Jo Chally To Jaan Se Guzar Gye............!!!!

  • Work-from-home

Bela

~*~A|!c3 in w0nd3r|@nd~*~
Active Member
Feb 4, 2010
5,975
3,851
1,113
Madrid, Spain
Jo Chally To Jaan Se guzar Gye
Maghrib ki azan gonjty hi usne apni chotti si dukan band ki or qadam masjid ki janib barha diye namaz k doran bhi uska zehen uljha hi raha tha. Apni teeino(3) behnon ki amad ki itlla ussy din ko hi mil chuki thi or yehi baat uski pareshani ka sabab thi. Esa hargiz nahi tha k behnon ka ghar anna usko napassand tha lakn wo janta tha apni ammad k baad se un sab ne Maham ko kesi tund o taiz baton se chalni kia hoga. Ghar janny ko maan nahi chah raha tha lakn maloom tha k Maham ki nigahin dehliz pe lagi hon gi k akhir wohi to uska nijaat dahinda tha.

“Hye! Agaya mera shahzada bhai.... kab se rasta dekh rahi han hum, aj zara jaldi hi ajata to konsi qayamat ajati” bari appa ne uska sar chumty hoe zara tunak k kaha tha “bhaiya apko to kbhi yaad na ai behno ki, hum hi chali tai han dil k hathon majboor ho k” ab ki bar choti goya hoy thi. “laken bhala humare pyar ki bhai ko qadar kahan ha” manjhali q un dono se pechy rehti. Wo jo abhi tak jabran muskura raha tha is bat pe sanjida ho gya. “arry essi to koi baat nahi, abhi pichly haftty hi to tumhare chotty k aqikky pe mulakat ho gai thi tum sab se, pher roz roz dukan band kr k kahin anna janna mushkil ha” apni saffai dene k bad hi wo charpai pe beth saka tha. “bhaiya is baar to hum teino apko heeran krne k lye ai han……” barri ne besakhta chotti ko kohni marri to wo bolty bolty chup hogai. Wo azal se jaldbaz hi thi. “Wo bhai me keh rahi thi k agr ap khany me humin ye nukkar wale paa ji ki haleem khilao na to aj hum teino apke lye bht barri khuskhabri lai han” barri ki taraf dekhty dekhty wo pher se boli thi. “pata ha pata ha tere chaskky abhi khatam nai hoe na, pehly hi keh ayah u ussy, de jae ga abhi ghar pe hi” usne zara kamar sidhi krty hoe kaha tha.
Raat ka kahna bahar sehan me bichi charpaiyon pe hi khaya gya. Maham kamrey me hi thi. Aj wo bahar nai asakti thi agr samne ati to mazeed aitaab ka nishan banti islye behter tha k nazron se ojhal hi rahy. Hamid ne nihayat bedilli se khana khaya tha jb k uski bahnon ne khany se khub insaff kia tha. Bartan bhi hamid ne hi uthaye thy q k maham ko to ACCHOT samajhtin thin wo sab. “ye deikh hamid! Kesa heera chunna ha hum ne tere lye is bar” bari serhany k nechy se wo khakhi kaghazi lifafa nikalty hoe boli thi. “bs Hamid is bar to hum aik nai sunain ge teri, dekh ye tasveerain or farigh kar is JONK ko, kab tak isko apna khoon pilata rahy ga” manjhli ki bat sun kar uska saans halak me hi atak gya or kamrey me bethi Maham ka to dil hi jese kisi ne muthi me le lia tha. “me esa nai kr sakta ap sab achi tarhan jantti hain, phr q har mahine koi naie tasveer, koi naya rishta liye chali atti han” usne tasveerain thami zaroor thi lakn un pe ak nazr tak nai dali thi. “Naaaa! Hum hath pe hath dhary aram se apne akloty bhai ko apni zindagi jahanum bnaty dekhty rahin, behnain hain teri maa’jaiyan. Nikal is nestti ko or ghar bassa apna, ghazab khuda ka humare bhi kuch arman han, bhateeje bhateejian dekhne k. teri ankhon pe to patti bandhi ha is badrooh ki” barri appa ne lihaz bala e taaq rakh dia tha or ab hath nacha nacha k maham ko kosne de rahi thin. “Appa ap samajhti q nahi, ilaj ha is bemari ka, wo achoot nai ha, uske sath uthne bethne hatta kea k bartan me khana khane se uski bimari apko nai lag sakti. Ap dua q nai krtin k Allah sohna usko shiffa de” bht lachari se samjhana chaha tha usne lakn uski har wazahat, minat samajat be’soud thi. Wo teeino ussi waqt taan faan krti bari appa ki ak saheli k ghar chali gai thi.

