Islam Zinda Hota Ha Har Karbla K Baad

  • Work-from-home

Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313
ye ha wo Iqbal ka shaer jo Shahadat Imam Hussain(R.A) ki ahmiyat ko poori tarha wazeh kar deta ha,magar afsos k hum ne aetdal ka rasta nahi apnaya,kuch log matam o noha gari ki taraf chale gae aur kuch ne waqea karbala ko siaasi waqe ya iqtadar ka jhagra qarar dae kar haqaeq se pehlu tahi ki,​
ye to haq o batal ka marka tha,jis se musalmano ko batal quwaton aur jabar o astahsal k samne kabi na jhukne aur dat jane ka sabaq mila,iss waqea ne Islami tareekh par gehre asrat muratab kiyay, haq k lie jan qurban karne k jazbe ka naam Hussainiyat thehra aur jabar aur istahsal ki sari shaklain yazeediyat k andar pinhan ho gaien,Hussain ka naam hamesha k lie amar ho gaya aur yazeed ka naam nafrat ki alamat ban gaya..​
mit gaya dehar se naam e yazeed
tujh ko hasil hua dawam Hussain(R.A)
bachpan se sunte aaye hain k jab kisi zalim shakhs ka zikar hota tha to log kehte thay k "wo barra yazeed ha"​
lekon kuch log yazeed ki muhabat main b giriftar nazar aatay hain,aik waqea yahan code karun ga k Moulana Shafi okarwi marhoom aik mehfal main Shahadat Imam Hussain(R.A) k silsila main taqreer kar rahe thay,ikhtatam par aik shakhs ne jumla kassa k yazeed to kalma go musalman tha to iss tarha to wo janati ho ga?​
Moulana Shafi Okarwi sahib ne jawab diya k "mein dua karta hun k mujhe mehshar wale din Hazrat Imam Hussain(R.A) k sath uthaya jaye aur tum dua karo k tumhain yazeed k sath uthaya jaye"​
itna sunte he wo shakhs wahan se foran rafu chakar ho gaya.​
Qurbani ki ye azeem masaal hum se taqaza karti ha k hum b batal quwaton k samne kabi na jhukain aur haq ki rah main jan qurban karne se b qurez na karain.​
qatl e Hussain(R.A) asal main marg e yazeed ha
islam zinda hota ha har karbala k baad
 
Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
hmmmm kuch points jho aapke es thread pe qoute kerungi is k Hazrat Imam Hussain (R.A) sahaba aur Hazrat Muhammad (SAW) k nawasa the he wasnt a messanger tu aap unke naam k saath (A.S) use nai kersakte voh messangers k lie hai, dusri baat k Islam mei kahe qurbania hue beshuk yeh qurbani islami tareekh k sabse bade qurbani hai lekin hume islam mei koi ghum o nala kerne ka ijazat nai diya gaya tu hume ense guraiz kerne chahye, tesri baat yazeed ka aap bata rahe ho shoro mei mujhay bhi yahi lagta k shayed hazrat imam hussain k shadat mei enka haath tha but aisa nai hai, yazeed ka islami tareekh mei jho real pahlu hai voh hum mei se buhut kum log jante honge, so I request k when it comes to islam hum deen ka sahi ilm hasel ker k phir baat ko agay lejana hoga, else Allah knows better...
 
  • Like
Reactions: Don

mery post main to kaheen b ye nahi likha k..gham o nala karna chahyay,balkay issko ghalt he kaha ha,
secondly mukhtilaf makatab haaye fikar k jin logon ne b iss waqea k hawala se kitabain likhi hain un main se kisi ne b yazeed ko clean sheet nahi dee lekon agar aap k pass aisa koi tareekhi hawala ha to aap wo share karain,wasay bat karne ka to koi faida nahi,
dekhain hum tak jo b pohncha ha wo mourrakheen k zariye pohncha ha aur mourrakheen ki boht barri aksriyat ne yazeed ka wohi tasawar paish kiya ha jo zuban e zad'e aam ha,
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
mery post main to kaheen b ye nahi likha k..gham o nala karna chahyay,balkay issko ghalt he kaha ha,
secondly mukhtilaf makatab haaye fikar k jin logon ne b iss waqea k hawala se kitabain likhi hain un main se kisi ne b yazeed ko clean sheet nahi dee lekon agar aap k pass aisa koi tareekhi hawala ha to aap wo share karain,wasay bat karne ka to koi faida nahi,
A.S wali bat oar to agree karain..R.A likhte hain sahaba karaam (R.A) k saath

