Kia Hamari Lyai Allah Kafi Nahi?

  • Work-from-home

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
Zabardast and thanks a lot for sharing. Yayhi main logon ko samjha samjha kar thak gai hoon.

Aisi natain suntain hain meray ghar kay afrad jo main kahti hoon kufria hain aur wo maan kar naheen detay.

Aik mujhay naat kay baray main bhi poochna hai us pay bhi mujhay shuk hai aur wo arbi main hai aur arbi mujhay ati naheen hai. Abhi yaad naheen aa rahi wo kon si naat hai.

Yaad aay gi to post karoon gi aur aap ho sakay to uskay baray main bhi post kijaay ga.
 
The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
Beshak humare liye Allah kafi hai laikin Quran-o-Hadith mein yeh kahin nahi aya ke Allah ke Nabi, Wali aur Naik Bandy Madad nahi kar sakty aghar hai tu koi Ayat ya Hadith pesh karo.

The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
Zabardast and thanks a lot for sharing. Yayhi main logon ko samjha samjha kar thak gai hoon.

Aisi natain suntain hain meray ghar kay afrad jo main kahti hoon kufria hain aur wo maan kar naheen detay.

Aik mujhay naat kay baray main bhi poochna hai us pay bhi mujhay shuk hai aur wo arbi main hai aur arbi mujhay ati naheen hai. Abhi yaad naheen aa rahi wo kon si naat hai.

Yaad aay gi to post karoon gi aur aap ho sakay to uskay baray main bhi post kijaay ga.
Astagfirullah..... Lannat hai app ki soch per ke app ne Naat ko Kufriya keh diya yaad rakho aghr uss naat mein aisa kuch nah howa tu tumhara imaan zaya hai.
Daroo Allah say.
 
Shahid Nazeer

Newbie
Sep 10, 2008
74
19
0
Aaj hal yai hai ke har gumrah firqa apne aap ko sach sabit karnai ke leyai quran se dalil dai raha hai. Agar Tum Sachai ho to sirf aur sirf aik aisi Sahi hadees paish kar dain jis main Rasool Ullah (Sallallahu Alihai Wasalam) ne ghair Allah se madad mangi ho. ya yahi kaha ho ke ghair Allah se madad mango. {}{:p
 
Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
Aap Ka shukria Precious.

You are welcome Shahid bhai.

Pehlay main bhi bohat aqeedut say naatain suna karti thi abhi bhi sunti hoon to saath parhnay lugti hoon per jahan koi shirkia lufz ata hai khud ko rokti hoon.

Choon kay aap itnay danish aur aqal walay hain Shahid bhai aur Allah ka shukr hai kay Allah nain khud hi meri ankhain khol deen kay main shahi ghalat aur kufr kay darmiaan tameez kar sakoon.

Jub main nain quran mani kay saath parha to bohat si baton kay mutlliq ankhain khuleen jin main say aik SHAIRI kay baray main thi.

Main bhi baqol meray aik baray dushman kay kay bohat achchi shairi karteen hain kioon chor' di. Wo mera dushman kabhi meri tareef naheen karta nain tareef ki.

Kioon chor'i kay QURAN main par'ha jis main tha kay aisi shairi say mana farmaya hai jis main kisi insaan ya cheez kay baray main ghalat biyani say kaam liaay jaay yani wo khosoosiaat batain jain jo us main na hon ya bar'ha char'ha kar paish kia jaay. Is kay liaay Urdu shairi main aik word use kia jata hai jo abhi yaad naheen aa raha.

Naat main aisa hi kartay hain kay Allah ki khusoosiaat ko Muhammad Sallaho Alaihi Wasallim say munsoob kar detay hain jo SHIRK hai. Again SHIRK hain. Again SHIRK hai.
 
Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
Astagfirullah..... Lannat hai app ki soch per ke app ne Naat ko Kufriya keh diya yaad rakho aghr uss naat mein aisa kuch nah howa tu tumhara imaan zaya hai.
Daroo Allah say.

Excuse me aap kon hotain hain meri sahi soch pay lanat bhaijnay walay jub kay main nain koi ghalat baat naheen ki.

Mind your language. Shayad aap nain Rule naheen Perha Islami section ka. Ja kar parhain.

Aik Moderator ko shobha naheen deta kay is tarha budtamizi say member say baat karay.

Aisay moderator meray hisaab say moderator bunnay kay Laiq naheen hotay Wo bhi Islmi section kay. ASTAGHFRIULLAH.

Agar yay meri apni site hoti to aik member say is tarha baat karnay pay aap ko ISLAM section kay moderator honay kay ohday say dastbardar kar deti. Afsos I'm not Admin here.

Islami section kay moderator ko intehai tahammul mizaj hona chahyay. Is liaay kay Site kay zariay hum dunia pay show kar rahain hain kay hum kia hain, kaisay hain aur kis tarha kay hain. I don't want kay dunia aap ki wajah say MUSALMANON ko budtameez kahay.

