Khayalon K Darichon Se

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
haqeeqat woh hai jisey hamen har haal main tasleemkarna chaiye{(doh)} baqi details baad main likhungi
ye toh gari ko dakka lagaya hai mene ab isey chalana start karo

Haan bas gaari ko dhakka lagao aur chalti phirti nazar ao.:p.ye jumla bhi aam sa kaha hai hazaron se suna hai..{(yahoo12)}
Acha chalo agay mei kuch kahne ki jasarat karti hun...
Jaisa k Neelu ne kaha haqeeqat wahi hai jise hume tasleem karna chahiye..

Ji Haan Haqeeqat chahe kitni hi karwi kyun na ho apni hoti hai,khwabon ki tarha bewafayi nahi karti
Haqeeqat se na ashna insan khasaray me rahta hai
haqeeqat se munh churana bewakufi ki daleel samjhi jati hai
Haqeeqat ka zayeqa go k bahut zaherila hota ahi lekin iski karwahat se hi zinagi zindagi banti hai..
 
  • Like
Reactions: Nelli

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
chalen gi..khawabon se nikal kr ab Haqiqat ki dunya me aate hain
next topic hai

HAQIQAT

masha Allah bohot acha topic hai :)

haqiqat Allah ki zaat hai

aur hame ek din maut k anchal me sona hai ye bhi haqeeqat hai
Allah ki zaat ke elawa har cheez faani hair aur ye faani hona bhi ek haqeeqat hai
har wo cheez ka ilm jo hame Quran aur Hadees se milta hai wo haq hai

ab hamne is zawiye se socha baki sab apna izhare khayal karen
 
~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513

masha Allah bohot acha topic hai :)

haqiqat Allah ki zaat hai

aur hame ek din maut k anchal me sona hai ye bhi haqeeqat hai
Allah ki zaat ke elawa har cheez faani hair aur ye faani hona bhi ek haqeeqat hai
har wo cheez ka ilm jo hame Quran aur Hadees se milta hai wo haq hai

ab hamne is zawiye se socha baki sab apna izhare khayal karen
MashAllah.....Chalenji apki hi baat ko agay barhate hain...
Allah Haq Beshak Qayamat aur Maut beshak barhaq..Is haqeeqat ka samna har zeerooh ko karna hai..Is faani aur purlutf duniya k liye hum wo sab karguzarte hain jaise hujmesha hume yahan rahna hai aur haqeeqat se nazren churakar us lafaani aur purhaqeeqat duniya ki fikar chorkar bas jiye jarahe hain..Ye Duniya raasta aur hum sab Musafir magar manzil ki parwah kisi ko nahi..Rastay ko hi HAQEEQI manzil samjha hua ye Nadaan insan,ye bhatka hua insan jise Ashraful makhluqat kahlane ka sharf hasil hai asal me us parinday se bhi zyada haqeer hai jo apne Malik e Haqeeqi ki hamd o sana karte nahi thakta...Haaiye Ye Insan Haqeeqat se bahut door khwabon aur jhoote saharon hi talashne me apni sari umar ganwa deta hai..magar haath iske kuch nahi ata,kuch bhi nahi
sach aur Haqeeqat ka samna karne se darta hai ajka insan aur yhi insan ki HAQEEQAT hai...!!!!
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~ and saviou

masha Allah :)
aise lag raha hai jaise apne hamari kahi baat ki tafseer bayan ki hai
bilkul hamne raste ko hi haqeeqi manzil samajh baithe hain issi liye to akhirat ki fikar nahi karte insan ko Allah ne ashraful maqlooqat kaha aur hai bhi har lihaz se lekin insan apne khud ke amaal se ek janwar se bhi badtar hojata hai

aur Quran ne insano me se phir ummat e mohammadia ko ashraful maqlooqat me se bhi ye ejaz bakhsha ki aap khaira ummah ho yane sari ummaton me se sab se behtareen ummat lekin sirf ye keh kar nahi chora balke aage wazahat ki ke khaira ummah kehlane k liye hame kya karna chahiye wo ye hai ke amar bil maroof aur nahi anil munkar ka fareeza anzam dena hai achi baton ki taraf logon ko bulana hai aur buri baton se rokna hai

ab achi baat aur baat konsi hai achi baat wo hai jisse karne ka hukm Allah ne aur uske Habeeb alahisalam ne diya aur buri baat wo hai jisse Allah ne aur uske Habeeb alayhisalam ne ruk ne ko kaha

jazakallah khair mohtarma
Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
HAQEEQAT

dunya ek stage hai yahan har insan aata hai apna kirdaar ada karta hai aur chala jaata.yahan wahi kamiyab hota hai jo abdi zindagi ki tayyari theek tarha se karle.kyunke barf ka kamiyab taajir wahi kahlata hai jo burf(ice) ko pighalne se pahle hi usse bech daale.

yahan har insan ko is daar e faani se kooch karke mulk e adum ki rah leni hi parti hai.aur wahan jo zindagi hamara intezar kar rahi hai wahi haqeeqi zindagi hai.aksar is dunya me insan apni
haqeeqat ko bhulakar is dunya ki lazzataon me mashghool hojata hai.aur is haqeeqat ko faramoosh kiye deta hai k ye zindagi ek muhallat hai.

is liye hame chahiye k hum apni zindagi ko quran o sunnat par amal karte hue guzaaren.taake ye aamaal hame hamari haqeeqi manzil tak pahunchaane me kamiyabi ka zaamin bane.
 
Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113

bilkul thek farmaya..
umdah..
 
Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
well said saviou and bahaar
 
Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
ab ki bar main ek misra likhon gi..jis pe ap ne apne khayalat ka izhar karna hai..
us misre ko parh k ap k zehan me jo khayalat aate hain yahan tehreer karne hain.
.

Muhammad (s.a.w) ki Muhabbat Deen-e-Haq ki shart-e-Awal hai..
 
Status
Not open for further replies.
Top