Kabhii kahaa na kisii se tere fasaane ko na jaane kaise khabar ho ga_ii zamaane ko

  • Work-from-home

rehanckl

Newbie
Jan 28, 2010
1,485
1,215
0
33
Kabhii kahaa na kisii se tere fasaane ko
na jaane kaise khabar ho ga_ii zamaane ko


chaman me.n barq nahii.n chho.rhatii kisii suurat
tarah tarah se banaataa huu.n aashiyaane ko

sunaa hai gair kii mahafil me.n tum na jaaoge
kaho to aaj sajaa luu.n gariib-khaane ko


duaa bahaar kii maa.ngii to itane phuul khile
kahii.n jagah na milii mere aashiyaane ko


chaman me.n jaanaa to sayyaad dekh kar jaanaa
akelaa chho.d kar aayaa huu.n aashiyaane ko

merii lahad pe pata.ngo.n kaa khuu.n hotaa hai
huzuur shammaa na laayaa kare.n jalaane ko

dabaa ke chal diye sab qabr me.n duaa na salaam
zaraa sii der me.n kyaa ho gayaa zamaane ko


ab aage is me.n tumhaaraa bhii naam aayegaa
jo hukm ho to yahii.n chho.d duu.n fasaane ko


'qamar' zaraa bhii nahii.n tujhako khauf-e-rusavaa_ii
chale ho chaa.ndanii shab me.n u.nhe.n manaane ko
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top