Ishq Haqeeqi

  • Work-from-home

kaisi lagi stori


  • Total voters
    1
  • Poll closed .

smoki

Newbie
Jan 3, 2014
11
3
3
Ye kahani nai aik sachi haqeeqat hai jo humare mohalle main aik no jawan or us k ustad k 7 paish aai humare city islamabad main aik bohat hi bari hasti ka darbar hai jin ko log bari saab k naam se jante hain un ki tareekh kissi se dhaki chupi nai hai wo aik buland paya roohani shaksiyat hain main ap ko jo baat batane ja raha hoon wo aik nojawan arsal or us k ustad rashid ki hai arsal aik workshop par kaam karta hai us ka lagao deeni ilam or darbar wagera se related hai wo jab b bari saab ka uras start hota us ko bechaini lag jati us ka ustad rashid wahabi muslik se hai wo in kaamon ko manta nai hai or us ko arsal k shoke ka pata b hai aisa hi aik baar bari saab ka uras shroo howa log joq dar joq uras par ja rahe teh kiu k 4 din ka uras hota tah workshop par kaam k dabao ki waja se arsal ko chuti nai mil rahi thi lakin wo apne ustad ki minten kar raha tah k us ko aik din k liye jane de lakin us ka ustad maan nai raha tah so arsal ne kaha k main kaam chor raha hoon us ka ustad us se zich ho gaya or bola kya milta hai tum ko wahan ja kar jo log dunia se chale jaiyen wo tum ko kya de sakte hain arsal ne ustad ki baat par behas kiye bina hi apne mowaqaf par data raha aakhir kar us k ustad ne us ko kaha theek hai chale jao lakin mera aik kaam b karo ustad ne andar se aik kahgaz jo k fold tha us ko diya or bola ye kahgaz iss ko kholna nai hai jab tum darbar par jao to ye wahan mazar k andar le ja kar rahk dena arsal ne poucha is se kya ho ga wo bola iss main mera sawal hai tumhare bari saab se tum ye hi kahte ho na k wo dunia se nai gaye or yahan majood rahte hain to agar wo majood howe to muje mera jawab mil jaye ga arsal ka aqeeda bohat mazboot tah us ne kahagaz jaib main dala or foran wahan se rawana ho gaya wo pedal hi jata tah us ko faslon se kahbi gharz nai thi wo pedal hi hamad o sana karta darbar ja pohncha us ne pahle un k mureed k darbar par hazri di pir achi tarah wazoo kar k bari saab k hijre ki taraf chal para jaise hi wo hijre k pas pohncha to us k kaande par kissi ne haath rahka wo palata or dehkne laga k kon hai lakin wahan koi nai tah us ne apna waham samja or hijre main jahan or log b teh or talawat kar rahe teh un k 7 bahat kar talawat karne laga shaam k waqt jab wo farigh howa to hijre se bahir aaya ab us ko bhook lag rahi thi iss asna main us ko ustad ka kaam yaad nai raha tah us ne wahan se langar kahaya or wapsi salaam k liye darbar k pas jaise hi pohncha us k samne aik buzarg aagye wo ahtraman khara ho gaya or un ko salaam kiya arsal kahta hai k jab wo mere samne aaye to muje laga jaise darbar par or koi b nai or us k kaano main aik awaz goonji arsal tum wada aefa kiye wapis ja rahe ho arsal herani se bola jee janab main samja nai ap kis wade ki baat kar rahe hain wo bole tum bhool rahe ho k tumhare ustad rashid ne tum ko kuch diya hai wo chonka or herani se apni jaib main haath dalte howe bola aap kon or ap ko ye sab kaise pata wo muskraye or bole iss baat ko jane do k main kon hoon or apna haath aage kiya or bole jo tum dhoond rahe ho wo ye hai arsal ne dehka un k ustad ka diya kaghaz un buzargon k pas hai wo aqeedat se bola janab muje bataien ap kon hain or un k qadmon main baht gaya wo us ko utahte howe bole tum jin k pas aaye main wo nai main to mureed hoon un ka or unno ne hi muje bejha hai tumhare pas arsal un ka haath choomte howe bola main itna khush kismat kaise ho gaya muje yaqeen nai aata wo bole tumhari lagan sachi hai or tum aik ache insaan ho or pir bole ye lo kagahz or apne ustad ko de dena wo bola lakin janab wo kaise mane gain k main sach kah raha hoon wo bole jab tum un ko ye kagahz do gay tab hi tum ko b pata lag jaye ga or wo bole ab main chalta hoon or arsal ko wahan chore kar chale gaye arsal herat se goong wahan hi khara sochta raha k ye aakhir kya tah or wapis apne ghar ki taraf chal para ghar pohnch kar wo fresh howa or apne ustad k pas workshop ja pohncha us k ustad ne arsal ko dehka or bola aagye tum arsal ne bina kuch kahe ustad ko us ka diya howa kaghaz diya or bola aap ka jawab us ka ustad herani se khagaz ko lete howe bola ye kya mazak hai arsal bola ye mazak nai hai ap ka jawab hai ustad ne kahgaz liya or jaise hi khola wo aik dam uchla or gir kar behosh ho gaya sab shagird baag kar us k pas aaye or usse hosh dilane lage jab ustad ko hosh aaya to arsal bola kya howa ap ko ustad jee us ka ustad bola arsal ye kagaz tum ko kis ne diya arsal ne ustad ko saari baat batai or poucha iss main kya tah us ka ustad bola main ne jaise hi kagahz khola to muje aik buzarg ki shakal nazar aai jo muje dehk kar muskraye sab herani se un ki baat sunne lage arsal bola kagahz kahan hai sab kahagaz dhoondne lage lakin wo na mila ustad bola arsal tum sache ho ye log dunia se parda he karte hain bas or bole chalo muje wahan le kar or pir wo dono darbar aa pohnche wo din aj ka din jab b bari saab ka uras aata hai to workshop band ho jati hai or wo sab darbar par rahte hain wahan langar bannte hain or talawat karte hain
its real story ap k comment ka wait rahe ga thank u smoki :)\


internet-cable-white-card-d-render-isolated-background-36075816.jpg
 
Last edited by a moderator:
Top