Justaj0ou E D0ost.........!!!!

  • Work-from-home

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,777
1,113
khair woh koi itnee material helpnhee thee...anyhw.......u did excellent job.................:-bd
 

Fa!th

--> BIRDY ♪♫♩
Hot Shot
Jul 20, 2010
37,229
12,298
1,113
Who Cares....
very very very very wonderful biography
@Bela bhtt hi acha likha hai aur parhne mai maza aagaya warna itni bari cheezain
parh parh k mai usually bore hojati hon :p
but aapse mai aik baat k liye naraz hon yeh thread sat ki hai
aur muje pata bhi nhi aapne tag bhi nhi kiya kya galti thi meri :(

@eXcalibuR tumhare oil se phisalne wali accident k barey mai ab pata chala
tabhi mai sochun tum kabi kabi pagalo jaise act kyun karte ho {(laugh)}
 
  • Like
Reactions: eXcalibuR

whiteros

'"The queen of kindness''
Super Star
Dec 20, 2011
10,936
3,866
1,313
Ab justaju e dost ki manzil koi bhi ho,
Hum chal pary hain raah ko dushwar dekh kar
Insani zindagi apne har marhaly pe kuch khas shaksiyat k namon se ibarat hoti ha. Ye khas log kbhi apni bht pyar bhari baton se yadon me zinda rehty han to kbhi durusht lehjy me kahy faqat ak jumle ki wajha se. In khas logon ko shaoour me qaid rekhny k lye zarori nahi k waqt ka ak kassir hissa inke sath guzara jae balky kabhi kabhi ak lamha hi kafi hota ha. Esi bht si shaksiyat me se aik ki swaneh e hayyat ko aj zabt e tehreer me lane ki koshish ki gai ha. Mazkora intakhab ki koi is qadar khas wajha bhi nai bahar hal nazar andaz bhi nai ki jasakti k bht kam arse me shaoour me shamil unhi khuch khas nammo se me aik hain.
Hazrat ki wiladat 90 ki dihai me saal k tesre mahine ki panch tarikh(5, march 1990) ko subh saat baj k 30 minute(7:30 am) baroz soumwaar ko hoi. Nihayat khubiyon waly or ajizana tabiyat k malik walidain se nawaza Rab e Zuljalal ne. Issm e grami Faisal Umer muntakhib kia gya.
Abbai mascan watan e aziz ka shehr Peshawar ha. Khanidan me doo(2) bary bhai or ak bari behen hone ki wajha se sb se choty hain islye behad lad pyar ki soghatain apne hissy me likhwa laye thy. Matmool gharane se taluk rakhty hain. Mazhabi or dostana mahool ki wajha se walid ki taraf se taleem o tarbiyat pe zyada twajoh di jane ka natija ye nikla k mosouf zyada sharati bachy na ban saky, kamgoo to thy lakin nihayat hoshiyar or akalmand thy.
Taleem o tarbiyat k lye pehle bazabta idaray D.I Khan k school me gye lakn wahan se Chakwal muntakil hoye or wahan se phir pora khanidan Peshawar aya. Ab mukamal toor par Dubai me rehaish pazeer hain.
Walidain ki umidomn pe hamesha pory utry or taleemi medan me bary bhai behno ki madad se kamiyabiyan samet’ty rahy. Tessri jumat se MBA finance krne tk sari taleem Peshawar se hi hasil ki. Matric tk pehli position ane ki zimadari apne kandhon pe lye rakhi.
Bachapan behad khushgawar raha, sbhi farmaishain pori ki gain, sb ki chahaton ka markaz bany rahy. Nana nani k bht qareeb thy yehi wajha ha k jb wo log Pakistan ko khair abad keh ker America gye to Faisal ne behad shidat se mehsoos kia or bolna baat krna chor dia. Tab ye sirf teen saal k thy or jb dubara bolna shuru kia to zuban me thori lunknat agai jo waqt k sath kam hoti gai lakin mukamal toor pr khatam na ho saki.
Teen saal ki umer me hi ak or nakhushgawar waqiya ye hoa k bawarchikhany k farsh pe taiil(oil) se phisal kar sar pe itni gehri choot lagi k doo(2) din tak comma me rehy lakn phr ALLAHJI ne inpe apna karam kia or hosh ki duniya me wapis agye.
Chunkay bachpan me bht sharmily or sadda thy islye jawani me qadam bhi inhi khususiyat k sath rakha. Teirranh(13) saal ki umer me jazbat me tabdili ai. Khud se ak barrs bari, Us mah jabeen ko passand krne lagy jis k ghar Quran e pak parhne jaty thy lakin ye sirf dil lagi hi rahi dil ki lagi na ban saki. Iske bad koi nazar me itni nahi jachhi jis ke hathon taskeer ho jaty.
