Kabhi wo mujh say kehta tha ................

  • Work-from-home

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Kabhi wo mujh say kehta tha ...............[SIZE=+1]
[/SIZE]

Thinking Of YouKabhi wo mujh say kehta tha ................
Keh meri zindagi tum ho,tum hi ho arzoo meri to her khushi tum ho.....na dekho main agar tum ko to aankhain noor hi kho dain....meri aankhon main jaan-e-jaanchamakti roshni tum ho......mujhay her khof say hat k yeh dunia ko batana hay ,keh apnay piyar ka bandhan to sadiyon say purana hay.....humain aik doosray ki zaat ki takemeel rakhni hay ....sumandar kay kinaray par humain aik ghar banana hay ....wo ghar jis mainbaharon khushboon rangon ka mela ho......yahan say door sabzay main wo ghar apna akaila ho....main her subha tumharee ankh say dekhoon haseen manzar,tumharey husan ka jadoo meri aankhon main phaila ho...
..........Magar...........
Phir youn hooa halaat nay uss ko badal dala
Bhula k sub uss nay waday hamara dil kuchal dala
Bnayee sahilon par ghar mohabat k haseen uss nay .......
Magar wah ai mukadar keh badal dalay makeen uss nay .....
Kissi ka haath hathon main wo lay kar ab bhi wo chalta hay......
..........Magar..........
Jab bhi tanha milta hay wo bus itna hi kehta hay .............
...........Suno..........
Tum say juda hokar laga wo ghaao gehra hay
Hamari dil ki wadi par jahan tha raaj khushiyon ka wahan ab dard thehra hay .........
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top