Na Ganvaao Naavak-E-Neemkash, Dil-E-Reza Reza Ganva Diya
Jo Bache Hain Sang Samet Lo, Tan-E-Daag Daag Luta Diya
Shikast khurda qadmon se wo kamrey me aya tha. Maham sajjdy me pari bilak rahi tha “O na kr ese tere aah lag jae gi unhain, jesi bhi hain, hain to mere behnain na” hamid ne kandhon se pakar k ussy uthaya tha. “me unhain kab kuch keh rahi hu, me to khud apse kehti hu dossri shadi kar lo ji. Mera kya ha zitni sansain baki han wo bhi guzar hi jain gi” maham ka chehra subha se zyada zard laga tha ussy.
“Kuda ka Kahuf karo Maham tum ne muje is qadar saffak aur bereham samajh rakha hay?”
wo tarap kar reh gya tha uski baat pe. “13 saal se sath ha tu mere, har dukh sukh me tera hi asra raha ha mujhy, ab is bemari ki wajha se me tujh pe itna bara zulm kr du. Me to esa nai kr sakta.” Uske lehjy me dukh k sath sath azam bhi tha. Maham ne usky hath tham kr ankhon se laga lye or ye raat bhi nihayat udasi se sirrak gai.

Ak saal pehly hi uspe ye qayamat tooti thi jab doctor ne btaya tha k mahan k jism me AIDS ka jarsoma ha. Hamid ko is bemari ka ushar ashir tak nai pata tha, Phr ussi bhaly doctor ne usy sab btaya tha k nihayat muhlik bemari ha jiska koi ilaj nai tha lakn naie(new) sciencey tehqiqat k mutabik ab ye marz la’illaj nahi raha tha. Doctor k hi btany pe ussy pata chala k muashry me iss bemari ko le kar kese kese farsuda nazriyat paye jaty han jiski wajha se mareez khud hi sehetyab hone ki jadojehed chor deta ha.

Usne both koshish ki thi k kisi k ilam me ye baat na aye laken maham ki din ba’din bigharti halat sare raaz ayan kar gai thi. Tab se ab tak wo maham ko logon kit und o taiz baton se bachata chala araha tha. Laken apni behnon ko apne ghar anne se kese rokta. Har bar unki amad, maham k sare ilaj ko rayeigan kr deti or hamid har waqt sehma rehta k koi bhi lamha uski masoom sharek e safar to us se chein na le.
Ussy wo maham yaad atti jo nihayat phurtelli thi. Jab uska sabzi faroshi ka kam manda chal raha tha tab maham unke gawo me mijood pahari k dosri janab ugay rang barangy phool toor k lati or un phoolon se itni khubsurat chezain bna k uski dukan me rakhti k sabzi se zyada Maham ki wo phoolon se banni ashiya hathon haath farokht ho jatin. Ussi waqt kamaye gaye paison se wo is qabil hoa tha k apni chotti behen ko biyah saky. Pher wo kese is andhery rasty pe ussy tanha chor sakta tha.


“Humin aj raat ko hi nikalna ho ga bas channd jorry rakho apne or kuch uthane ki zaroorat nahi” hamid ki awaz sargoshi se zyada nai thi. “laken raat ko q? hum din me q nai jasakty?” Maham ki samajh me kuch nai araha tha islye sawal pe sawal pochy jarahi thi. “yahan har taraf appa k jasoos hain, din ko nikle to appa ko ak second me italla mil jae gi, lakn raat ko niklain ge to jab tk appa ko khabar hogi hum Karachi pohanch chuky hon ge” usne tezi se apne or maham k chand jorry chaddar me phenky or jaib se nelly nelly notton(money) ki gaddi nikal k un kapron k darmiyan rakhi or chaddar ak gathri ki shakal me bandh di. Maham ki ankhain paison ko dekh k bheg gai to goya ye baat such thi k Hamid ne apni dukan onny ponny daam bech di thi.