main kuch references aur aik Book ka link deti hun,,hopefully aap zarur parho gaye INSHAALLAH!

“NABI (SAW) ney fermaya k meri ummat ka pehla lashkar jo Qaysar k shehar Qustuntunia per jihad kerega un k liye Allah ki taraf sey Maghfarat hay” (Sahih Bukhari Vol. 1 pg. 410)“Qustuntnuia per sab sey awwal jihad Yazeed bin Mavia (Razi Allah Unho) ney kya aur un k saath sadaat-e-sahaba misl Ibn-e-Umer, Ibn-e-Abbas, Ibn-e-Zubair, Abu AyubAnsari (Rizwanullah Ajmain) aur ek jamaat thi” (Hashia Sahih Bukhari Vol. 1 pg. 410)

aap isse detail se parhiye

http://www.scribd.com/doc/22311590/Relationship-between-Hazrat-Imam-Hussian-ra-with-Yazid
 
  • Like
Reactions: Sabah

Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313
A.S wali bat oar to agree karain..R.A likhte hain sahaba karaam (R.A) k saath

main kuch references aur aik Book ka link deti hun,,hopefully aap zarur parho gaye INSHAALLAH!

“NABI (SAW) ney fermaya k meri ummat ka pehla lashkar jo Qaysar k shehar Qustuntunia per jihad kerega un k liye Allah ki taraf sey Maghfarat hay” (Sahih Bukhari Vol. 1 pg. 410)“Qustuntnuia per sab sey awwal jihad Yazeed (Rehmatullah Alaih) bin Mavia (Razi Allah Unho) ney kya aur un k saath sadaat-e-sahaba misl Ibn-e-Umer, Ibn-e-Abbas, Ibn-e-Zubair, Abu AyubAnsari (Rizwanullah Ajmain) aur ek jamaat thi” (Hashia Sahih Bukhari Vol. 1 pg. 410)

aap isse detail se parhiye

http://www.scribd.com/doc/22311590/Relationship-between-Hazrat-Imam-Hussian-ra-with-Yazid
aap ne jo yazeed k sath likha ha uss k baad mein aap se wohi bat kahun ga k jo Moulana Shafi Okarwi ne uss shakhs ko boli jiska hawala me ne apne column main diya ha,
secondly aapki taraf se share ki gai iss hadees se to phir ye b sabit hota ha k Allah Taala ne Nabi Pak(S.A.W) ko ilm-e-ghaib ataa kiya warna un(S.A.W) ko itna arsa pehle kaise pata chal gaya k falan jaga pe aik lashkar jahad kare ga aur phir usski maghfarat b ho gee... ???
 
  • Like
Reactions: i love sahabah

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
aap ne jo yazeed k sath likha ha uss k baad mein aap se wohi bat kahun ga k jo Moulana Shafi Okarwi ne uss shakhs ko boli jiska hawala me ne apne column main diya ha,
secondly aapki taraf se share ki gai iss hadees se to phir ye b sabit hota ha k Allah Taala ne Nabi Pak(S.A.W) ko ilm-e-ghaib ataa kiya warna un(S.A.W) ko itna arsa pehle kaise pata chal gaya k falan jaga pe aik lashkar jahad kare ga aur phir usski maghfarat b ho gee... ???
Prophet Muhammad PBUH kuch b khud se nhi ekhte thay wohi kehte jo un par ALLAH ki taraf se wahi hota,,,wahi na hota to wo koi b aane waali baat se waqif nhi hote thay!
par i think aap topic badalna chah rhe hain
Shirk k topic par baat akrna chahte hain to alag thread lga laian i can give u hundreds of references,,muej koi masla nhi

