Khushion Ka Aur Ghumon Ka Mausam December Hai

  • Work-from-home

Ocean-of-love

Hot Shot
Nov 13, 2014
23,099
5,146
513
Assalaamu alaikum doston
ye nazam mene December shayari ke mauqe per likhi thi
ab aap subse yahan share kar raha hoon umeed hai IN SHA ALLAH
aap ise mukammal parhengen aur pasand karengen


Khushion ka aur ghumon ka mausam december hai
kahin qehqahe goonjte, kahin hai matam december hai
wahi lihafon me leit kar aapasi baaten kahin
kahin chaaya huwa hai shayarana aalam december hai


kar paata hai koi bamushkil fajar ko wazu
koi kar raha hai kisi ko paane ki justaju
kisi ko naseeb chain raat bhar ka hai
kahin aashiq raat bhar kar rahe hain guftagu


har rishte nazariye ko mil rahi hai taazgi
jese band phool per naweli shabnam december hai
Khushion ka aur ghumon ka mausam december hai
kahin qehqahe goonjte,hai kahin matam december hai


halke phulke sadaon ka yahan se wahan hona
kahin sheir o shayaari ka pyara diwaan hona
kisi ke liye bara pyara hai ye maheena
kisi ke liye ise bas wisaal ka nishaan hona


koi sub bhool kar khush baash reh raha hai
kisi ka phir taaza huwa hai zakham december hai
Khushion ka aur ghumon ka mausam december hai
kahin qehqahe goonjte,hai kahin matam december hai


thande thande subh me maa ki banayi garam chaaye
behen bhaion ki bachon ki yaad bohot tarpaaye
ye maah to guzare na guzre kaate na kate
KHUDA kare apnon se door kabhi koi na jaaye


dekho kitna inko bhi hai dukh doston
pardesion ke bhi aankh hain num december hai
Khushion ka aur ghumon ka mausam december hai
kahin qehqahe goonjte,hai kahin matam december hai


tumhen yaad hun ya bhooli ho jaanta nahin
magar tum lout aaogi itna tak maanta nahin
ye to jaanta hun umeed achhi cheez hai lekin
jo mumkin hi nahin aise guman paalta nahin


ghum e ishq ki inteha to mujhe nahin malum
bas ye tey hai ibtida kam az kam december hai
Khushion ka aur ghumon ka mausam december hai
kahin qehqahe goonjte,hai kahin matam december hai


kahin raaton me qaiyam ho raha ho
kisi ka dil kisi ke naam ho raha hai
hain qareeb hi kuch faraz o wasi jese
jinka purdard har sham ho raha hai


kahin wafa kahin koi bewafa kahin raza kahin saza
sub le de rahe hain wafadari ki qasam december hai
Khushion ka aur ghumon ka mausam december hai
kahin qehqahe goonjte,hai kahin matam december hai


kisi ka unwaan Deen e ISLAAM hai
kisi ka mehboob ke naam pegham hai
koi likh raha hai ghazal ke wo tanha hai
koi khud hi ko kar raha sheir se badnam hai


koi likh raha hai ghazal koi nazam
ke aaya hai maah e ghazal o nazam december hai
Khushion ka aur ghumon ka mausam december hai
kahin qehqahe goonjte,hai kahin matam december hai


***S_ChiragH***

Fabulous.
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH
Top