Assalam o ALaikum
kehte hain shayri sach bolti hay, jab kisi k dil se sache alfaz nikalte hain to sunne waale ko zarur mutasir karte hain ,chahe wo alfaz qafiye aur radeef ki maala may na bhi piroye jaaye,chahe wo alfaz kitne hi saada hon,,sunne ,parhne waalon ko zarur jhinjhor daite hain unk dil-o-dimagh may naqsh ho jaate hain,jaise Bayan karne waale k jazbaat,ehsasat aur halat parhne waale pe guzar rhe hon.....
Bohat se alfaz, aur jazbat ,khushiyan ,gham ,mehrumi ,shikayat aur naraz logn ko mnana jahan saada zuban aur lambey chorey afsano aur tamheed-o-tafseel se mushkil tareen kaam hay,,,wohi shayri chand alfaaz chand lakeeron may bohat umdagi se jazbat ka ,ehsasat ka aur soch ka izhar kar deti hay.
bashart ye k Alfaz Sache hon aur aapka khalus jhalakta ho us may...
"Lakh pardoon main rahun bhaed mere kholti hay,
Shaeri sach bolti hai..!
Main ne dekha hay k jab meri zubaan dolti haai,
Shaeri sach bolti hay..!"

To is thread may aapko apni zindagi ka koi bhi waqea koi bhi lamha ya is waqt aap kuch bhi feel kar rhe hain usse shayri ki zuban may bayan karna hay,,, qafiye radeef k baghair hi sahi par alfaz soch ki aksai karte hon.....