Kuch din se

  • Work-from-home

pink-rose

Newbie
Jul 19, 2008
325
120
0
ajeeb rang ka mausam chala hai kuch din se
nazar pe bojh hai aur dil khafa hai kuch din se

wo aur tha jise tu jaanta tha barson se
main aur hoon jise tu mil raha hai kuch din se

ada hai, shokhi hai, jaadoo hai ya fareb koi
na jane unki nigahon mein kya hai kuch din se

azal se tera taaruf raha hai husn-o-jamal
magar dil mein mehshar barpa hai kuch din se

shahar ka shahar chala aata hai kashkol ba-dast
suna hai deed ta dar waa hua hai kuch din se
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
bohat hee zabardast janab sach a nice sharing

keep it up and thankx for sharing

{(goodpost)}{(goodpost)}{(goodpost)}{(goodpost)}
 
Top