Kab uska visaal chaahiye tha

  • Work-from-home

pink-rose

Newbie
Jul 19, 2008
325
120
0
Kab uska visaal chaahiye tha
bas ek khayaal chaahiye tha

kab dil ko jawaab se garz thi
honto'n ko sawaal chaahiye tha

shauq ek nafas tha aur wafaa ko
paas-e-maah-o-saal chaahiye tha

ek chehraa-e-saada tha jo humko
be-misl-o-misaal chaahiye tha

ek qarb mein zaat-o-zindagi hain
mumkin ko muhaal chaahiye tha.
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top