Maa or dost inke nazdeek sb se eham rishty hain. Khushqismati se ye dono rishty ak hi fard me moyassar aye. Walida se bht gehri suhbat ha koi bhi baat unse nahi chupa sakty or unhi ko matta e hayat smajhty hain. Is k ilawa dosti k muamly me bhi kuch zyada lambi fehrist nahi ak hi sathi ha Khurram, jo Peshawar se hi taluq rakhta ha or inke har dukh sukh me sath deta ha.
Mazhab se lagao hone k bawajood aksar pori namazain adda nahi kr patty. Khushikhlaki or dosron k kaam any ka jazba ba’darja attam mojud ha. Tabiyat me ghussa bht nayyab ha agar ajaye to khamoshi ikhtiyar kr lete han.
Is asool pe sakhti se kaarband han k “suno, muskhurao, itaffak kro, laken kro wohi jo dil chahy”. Raab e Zuljalal se or khud se khouf mehsos krty han. Apne pyaron ko kho dena ka dar bhi Sath rehta ha.
Quaid e Azam Muhammad Ali Jinnah or apne nana hazor ki shakhsiyat se mutassir han. Barish, bahhar, rang, phool or mosiqi achi lagti ha. Khane me pizza bht passand ha. Libas sadda passand ha shalwar kurta pehna zyada passand ha.
Subho se sham krty hoe buht se kam mukamal krty han university jana, doston ko waqt dena or sonna, jb k sham se raat ka zyada hissa computer pe sarf krty han q k computer pe bht se khail khelna passand krty han. In se hi wabastigi ki wajha se khud ko “EXCALIBUR” khalwaty hain. Khud ko spiderman ka ustad or batman ka janasheen gardanty hain. Lihaza computer or inka sath 24 ghanton me se 18 ghanty ka ha. Iske ilawa meend k bhi bht shokeen han.
Sharik e hayyat apni jesi fitrat rakhny wali sadda or pursakun chahty hain jis ka intakhab khud krna chahty hain. Apne walidain k sath Dubai me hi rehna chahty hain.
Inka sb se bara khuwab ye ha k apne se wabasta logon ko khushiyan dain yehi inke lye Sb se barri kamiyabi ho gi.
Aik dost ne inhain Tafreeh Mela me shamoliyat ikhtiyar krne ko kaha or thek aik barras, saat din pehle (8, august 2011) ko is khubsurat mottion bhari nayyab larri ka hissa bany. Laken 22 august 2011 ko timepass section k addad o shumar me ye “94” harf likh k panch maah k arsse k lye ghaib ho gye thy or 4 january 2012 ko isi hissy k Missing you online k naam se jane jane wale section me dubara inki amad hoi.
Chunkay ye addad o shumar k mazmon me hi apni taleem hasil kr rahy hain lihaza Tafreeh mela pe bht isi hissy se inki wabastigi zahir ha or yahan hi zyada tar paye jaty han. Is duniya me inke bht se dost bany jin se bat cheet kr k inhe acha laga un me sar e fehrist ye channd hastiyan hain: Detective, Bahaar, Rubi, Faith or Hoorain. Guzashta eid k mokay pe munakid krae gye beshtar mukablon me nazar aty rahy libas k mukably me hissa bhi lya or khurak k mukably me hissa lene walo ka hosla barhaty rahy. Apni wapasi k baad se khasy sargarm dekhai dety hain or isi wajha se inki shan me yahan k kuch motabbar bassion ne tarreefi Thread bnaye jinki tafsil kuch youn ha:
Hoorain ne inhain decent se respectful member kehty hoe, aik hazar post mukamal krne pe mubarikbad is thread ko bna k di.
Bahaar ne inki teen hazar post k aitaraf me inko POLITE SE AUR CHUP CHUP K LEG PULLING KARNEWALE member kehty hoe ye thread bnaya
Rubi ne inke lye bht munfarid kam kia
Inke takhleek kie thread ki tadad 16 k barabar ha jis me se zyada tar Tafreeh or TM Tube me han lakn ak bht hi lajawab takhleek “Barsoon Baad” ka unwan liye Ashaar me ha
Lag bhag chaar hazar(4000+) se zyada post hain jin ko panch soo pachaas(550+) martaba se zyada saraha gya.
Kamiyabion ka ye silsila yahan hi khatam nahi hota balky mustakbil me Tafreeh mela ki is khubsurat larri ko or phalty pholty dekhna chahty hain.
Jo Khushi Tumharay Kareeb Ho

