Kabhi Jo Cheirr Gaye Yaad-e-RaftgaaN MOHSIN,

  • Work-from-home

SaRkaR

Newbie
Aug 14, 2008
12,690
4,289
0
pakistan
Kabhi Jo Cheirr Gaye Yaad-e-RaftgaaN MOHSIN,
Bikhar Gaye Hain Nigaahein KahaaN KahaaN MOHSIN,

Hawa Ne Raakh Urraai Toh Dil Ko Yaad Aaya,
K Jal BujheeN Mere Khwabon Ki BastiyaaN MOHSIN,

Kuch Aise Ghar Bhi Miley Jin Mein Ghoogatton K Iwaz,
Hui Hain Dafan Dopatton Mein LarrkiyaaN MOHSIN,

Khandar Hai Ehd-e-Guzishta Na Chhu Na Chheirr Isey,
Khulein Toh Band Na Hon Iskii KhirrkiyaaN MOHSIN,

Bujha Hai Kaun Sitaara K Apni Aankh K Saath,
Huey Hain Saare Manaazir DhuaaN DhuaaN MOHSIN,

Nahi K Usne Ganwaaye Hain Maah o Saal Apne,
Tamaam Umr Katti Yoon Bhi RaaegaaN MOHSIN,

Mila To Aur Bhi Taqseem Kar Gaya Mujhko,
Sameittna Thin Jisey Meri KirchiyaaN MOHSIN,

Kahin Se Usne Bhi Torra Hai Khud Se Rabt-e-Wafa,
Kahin Se Bhool Gaya Main Bhi DaastaaN MOHSIN.....!!!
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

chaahsheerin

Newbie
Dec 9, 2009
10
6
0
ghbaare maazi

kya khoob kaha hai dil ko door tak jhanjhod gya ye sher......k ...khandhar hai ehde_guzishta na chhoo na chhed ise khulen to band na hon iski khidkiyan mohsin........wow!kya khoob akkasi hai yaade maazi k un auraaq ki jinhen palatne chhoone se bhi karb mehsoos hota hai aur phir pehron ye ehsaas ghalib rehta hai tamaam sochon par.........k .karb hi karb hai...har soo........ye kis maqaam par hayat mujhko leke aa gayi.........hadde nigah tak jahan ghubaar hi ghubaar hai.......
{)*}
 
Top