Filhal waale topic par baghair soche baat akrne se pehle aik baar diye gaye link may tafseelat parh laite,,but anywayz hmari qoum khandani ifkar ko follow akrti hai khud se search nhi karti yhi hmara sab se barra almiya hay!

kio k main thread daikh chukki thi is liye maira farz tha k agar muje kuch mustanid hawala jaat se koi baat pta hay to main bta doon,,kisi ko mnana ya na mnana kisi dusre ki zimedari nhi hay!
 
  • Like
Reactions: Sabah

Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313
Prophet Muhammad PBUH kuch b khud se nhi ekhte thay wohi kehte jo un par ALLAH ki taraf se wahi hota,,,wahi na hota to wo koi b aane waali baat se waqif nhi hote thay!
par i think aap topic badalna chah rhe hain
Shirk k topic par baat akrna chahte hain to alag thread lga laian i can give u hundreds of references,,muej koi masla nhi

Filhal waale topic par baghair soche baat akrne se pehle aik baar diye gaye link may tafseelat parh laite,,but anywayz hmari qoum khandani ifkar ko follow akrti hai khud se search nhi karti yhi hmara sab se barra almiya hay!

kio k main thread daikh chukki thi is liye maira farz tha k agar muje kuch mustanid hawala jaat se koi baat pta hay to main bta doon,,kisi ko mnana ya na mnana kisi dusre ki zimedari nhi hay!
mein topic badalna nahi chahta,lekon aap chon k ziada ilam rakhti hain to phir aapko prove karna chahyay k iss hadees main jo paish goi Hazoor Pak(S.A.W) ne ki uss hawalay se un par wahi nazal ki gai thee,
secondly A.S ko to mein ab edit nahi kar sakta, lekon mery taraf se aapko ijazat ha k aap kar dain lekon aap ne jo yazeed k sath likha ha wo b edit karain,warna aapki post jo musalman parhain ge unki dil azari ho gee,
aur agar aapko yazeed se itni he hamdardi ha to phir mein challenge karta hoon k aap wohi kuch keh k dikhaen jo Moulana Shafi sahib ne uss shakhs se kaha tha k kaho,
agar aap personaly janti hotien to aapko pata chal jata k mein apni khandani soch ko follow nahi karta,
jo mashwara mujhe dae rahi hain uss pe khud b amal kiya karain,
again demanding k aap ne jo yazeed k sath likha ha ussko edit karain.
 
inna lillahi wainna ilaihi rajion!
 
huny

TM Star
Dec 12, 2010
4,395
1,714
1,313
Islamabad
Yazeed ky sath (R.A) likhny say phely Hazrat imam Husaain ka darja smjny ke koshosh krain .. or smjain ky aik shaba or al-e-Rasool mai ktnma fark hai .. or jo kch yazeed ny kia usky sath aisA likhnay ka socha b ni ja skta ... and jhan tk bat hai hai ko wo mulavas ni tha is wakiay mai to sra sar glat hai han bs wo us krbala ky medaan mai ni tha .. agr kch aisa hota to bad hazrat Zainb or baki logo kay sath jo hva wo sb janty hain ....... "SALAM YA HUSAIN (A.S) @Hoorain @Sabah @Abidi
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
shukar ha k aapko apni ghalti ka ahsas hua aur aap ne "Rehmatulla Alaih" ko remove kiya.
hmm i will suggest u to read more about it,,search kariye learn kariye aapka kuch nhi jayega,,,paida hone se mout tak insan seekhne ki stage may rehta hay ,,,,,,
above hadith ko ilm-e-ghaib k topic ki taraf mor kar aap ne hadith k haqeeqi point ko nazar andaz karne ki koshish ki hay1
karbla k maidan may na aap thay na main thi wo waqiyat na aap ne daikhe hain na maine daikhe hain,,,jab waqiyat btane walon k byanat may itna ikhtlaf hay to best way hay khud se study kiya jaye!hamain apne mulk may chalne wali siyasat ka pta nhi to karbla may kia hua hoga ksi wja se hua hoga us k baare may itni surely koi b baat par behas kaise kar sakte hain baghair kisi reference k?!
but anywayz stay with what u think is ri8,,,main taqleed k khilaf hun
ooper hadith parhne k baad ya jahan tak maine is par search kiya us sab k baad to at least main kuch ghalat nhi keh sakti yazeed k sath ya un logon k sah jo us qastantinya k maidan may utrey thay!
khair muje is topic par behas nhi karni thi kio k ikhtlafi topic hay thats y generally bat karungi without using anything with YAzeed's name ,, sirf hadith share karni thi jo maine kar di!

