kalam-e-Iqbal

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Assalam u alaikum
yeh kalam-e-Iqbal hum ne Matric me apni Urdu ki book me parha,humare boht muhtaram ustad ne is ki boht achi tashreh karwai..aj phr sun kar boht acha lga

11th grade me jb yeh kalam parha to boht afsos b huva..jb apne haal pe nazr parhi.. aur humari teacher ne hume boht ache andaz me parhai ..daant k b aur humare zameer ko jagane ki pori koshish karte huve..Allah unhe khush rakhe ..Ameen

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Iqbal Pakistan chahte the.unhe ne musalmano ko jagaya,unhe mard-e-momin aur khudi ka tasavar diya ..gulami ki zanjiron me jakre zulam ki chaki me piste musalmano ko un k aba-o-ajdad k shandar dor ki yaad dilai k gulami un ka muqadar kyun bani..Iqbal me apni shairy me khudi ka tasawar diya,aur musalmano k liye ek alag Islami mulk ka khawab dekha..woh khawb akhir sharminda-e-tabeer huva..
aur jahan tak apka sawal hai aj ka Pakistan to..aj b hum zehni gulami ka shikar hain..Iqbal ka Pakistan esa nhi tha..jesa hum ne ise bna diya..UN ka Pakistan to woh tha jis me har shakhs murd-e-momin ki amli tasveer ho..khair..hume phir se jagna hai aur is mulk ko Iqbal ka Pakistan bnana hai jesa uhno ne khawab dekha..Allah humare haal pe reham kre..Ameen
 
The horror

Banned
Nov 24, 2011
1,965
595
113
29
the haunted mansion
khudi ka tasawar to islam main nahi hai.. AP bar bar momin ka lafaz use kar rahain hain... Kia ap waqie Islam kay Asolon par chal sakti hain... Masalan Islam main females ko ghair mehram kay sath kaam karnay ki ijazat nahi hai... Ap ko bahir jatay hoay apnay sath koi azizi rishta dar rakhna paray ga... ya bahir janay kay liey apnay Walid ya Husband se ijazat leni paray gi... Agar un ki marzi nahi hoi to ap ko Islam ko follow kar paray ga.. Kia waqie hi ap esaa Chaheti hain
 
Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Iqbal ne Khudi ka tasawar Quran se liya hai.Allama Iqbal se kisi ne pocha k ap jo Khudi ki baat karte hain to yeh kisi dosre falsafi ki kitabon se lia gya hai kya? to Iqbal ne farmaya mere falsafa -e- khudi ki bunyad Quran ki yeh Ayat hai
"Un logo ki manid na ho jana jis ne Allah ko bhula diya to Allah ne unhe Apne Ap se ghafil kar diya"
surah Al-Hashar(ayat no 19)
Allah ki pehchan aur apni zaat ki pehchan me gehra taluq hai,khudi apni zaat ki pehchan ka nam hai jis shakhs ne apne andr k insan ki pehchan ki goya us ne Allah ko pehchan lia..jis ne apne nasf ko pehchan lia use maat dy di aur Allah ko pa lia,Allah ki pehchan k liye insan ko apne andr jhankna zaruri hai..isi tarha woh apne maqsad-e-takhleeq ko smjhe ga aur Allah ki marfat pa ly ga...!
jo thora boht mujhe pata tha mai ne bata diya
aur dosra sawal jo kia meri personal raye pochi to mai apne bare me batana zaruri nhi smjhati agar apko waiqe hi is mutaliq malumat chahte hain is k liye ap alag se thread lga kar is topic ko sahib-e-ilam k sath discuss kijiye..
umeed hai ap khilaf-e-mamool behas se ijtinab farmayen ge
shukaria
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!

:-bd

Apne mann may doob kar paa ja suragh-e-zindagi
tu maira nhi banta na ban, apna to ban
 
Kabi Nabi Kareem ne Khudi kay Oppr Baat ki ho... Kabi Kisi sahabi ne khudi kay taswar ko pesh kyun nahi kia... or Iqbal sahib 1400 baad kesay aik falsay ko biyan kar saktay hain Jis se 1300 salon mian koi waqif nahi tha... Main ap ki kuch rehnamai karna chahon ga... Meray sawal ap kay thread se hat kar nahi hon gay..

