Maa Se Piyar

  • Work-from-home

Princess Mahi

Newbie
Dec 19, 2009
6,698
2,761
0
[]assalam alaikum

kal mother day tha
kal main ne tv par aik programme daikha aur mat poochain k dil par kiya guzri.aap sooch nahi sakte k is duniya main asay log bhi hain jo apni piyari maaon ko apni b v se pit tay hue daikhtay hain aur khare hue tamasha daikhte hain,aur betian maa ko ghar se dhaka de kar nikaal deti hain.

Asi aulaad se bahtar hai k beaulaad hona
log aisa q nahi soochte k k bv iyan tu haumain hazaar mil jayain gi laikin maa kabhi nahi milay gi agar aik baar chali gayi tu
meri dua hai allah un sub logoon ko naik hidayat dai aur maaon se sacha piyar karna sikhaian ameen


log aisa kiyun karte hain
aap ka is bare main kiya kahna hai ..?
 
Oct 18, 2009
18,710
9,640
1,313
LoCk Me In YoUr HeArT
Thanks....
very good sharing.

ager kuch bhi hojaey ham maa ka qarz nahi utaar sktay,
or wesay bhei

Maa kay peron talay janat hai.

jis nay apni maa kay per ko chua us nay Kaa'ba ko bosa diya.

I love my mother very much.
 

SHB_Bhaiya

محمد شعیب ںاصر
Super Star
Jan 31, 2010
51,098
10,427
1,313
38
Karachi
kehte hain jis se Allah naraz ho jaye us ki aankhon pe perda per jata hai us ke achae burae mein farak nahi dikhta.... aur Maa jaisi hasti per hath uthana to dor ooncha bolna bhi mana hai... mujhe is dunya mein sub se zyada apni MAA se pyar hai aur meri her her khamyabi aur her khushi mein meri maa ki dua hai aur her gham mein mujhe dilase dene wali bhi meri maa hai.... Allah sub ke saron pe walden ka saya salamat rukhe... Aameen...
 
Top