Jo Bachpan Mein Mujhko Dekhaye Inhon Nay

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Yeh jiwan ki mohlat buhat mukhtasar hai
Sar rig e saahil par mitti ka ghar hai

Raha noqsh e daaem isi ka magar hai
Bana jis imarat ki khoon jigar hai

Mera saar in ki dua ka samar hai
Inhi kay ujalay say meri sehar hai

Jo bachpan mein mujhko dekhaye inhon nay
Inhi raaston par abhi tak safar hai
Sada ilm o fun in ka roshan rahe ga
Inhi ki ata hai, jo mujh mein hunar hai
Mein girna bhi chahon to girnay na day gi
Sada in ki hurmat jo pesh nazar hai
Tumhari tarah pyar say koi dantay
Yeh nakhal tamanna raha bay samar hai
Chupata hon yeh pyas, dunya say lekin
Tarasta buhat dast e shfqat ko sar hai
 
Top