kahne ko mera us se koi wastah nahin
kahne ko mera us se koi wastah nahin
Amjad magar woh shakhas mujhe bholta nahin
darta hooN ankh kholooN tu manzar badal na jaay
main jaag tu raha hooN magar jagta nahin
aashuftagi se us ki use bewafa na jaan
aadat ki baat or hai dil ka bura nahin
tanha udas chaand ko samjho na be khabar
her baat sun raha hai magar bolta nahin
khamoosh rutjagooN ka dhuuaN tha chahaar su
nikla kab aaftaab mujhe tu pata nahin