khushii sey thaamay thay
woh paisay uss bhikaaran ney
diye thay jo abhii uss ko
kissi ameer aurat ney
khaaya tha taras uss aurat ney
bhikaaran k uss bachay par
kaha tha dono ko
"kuch khaanay ko ley leyna
bohat bhookay sey lagtay ho
jaisay khaaya naii kuch
kaafii dino sey tum ney"
apnay bachay ka haath thaamay
chal parri thii woh bhikaaran
ik rehrii walay kii taraf
k woh khud bhi bhookii thii
abhi bachay ko hii diya tha ley kar abhii khaana
apnay liye woh abhii kuch leynay hii walii thii
k
"maa'N mujhe woh gaarii chahiye"
kiya ishaara bachay ney ik rehrii walay kii taraf
daikha ik nazar maa ney bachay k chehray par
"suno bhai! mujhe khaana nahin chahiye
mujhe apnay bachay ko gaari ley kar deynii hai"
bachay kii khushii bhook sey zyada zaroori thii
dila kar gaarii apnay bachay ko
woh apnii bhook bhool baithii thii
kyun k woh ik maa'N thii
aur Maa'N to aakhir Maa'N hotii hai naa...!!!