@huny Hazrat Imam Hussain (R.A) sahabi thay ,,aur HAzrat Imam Hussain (R.A) shaheed ho chukke hain,,Arabic may "YA" hazir-o-nazir k liye use kiya jata hay!aur jahan tak un k darjey ki baat hay to is baat se yahan kisi ne deny nhi kkiya!
 
almiya ye ha k hum dusron ko jo sugesst karte hain uss par khud amal nahi karte,pehle aap ne mujhe mashwara diya k baghair sochay samjhay bat na karun,lekon aap ne khud baghair soche samjhay jo yazeed k sath likh diya usska ahsas aapko baad main hua(anyway dae aaed,drust aaed)
aap ne jo Hadees share ki uss par meray zehan main jo sawal paida hua wohi me ne uthaya,
ye bat to mein ne pehle he kahi thee k hum tak waqea karbala mourrakheen k zariye pohncha aur mein ne ussi tassawur ko samnay rakha jo mourrakheen ki majority ne paish kiya.
Me ne apna topic Allama Iqbal k shaer se start kiya aur end Moulana Muhammad Ali Johar k shaer pe kiya aur inhi ashaar k tanazur main sab likha,
Allama Iqbal b taqleed k khilaf thay lekon unho ne apni poetry main waqea karbala k hawala se jo likha,aapki soch uss k bilkul opposite nazar aati ha.
 
ikhtlafi topic hay behas bharne se rokne k liye hi bohat soch k maine pos edit ki baghair soche karna hota to behas bharti

anywayz end may

ALLAMA IQBAL ka hi shaer bolungi!

Taqleed ki rawish se to behtar hay khudkushi
Rasta b dhundh khizar ka soda b chor dey!

mazeed kuch discussion krni ho to koi ref b dijyega sath ,,muje khushi hogi nayi aur mustanid batain seekh k!
 
Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313
ikhtlafi topic hay behas bharne se rokne k liye hi bohat soch k maine pos edit ki baghair soche karna hota to behas bharti

anywayz end may

ALLAMA IQBAL ka hi shaer bolungi!

Taqleed ki rawish se to behtar hay khudkushi
Rasta b dhundh khizar ka soda b chor dey!

mazeed kuch discussion krni ho to koi ref b dijyega sath ,,muje khushi hogi nayi aur mustanid batain seekh k!
ye shaer to aap phir likhtien jab mein ye kehta k Allama Iqbal taqleed k haq main thay mein ne uper yehi likha ha k wo khilaf thay,lekon waqea karbala k hawala se aapki soch Allama Iqbal se opposite ha.
Secondly mein iss bat k haq main hun k humain ref. ussi waqt paish karna chahyay jab hamare pass itni salahiyat ho k hum uss par uthaeye gae sawalat k tasali bakhsh jawabat dae sakain.(jo aap nahi kar sakien)
Aap ne khud kaha k hum koi karbala k maidan main nahi thay to kia hum Qustuntuniya k maidan main thay? Jo hum uss buniyad par yazeed ko clean sheet dae dain?
Agar hum ye search karain ge k yazeed Qustuntuniya walay lashkar main tha ya nahi to zahir ha humain ghoom phir k wohi mourrakheen k hawala jat ko dekhna parre ga.
 
Top