Khawab marte nahin
khawab dil hain na aankhen na shaamain ke jo
reza reza hue to bikhar jaainge
jism ki mout se yeh bhi mar jaainge
khawab marte nahin
khawab to roshni hain nawa hain hawa hain
jo kaale pahaaron se rukte nahin
zulm ke dozakhon se bhi phhukte nahin
roshni aur hawa aur nawa ke alam
maqtalon main pohonch kar bhi jhukte nahin
khawab to harf hain
khawab to noor hain
khawab suqraat hain
khawab mansoor hain
Khawab marte nahin