isey perhna mana ha

  • Work-from-home

Princess Mahi

Newbie
Dec 19, 2009
6,698
2,761
0
hooooooooo haye likha ha na k isey perhna mana ha
fer kyun ayaey ap?

ya ye shayed hamare adat ho chuki ha k jahan likha hoga k ye kam nhe kerna hum wohi karain gey
jahan likha hoga kachra phainkna mana ha wahan kachrey ka dhair lga dain gey.jahan no parking ka board hoga wahan bht si garian park hongi.jahan likha hoga k ishtihar lgana mana ha wahan itney posters lagayen gey k wo line hi chup jaye gi.

kehtey hain HAZRAT ADAM (a.s)ney gandum ka dana is liye nhe khaya tha k unhey wo marghoob tha balk isliye khaya tha k uska khana mamnoo tha.

shayed ye insani fitrat ha k ussey kisi kam sey roka jaye to usk dil main usi kam ko kerney ka shoq paida hotta ha.


but sawal ye ha k kia ager hamain namaz perhney sey roka jaye ga to hum namazain perhni shru ker dain gey?
ya koi or naik kam jisey kerney sey koi hamey rokey or hum phir bhe karain jaisey k no parking wali jga pey car park kerttey hain ya kisi masjid ki deewar pey kisi political party ka poster lgattey hain?


i am w8ing ut answer plzzz{(popcorn)}{(popcorn)}
 
Oct 18, 2009
18,710
9,640
1,313
LoCk Me In YoUr HeArT
ManshaAllah mahi itni siyani baatain keraigi kabhi socha bhi nahi tha.....{:)P)}


Baaqi ye to mushkil hai kay aap ko nimaz say manaa kiaya jaey or aap prho
kiyn kay vo nimaz hai

Allah ham sab ko nimaz perhnay ki taufiiq ata fermaye
ameen

Thank you mahi
 

unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
aha nice topic Mahi
baki kamo may to insan mana krne k bawajood wohi kam krta hai pr i think naiki k kamo may koi ksi ko mana b nahe krta ye krna to hum sb ka farz hota hai ksi k kehne per nahe kiye jatay ya ksi zid may nae kiye jatay..is lie aisa hna shayd namumkin hai
 
Top