Wo Sada Tumhain Naseeb Ho

Tujhe Wo Khulos Milay Ke Jo

Teri Zindagi Pe Muheet Ho

Jo Mayaar Tujhko Pasand Ho

Jo Tumhare Dil Ki Umang Ho

Teri Zindagi Jo Talab Kare

Teray Hamsafar Ka Wo Rang Ho

Jo Khayaal Dil Main Aseer Ho

Or Dua Main Bhi Taseer Ho

Teray Haath Uthtay Hi Khuda Karay

Teray Saamne Tabeer Ho

Tujhe Wo Jahan Milay Jidhar

Ghamon Ka Koi Guzar Na Ho

Jidhar Rooshni Ho Khuloos Ki

Or Nafratoon Ko Khabar Na Ho

bohat ZABARDAST LIKHA
best of luck:)
 

Bela

~*~A|!c3 in w0nd3r|@nd~*~
Active Member
Feb 4, 2010
5,975
3,851
1,113
Madrid, Spain
very very very very wonderful biography
@Bela bhtt hi acha likha hai aur parhne mai maza aagaya warna itni bari cheezain
parh parh k mai usually bore hojati hon :p
but aapse mai aik baat k liye naraz hon yeh thread sat ki hai
aur muje pata bhi nhi aapne tag bhi nhi kiya kya galti thi meri :(

@eXcalibuR tumhare oil se phisalne wali accident k barey mai ab pata chala
tabhi mai sochun tum kabi kabi pagalo jaise act kyun karte ho {(laugh)}
hye faithu.......... mujhy nai pata tha you people bhi visit kr rahe ho urdu contest.......
nai to zaro0r tag krti...... bt phr bi sho0ory sis.......
n yup akhir X ne bta hi dia The Hidden Secrt
 
  • Like
Reactions: eXcalibuR

Fa!th

--> BIRDY ♪♫♩
Hot Shot
Jul 20, 2010
37,229
12,298
1,113
Who Cares....
hye faithu.......... mujhy nai pata tha you people bhi visit kr rahe ho urdu contest.......
nai to zaro0r tag krti...... bt phr bi sho0ory sis.......
n yup akhir X ne bta hi dia The Hidden Secrt
it's ok sweetheart {()|asf
next time maaf nhi karungi :p
 

Bela

~*~A|!c3 in w0nd3r|@nd~*~
Active Member
Feb 4, 2010
5,975
3,851
1,113
Madrid, Spain
  • Like
Reactions: Fa!th and Rubi

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
hahaha yeah true bela actually is may bhi aapka kasur hay aap ne biography ziada achi bna di hay to ab in se rha nhi jaa rha :p
X ka guzara kam logon pe nai ha.............
isko pory mohally me bantny hain:p



nxt time ka moka kon de raha ha you ko??????:-"


thanks rubi....... n result bhi agaya ha iska to
[DOUBLEPOST=1347885500][/DOUBLEPOST]hahaha yeah true bela actually is may bhi aapka kasur hay aap ne biography ziada achi bna di hay to ab in se rha nhi jaa rha :p
X ka guzara kam logon pe nai ha.............
isko pory mohally me bantny hain:p



nxt time ka moka kon de raha ha you ko??????:-"


thanks rubi....... n result bhi agaya ha iska to
 

Bela

~*~A|!c3 in w0nd3r|@nd~*~
Active Member
Feb 4, 2010
5,975
3,851
1,113
Madrid, Spain
hahaha yeah true bela actually is may bhi aapka kasur hay aap ne biography ziada achi bna di hay to ab in se rha nhi jaa rha :p
[DOUBLEPOST=1347885500][/DOUBLEPOST]hahaha yeah true bela actually is may bhi aapka kasur hay aap ne biography ziada achi bna di hay to ab in se rha nhi jaa rha :p

han achi bnani hi thi......
ye hmare brother in lw jo hoty han.............
to you knw sasural se daar naturl ha na:p
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
actuly inka n mere hubby ka origan area same ha
ese ye sasural me se hoe k nai.....................
ohhhh acha g g bilkul aap k sasurali hi huye :p! {(popcorn)}
waise dewar bhabhi ka rishta kaafi zabardast hota hay
aap k hain koi brother in law?
 

Ezio

Super Star
Aug 9, 2011
5,766
1,003
613
ahan.........interesting @eXcalibuR :) u r lucky to have such sweet freinds...!! like bela

@Bela ....... I m impressed....
Indeed :) Thanks bro :)

@Fa!th comment kafi lamba tha, laikin mjhe pata tha end main mere liye aisa hi koi remark ho ga :p /:)

@Rubi kabhi kabhi tum kitni aqalmand ho jati ho na :p hehehe

And finally LoL @brother in law, Bela sis ap ne sab ko confuse kr diya :p
 
  • Like
Reactions: Ally
Top