aur hay, yeh alag baat hay kay kuch logooN nay Islam kay kuch asolooN ko pakaR liya aur baqi tamaam asool aur qa'eday bhula ker Islam ko gher key lonDi bana diya. Per jab kabhi Islam ka mutalaya kiya iss deen kay zareeN asool apni jagaah waisay hi qayam aur dayam haiN, in per amal na kernay walay aaj bhi kisi na kisi tor per azaab maiN mubtala haiN.

Islam ka eak zareeN asool hay kay Allah tala Quran maiN farmata hay kay, jab maiN nay rizq taqseem kiya tu nadarooN ka rizq bhi sahib-e-sarwat logooN kay rizq maiN shamil ker diya...


Theek isi taraah paRoosi key khabr-geri per bhi App (SAAW) kay irshadaat-e-garami mojood haiN.

Bilkul issi taraah apnay mulazmeen key daikh-bhal bhi sunnat-e-Naba'vi hay.

per hamari tamam ter tawajo, ya tu rayakari per hay, ya phir fazool kisam key rasoom aur rawayaat kay faroogh maiN masroof haiN..



sawal yeh hay kay ham maiN say kitnay aisay haiN ju iss Khuda'i hukm kay tehat apni dolat apnay aas pass kay logooN per kharch kertay haiN?

Pass paRoss tu door key baat hay, ham tu apnay bhai aur azizooN kay maal per nazr rakhna apna farz samjhtay haiN aur issay ba'khobi nibhatay haiN... aur phir kisi peer key dr'gaah ya ka'abay maiN ja ker saray Gunnah dho Daalnay key khush fehmi maiN mubtala rehtay haiN.


Apnay ass paross maiN nazr rakhaiN, kisi ke madad kertay howay yeh sunehra asool bhi yaad rakhaiN kay app kay ba'yaiN haath tak ko pata na chalay... jitni mumkin ho madad karaiN, Allah ta'la farmata hay kay jab koy banda meray banday kay kaam maiN lag jata hay tu maiN uss banday kay kaam maiN lag jata hooN.

Islami fara'iz Namaz Roza, Zakat aur Haj tak hi mehdood naheeN, dr;haqeeqat in fara'iz ko sirf iss liya ham per Dala gaya hay kay ham munazim ho sakaiN aur Ghashiyat-e-Ellahi say kaam laiN, Ahl-e-zameen per reham karaiN...


Ham maiN say kitnay hi iss imtay'haan say guzartay haiN aur kitnay hi na-kaam hotay haiN iss ka saboot hamaray ma'sharay key girtee howi ikhlaqi iqdaar haiN. koy bewa kisi say madad key appeal nahi ker saktee kay log ya tu ussay dhong qarar daytay haiN ya badlay maiN kuch aur demand kertay haiN.. yateem key madad tu dr'kinaar uss key ja'edaad hathyana apna pehla farz samjhtay haiN aur iss zulm kay khilaf awaz uThanay key pasli kisi maiN nahi...


Haan himat aur jurat hay tu following kay liya:

1) DosrooN ko kafir qaraar dayna
2) sirf apnay app ko haq per samjhna
3) Apnay aziz kay qatl per rona aur dosrooN ko qatl ker kay khushiyaaN manana
4) baiThay baiThay conspiracy theories develop kerna
5) bila sochay samjhay aur tehkeek kay, koy bhi baat agay baRha dayna ( afwa sazi)
6) Ilzaam tarashi
7) Zakat ko tax samjhna aur iss say bachnay kay heelay kerna
8) Power/Iqtaydaar kay liya laRna
9) bhai behnooN azizooN kay buray dinooN maiN un say bachna
10) agr kisi key madad kerna tu ussay as a marketing campagin use kerna
11) masjidaiN banwana aur namazi marwana
12) firqa bazi kay liya ilm hasil kerna


aur na janay kitna hi aisay amoor haiN jin per hamaray masharay kay bachay bachay ko aboor hasil hay, per kitnay hi aisay Khuda'i ahkaam haiN, ju hamaray samnay haiN, un per amal kerna bhi asaan hay, per iss daR kay kay kaheeN yeh naiki hamay janat maiN na lay jaye... uss hukm ko ignore ker dayna...

Kab hosh aye gee.. jab dastan bhi na hogee dastanooN maiN?/
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top