Sarri raat k saffar k doran kai bar uski tbiyat bigri lakn usne Hamid pe zaher nai kiya. Wo tamam rasta chupky chupky rotty ai thi ese musafir thy jo wapsi ki kashtiyan jalla k aye thy, ya phir ese parinde jinke ghonsloon ko kisi ne bech bahaar k nazr e attish kr dia tha. Wo us se teen chaar qadam agy chal raha tha jab ak faqir ki sadda pe ruk gya wok eh raha tha
Door andaish log jootey k phattey huye talley nhi daikhtey balkey un phattey huye jooton may wo mazbut qadam daikhtey hain jinka rukh baghar kisi dushwari ki parwah kiye hamesha manzil ki janib rehta hai.”
Us faqir ki baat sun k Hamid chonka or be’ikhtiyar Maham ko dekhty hoe bola
“Baba ji! Maine har Mumkin koshish ki key phattey huye jooton k neeche se khisaktey huye talley(soles) Maham ko dikhayi na dian,
lakn apne to mera raaz fash kr dia” faqir ne uski baat pe kehkaha lagaya “O Jhaliya! Ye sab janti ha is se kya chupata ha. Q puttri?” ab wo maham se mukhatib tha. “ji baba ji! Me ne ghar se nialty hi inky tooty jooty dekh liye thy lakn khamosh rahi k inka bharam qaim rahy” maham ki ankho me ansu jhilmila uthy thy. “jao bacho jao Raab sohna khushi de ga wo ha ALLA QUL E SHAI IN QADIR” wo yehi garden krty hoe unse mukhalif simmt chal dia tha.
Karachi k is barry hospital me Maham ka ilaj kamiyabi se ho raha tha. Pandrah 15 din se wo intahai nigehdast k kamry me thi. Ye both se din Hamid ki zindagi k sab se sabar azma din thy. Us me jab tak khary rehne ki sakkat rehti wo Allah se maham ki zindagi mangta rehta. Aj both dino baad usy apni bivi se milne ki ijazat di gai thi. Mukhtalif machinon me jakry uske kamzor wajood ko dekh k hamid ka dil doob sa gya tha. Bht narmi se Hamid ne uska hath thama tha. Maham ne zara zara ankhain khol k usy dekha “me tumhari mehnat raye’gan nahi jane doun gi Hamid, tum ne mere lye itna kuch kia. Har bivi apne shohar pe sab kuch qurban kar deti ha ye uska farz hota ha, laken tum wo pehly shaks ho jisne apni bivi ko bachane k lye sab kuch har dia, ab me jeene ki umeed nai choron gi, mujhy tumhare sath mill k pher apni jannat abad krni ha.” Ansu qatra qatra uski ankhon se beh rahy thy or hamid ki ankhin bhi to naam thin.

Mere Chaaragar Ko Naved Ho, Saf-E-Dushmanaa Ko Khabar Karo
Wo Jo Qarz Rakhte The Jaan Par, Wo Hisaab Aaj Chuka Diya
Aj pory doo(2) maah baad wo dono apne ghar louty thy. Bilakhir wo kamiyab ho hi gaya tha. Doctor k mutabik maham k jism me palne wala AIDS ka wo khatarnaak jarsoma, nakara bana dia gya tha. Wapsi ghar atty hoe apni dukan k samne uske qadam kuch lamhon ko jam se gye thy, ye dukan hi to unki rozi ka zariya thi laken phr usne Maham ko dekha jiski pur soch nazrin kisi ghair maraie nukty pe jammi thi. Wo abhi sehan me bichi charpai pe betha hi tha k Maham kamry se wo tokkri utha lai jis me wo phool chun k laya krti, usne sawaliya nazron se maham ko dekha to wo kehne lagi
Hamid!tumhey maire saath pahari ki dusri janib phool chunne jana hay.”
Ak lamhy me wo apni bivi ki baat samajh gya tha. Maham apne hunar se ak bar phr uski mushkil asan krne uske shana bashana thi. Wo muskura diya is yakeen k sath k pahari k wo phool apni khushbu se zaroor unki zindagi phir se mehka dain ge.Jo Ruke To Koh-E-Garaan The Ham, Jo Chale To Jaan Se Guzar Gaye
Rah-E-Yaar Hamne Qadam Qadam, Tujhe Yaadgaar Bana Diya
 

Fa!th

--> BIRDY ♪♫♩
Hot Shot
Jul 20, 2010
37,229
12,298
1,113
Who Cares....
walikum salam
beautifulllllllll awesome and superbbbbbbb story bela very nicely written
ALL the best :-bd
 
  • Like
Reactions: Bela

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
Tumhari ye tehreer bhi buhat lajawab hey Bela, aur yaqeen kro mai'n ney ek hi nashist mai'n perhi hey manze kashi key sath sath lafzoo'n ka chunao aur unka moqey ki munasbet sey istimaal kamal maharet sey kia hey koi bhi tehreer jo qari ko apni grift mai'n ley ley ek behtreen tehreer key zumrey mai'n aati hey aur ye ek aisi hi tehreer hey,mairi taraf sey dhairoo'n daad qabool kro,Allah krey zor-e-qalam aur ziyadha,Allah tumhai'n hamaisha khush aur salamet rakhey,Ameen
 
  • Like
Reactions: Bela and Detective

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
walikum asalam

bela behtareen sharing yar...sacche u to baze lay gaye ho yar..speechless...
 