Hamaray upper bohat bari zimmaydari hai kay hamain dunia ko Islam ka asli rung dikhana hai aur saath main apnay aap ko bhi durust karna hai jub kay hum abhi bohat mushkil doar say guzar rahain hain dushmun hamaray Islam ko tahas nahas karnay main bhar poor tareeqay say laga huwa hai.

Jub aap nain post kia ho ga us waqt main aik member thi Now I'm moderator of Islami section next type agar aap nain kisi member say aisi budtamizi say baat ki to main Admins say aap ko Moderator kay ohday say barkhaast karnay ki darkhaast karoon gi.

Thanks.
 
Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
Aap ki taqreeron kay liaay kahoon gi first of all WHAT IS KUNZUL IMAN?

I have no idea about it pehlay explain karain.

Main sirf quran aur hadees ko consider karti hoon so baraay meharbani ainda us say quote karain ya khud main itni salahiaat hai to misaalon aur daleelon say samjhain. Na main koor'h maghaz hoon aur na hi aqal ko tala laga kar chabi gatar main phaink dia hai aap jaison ki tarha.

Jitni aap nain daleelain deen hain unsay kaheen yay sabit naheen kay logon say ya nabion say mango. Sub main Allah say manga gia hai. So aap apnay aap ko hi ghalat sabit kar rahay hain apni taqreeron say jo kay intehai mazhaka khaiz hai.

Allah say madadgar mangna aur anbiaa say madad mangna main zameen asman ka farq hai.

Allah hum sub ko aqal aur fahm o farast day ameen.
 
The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
Aaj hal yai hai ke har gumrah firqa apne aap ko sach sabit karnai ke leyai quran se dalil dai raha hai. Agar Tum Sachai ho to sirf aur sirf aik aisi Sahi hadees paish kar dain jis main Rasool Ullah (Sallallahu Alihai Wasalam) ne ghair Allah se madad mangi ho. ya yahi kaha ho ke ghair Allah se madad mango. {}{:p
Yaar tumhara mu'amla tu mujhe kuch zyada hee kharab lagta hai aik tu tum khudh humare Aqida ka rad karna cahty ho aur dosra tum Quran ki Ayaat ko nahi manty Hadith ka tu baad mein muqam ata hai :(
Acha aisa karo zara Ghair Allah ki Tareef bata do ke Ghair Allah hota kya hai ?

Arsall

Newbie
Sep 30, 2008
50
11
0
Astagfirullah..... Lannat hai app ki soch per ke app ne Naat ko Kufriya keh diya yaad rakho aghr uss naat mein aisa kuch nah howa tu tumhara imaan zaya hai.
Daroo Allah say.
daro aap ALLAH say jo aisi kufriya natein parhtay ho.., jis main shirk he shirk hota hay..
aur aisi naat jis main shirk na ho,, us main hamien aitrazz nahi... GOT IT?????????????????{(gimmefive)}
 
Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
daro aap ALLAH say jo aisi kufriya natein parhtay ho.., jis main shirk he shirk hota hay..
aur aisi naat jis main shirk na ho,, us main hamien aitrazz nahi... GOT IT?????????????????{(gimmefive)}
Exactly.
 
The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
daro aap ALLAH say jo aisi kufriya natein parhtay ho.., jis main shirk he shirk hota hay..
aur aisi naat jis main shirk na ho,, us main hamien aitrazz nahi... GOT IT?????????????????{(gimmefive)}
Kiss Kiss Naat per app Fatwa-e-Kufr lagaty hain woh zara yahan post karain.
Jahiliyat ki hadh hai!!!
 
khan_amer

Newbie
Oct 23, 2008
48
7
0
Agr Allah ta'la kay siwa kisi bhi aisi personality ju Duniya say paRda ker chuki ho, say madad mangna ja'iz hay aur un kay naam nzr nayaaz bhi jaiz hay tu phir Makkah kay mushrikooN say ta'ruz kyoN? Aaj Hindumat say ta'ruz kyoN?

Dr. Radha Krishen, ju kay eak buhat baRay hindu philospher guzray haiN, hindu-mut per baat kertay howay kehtay haiN kay, aisa nahi kay ham log jantay nahi kay yeh buut hamari madad nahi ker saktay, ham tu sirf iss liya in say mangtay haiN kay awal buut key samnay mojoodagee say concetration maiN madad miltee hay secondly in hasityaaN ( jin kay Buut haiN) ko sab say baRay khuda nay itni taqat day rakhi hay kay woh hamari madad ker sakay...

Agr maiN sahi samjha hooN tu, yahaaN per bhi yehi baat ho rahi hay kay , Ahl-e-qaboor kay paas bh iitni power hay kay woh hamari madad ker sakaiN!!! Farq kahaaN hay?
 