منکر حق نسد مّلا کافراست
منکر خود من کافر ترست
Iqbal Sahib Keh rahay hain kay Khudi Ka Munkir Kafir Hai... Yani Jo khudi Ko nahi manta woh kafir... Yeh Kesay ho sakta hai... Nabi Kareem ne to kabi nahi kaha khudi se inkar karnay walay Kafir... Quran main saaf likha hai Kay Shair logon Ko Gumrah kartay hain... To phir ap kis Iqbal ko follow kar rahi han

Main ne ap sa sawal yeh kia hai... Kay Iqbal Khalifat kay haq main thay.. Woh Islam kay Asolon par mabni aik mashra dekhna chahtay thay, Islam kay Asool ap ko pata hon gay... Yani Aurtain Ghair Mehromon kay Sath kam Nahi Kar sakti... Begair kisi Zaroori Waja Kay ghar se bahir nikal nahi sakti.. .Kia ap waqie hi esay chahti hain... Ap lagta hai kisi khushi fehmi main hain kay main ap ki personal life kay baray main janta chahta hun... Meray zehen main koi esi baat nahi hai -- Yeh to bohat asan sawal... Chalak guria "hoorain" bhi jowab day sakti hai...
 
khabradar jo meko kuch kaha to /:)

aap se ziada kon hay chalak bhla yahan.. huh kachu maasar {(popcorn)}
 
NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
nhee teraa nasheman qasar e sultani kgumbad pe

tu shaheen hai baseraa ker paharhon ki chitaanoon mein
 
  • Like
Reactions: hoorain

The horror

Banned
Nov 24, 2011
1,965
595
113
29
the haunted mansion

:-bd

Apne mann may doob kar paa ja suragh-e-zindagi
tu maira nhi banta na ban, apna to ban
Yeh kesay suragh Zingai hai... Jis ko Allah kay Rasool nahi bataya.. Kia abu Bakar ne bataya kia Surage Zingagi... Kia Iqbal Islam ko Ziada Samjtay Sahaba Ikram se-- Guria Batoa muje yeh kia hai surag e zingi
 
*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
khudi ka tasawar to islam main nahi hai.. AP bar bar momin ka lafaz use kar rahain hain... Kia ap waqie Islam kay Asolon par chal sakti hain... Masalan Islam main females ko ghair mehram kay sath kaam karnay ki ijazat nahi hai... Ap ko bahir jatay hoay apnay sath koi azizi rishta dar rakhna paray ga... ya bahir janay kay liey apnay Walid ya Husband se ijazat leni paray gi... Agar un ki marzi nahi hoi to ap ko Islam ko follow kar paray ga.. Kia waqie hi ap esaa Chaheti hain
esa kidar likha hy hawala du
 
The horror

Banned
Nov 24, 2011
1,965
595
113
29
the haunted mansion

کھلے جاتے ہیں اسرار نہانی
گیا دور حدیث لن ترانی
ہوئی جس کی خودی پہلے نمودار
وہی مہدی وہی آخر زما نی

Iqbal sahib Keh rahay hain... Mehdi Woh hai Jis ne apni khudi ko Pa Lia... Kia Iqbal sahib Mehdi Akhir Zaman Thay... Bacho yeh batain ap ko kon batay ga... Seekh lo muje se phir kis ne ana hai
 
*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
main to jailbi ki tarah seeda sa banda hun... Main dobara sawal kar deta hun

Surag e Zingigi kia hai..

کوئی قابل ہو تو ہم شان کی دیتے ہیں
ڈھونڈنے والے کو دنیا بھی نی دیتے ہیں
Iqbal ko kis ne haq diya tha... Kay woh Allah ki taraf se Bolay... Kia Allah ne Iqbal kay opper koi sand Nazil ki thi

---------- Post added at 12:25 PM ---------- Previous post was at 12:23 PM ----------

biyya mian ap se poch raha hun... Khudi Ka Hawal kahan hain Islam main.. Ap kis cheez ka hawala mang rahay hain
khudi ka mene kidar kaha?
apne ju piche bhashan dia quran me ye hy wo hy islam me ye hy wu hy uska hawala du
 
Status
Not open for further replies.
Top