  • Like
Reactions: Bela

Humrahi

Active Member
Jun 18, 2012
291
243
743
!!India!!
Behad behtareen tehreer!!
lafzon ka istemaal boht hi umda kiya hai apne!!
Lagta hai koi well known writer ki story pad raha hun!!:)
behad ache lafz istemal kiye apne!!
 
  • Like
Reactions: Bela and Detective

zehar

VIP
Apr 29, 2012
26,600
16,302
1,313
MASHA ALLAH bohot hi achi likhi bela siso ap ney,,,

bohot maza aya parhney ka,,,,,urdu bohot pyari hai aapki...{()|asf
 
  • Like
Reactions: Bela

Bela

~*~A|!c3 in w0nd3r|@nd~*~
Active Member
Feb 4, 2010
5,975
3,851
1,113
Madrid, Spain
walikum salam
beautifulllllllll awesome and superbbbbbbb story bela very nicely written
ALL the best :-bd

thanks thanks F-16 shonu............:p [DOUBLEPOST=1348721296][/DOUBLEPOST]
Tumhari ye tehreer bhi buhat lajawab hey Bela, aur yaqeen kro mai'n ney ek hi nashist mai'n perhi hey manze kashi key sath sath lafzoo'n ka chunao aur unka moqey ki munasbet sey istimaal kamal maharet sey kia hey koi bhi tehreer jo qari ko apni grift mai'n ley ley ek behtreen tehreer key zumrey mai'n aati hey aur ye ek aisi hi tehreer hey,mairi taraf sey dhairoo'n daad qabool kro,Allah krey zor-e-qalam aur ziyadha,Allah tumhai'n hamaisha khush aur salamet rakhey,Ameen
hye ALLAHJi...... inni tareef....... shukriya shukriya
wese bhai ap meri ghaltiyan bhi nikal sakty hain[DOUBLEPOST=1348721385][/DOUBLEPOST]
walikum asalam

bela behtareen sharing yar...sacche u to baze lay gaye ho yar..speechless...
yara da khu thik da...... khu ataso qissa deira miss kom:( [DOUBLEPOST=1348721466][/DOUBLEPOST]
Behad behtareen tehreer!!
lafzon ka istemaal boht hi umda kiya hai apne!!
Lagta hai koi well known writer ki story pad raha hun!!:)
behad ache lafz istemal kiye apne!!

haaan ji ap kahan se rasta bho0l gye ho...........
bina tag tiye, apko kese pata chala?[DOUBLEPOST=1348721610][/DOUBLEPOST]
MASHA ALLAH bohot hi achi likhi bela siso ap ney,,,

bohot maza aya parhney ka,,,,,urdu bohot pyari hai aapki...{()|asf
thank you so much staru sis.......
n en really sorry mujhy apka tag mila bt story ai parh pai bcx bit busy hu......
 

Humrahi

Active Member
Jun 18, 2012
291
243
743
!!India!!
thanks thanks F-16 shonu............:p [DOUBLEPOST=1348721296][/DOUBLEPOST]

hye ALLAHJi...... inni tareef....... shukriya shukriya
wese bhai ap meri ghaltiyan bhi nikal sakty hain[DOUBLEPOST=1348721385][/DOUBLEPOST]

yara da khu thik da...... khu ataso qissa deira miss kom:( [DOUBLEPOST=1348721466][/DOUBLEPOST]

haaan ji ap kahan se rasta bho0l gye ho...........
bina tag tiye, apko kese pata chala?[DOUBLEPOST=1348721610][/DOUBLEPOST]

thank you so much staru sis.......
n en really sorry mujhy apka tag mila bt story ai parh pai bcx bit busy hu......
Aapne bulaya to nahi hume:( phir bhi aapki tehreer ko kheeche chae aagaye:)
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Speechless!
BEla u r MASHAALLAH an amazing writer
In situations ko jis tara aap ne use kiya hay its wonderful ,,awesome :-bd
BOhat bohat zabardast,,, perfect
Keep it up :-bd
 
  • Like
Reactions: Bela
Top