The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
Jab mein sochta hon tu dil ko buhat dukh hota hai ke ajj kal ke Muslim kitne hadh tak gir chukay hain ke unhain Allah ke Nabiyon aur Hinduism mein koi farq nazar nahi ata.
Janab Khan sahib meri sirf 2 requests hai
#1. Quran-o-Hadith say yeh sabit kar dein ke Allah ne Nabiyon ke baray mein farmaya ke Allah ke Nabi aur Wali kisi ki madad nahi kar sakty.
#2. Kya app ke liye Nabi aur Hinduism mein koi farq nazar nahi ata ?
 
Janab app ka dukh aur bhi baRh jana chahiyee, kyoN kay inhi logics key wajaah say aaj mazaraat howi manzar paish ker rahay haiN ju mandiroN kay hotay haiN... kiya app mujhay her do maiN koy farq bata saktay haiN?

Hindu jin mortiyooN ko poojtay haiN, yeh log koy aur nahi, anay dor kay naik log rahay hooNgay, App ko Allah tala kay eak farmaan yaad dila chalooN kay Allah Subhaan.o.tala farmatay haiN ( kareeb tareen mafhoom) kay ham duniya kay her konay maiN paighamber bhaijay...

MaiN kya mera ilm kya, maiN tu haqeer sa zara hooN, jis uss qatray say paida kiya ju agr jism per lag jaye tu ghusal wajib ho jata hay, jis ibtay'da'i perwarish ( rehm-e-madir maiN) ganday khoon say howi, mera ilm buhat mehdood hay, per Allah ka fazl shamil-e-haal hay aur ussi key mehrbani hay...

1) Quran aur hadees maiN, Wahdaniyat ka zikr kyoN kiya gaya? sirf iss liya kay log apni tamam zarooratooN, hajatooN kay liya Allah say rajoo karaiN, kyo.kr Quran nay tamam naimatoN ko wa kya aur phir bar bar pocha kay Khuda key kon kon c naimatooN ko jhuTla'oo gay? KyoN Allah subah.o.tala nay Sura-e-Faitha her namaz maiN wajib key? kyoN iss ibtay'da'i ayat maiN ham say kehl'waya kay ham teri hi ibadat kertay haiN aur Tujh hi say madad mangtay hai? kyoN Falak aur Naas maiN sirf Allah key panaah hi mangi gayee hay?

Allah ta'la key zaat hi sirf itni taqatwar hay kay na ussay neend aati hay aur nahi ussay mout aa sakti hay, na'hi ussay apni kisi cheez kay cheen janay ka daR hay aur nahi iss kai'naat maiN uss jaisi salahiyaataiN rakhnay wala koy mojood hay. Issi liya koy aur chahay woh koiy Nabi ho ya wali ( wowh bad-uz-hayat-e-dunya'v kisi key madad nahi ker saktay, kyoN kay in maiN salahiyaat hergiz nahi kay woh eak hi waqt maiN hazarooN lakhooN afraad key baat sun sakaiN, na'hi in maiN yeh salahiyaat hay kay yeh un hazarooN lakhooN afraad ko kuch day sakaiN... daynay wali zaat sirf Allah key hay, madad sirf Allah key tarf say aatii hay,

Addition to above, while answering your question, puray Quran maiN eak bhi ayat nahi jis maiN sharab ka naam lay ker issay haram kaha gaya ho, theek issi taraaah puray quran main yeh bhi nahi hay Sher (LION) ka goshat haram hay. per aisay isharay aur wazahataiN bayan key gayeeN haiN jis say yeh dono aur aisi buhat c cheezaiN haram ho hateeN haiN.. aisi hi eak cheez shirk hay... jab koy Allah ta'la ko choR ker kisi aur say madad talb kerta hay ( ju hazir nahi, ju iss hayat-e-duniya ko tark ker chuka hay) tu woh ussay Allah ta'la key qudratooN maiN shareek hi ker raha hota hay.

2) Hinduism aur mazaraat etc per hazari daynay walooN maiN sirf itna hi farq hay in kay naam mukhtalif hotay haiN, aur yeh log kisi moorti kay bajaye qabr walay say mangtay haiN.
 
Zabardast Post.

Hinduon ki moorti ka yay hi wajah hai kay wo sub naik bunday thay jinki unhon nain shaitan kay bahkanay pay moortiaan bana kar ghar rakh leen aur roz daikha kartay thay aur ibadat karnay jatay thay to daikh kartay thay phir shaitan nain bahkaya to wo ibadatgahon main lay janay lagay aur phir shaitan nain bahkaya to unko wahan rukh dia aur ibadat karna shuru kar dia.
 
The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
FAZOOL AUR GUMRAH QUESTION KE ANSWER DEINE SAY PEHLAY MERAY QUESTIONS PER QURAN-O-HADITH SAY SABOOT LAA KAR DEKHAIN.

Top