Maa.

  • Work-from-home

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
Assalam alaikum

MAA

Maa ka ahteram kerna aur us ki khidmat kerna hamara ferz banta hai. hamain chahiye k hum apni maa ko her waqt razi rakhain kyun k maa raza main Allah tala ki raza hai aur maa ki narazgi main Allah ki narazgi hai, to isi liye hamain chahiye k hum apni maa ka khayal rakhain aur us ki khidmat karain.
Maa k bare us din maine hamare aalim sahib(maulana faizurrehman) se aik waqiya suna wo waqiya is terhan tha: aik aadmi ko hajj ka bohot shok tha wo hajj ko jana chahta tha, gher main us ki sirf aik boorhi maa thi, jis ka apne bete k siwa koi aasra na tha aur us ki maa beemar bhi thi, jab us aadmi ne hajj ka irada kiya to maa se ijazat mangi, maa ne kaha: beta tu hajj ko jaraha hai per mujhe kis k paas chore ga mera tere siwa hai hi kon?
ye sun ker wo aadmi ruk jata hai.
agle saal phir se iradah kerta hai aur phir maa se ijazat mangta hai, maa ka wohi jawab hota hai, wo phir se ruk jata hai.
isi terhan teesre saal phir se iradah kerta hai aur phir maa se ijazat mangta hai, maa aik bar phir se apni mohtaji pesh kerti hai, is bar aadmi ghusse main ajata hai aur maa se kehta hai k main to hajj ko zaroor jaoun ga tum bethi raho yahan.
ye keh ker wo apne hajj ka saman baraber kerta hai aur safer ko rawana ho jata hai raste main aik jaga nimaz k liye rukta hai aur aik masjid main nimaz perhne lagta hai.
itne main bahir se aik chor chori ker k bhag raha hota hai sab log use pekerne ko us k peeche bhag rahe hote hain, wo chor bhag bhag ker masjid main ghus ata hai aur apna loota hua maal us aadmi k paas rakh ker khud doore derwaze se nikal jata hai.
log jab chor ka taakub ker k masjid aate hain to us aadmi ko dekhte hain jo k bare khushu aur khuzu k saath nimaz ada ker raha hai aur us k pas churaya hua maal para hai.
log use chor samajh ker aage berhte hai aur us ki nimaz turwa ker kehte hain.
aik to chori kerte ho ooper se imaz bhi perhte ho.
use paker ker apne gaoun k bare k paas le jate hain.
wahan wo aadmi apni safai pesh kerne main nakam ho jata hai.
gaoun k riwaj k mutabik us ka moon kala ker k use gadhe per betha diya gaya aur gadhe ki dum us k haath main thama di gai, bohot se bachon ko us peeche laga diya gaya jo use ye kehte the k jo chori kare ga us ka ye hi anjam ho ga,
mager wo aadmi bachon se kehta aisa na kaho balke aise kaho k jo aadmi maa ki nafermani kare ga us ka aisa anjam ho ga,
aik hoshyar aur dana shaks ne us se poocha: ye tum kya keh rahe ho?
phir us aadmi ne bataya k maine chori nahi ki, chor to koi aur tha per mujhe saza is cheez ki mili k maine maa ki nafermani ki. us ne sara waqiya gaoun walon ko sunaya
phir unohon ne use chor diya aur kaha k jao apni maa k paas.
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
nice..


kisi maan baap k gustakh ko izat nhi milti..
yahan izat nhi milti wahan janat nhi milti..
 
  • Like
Reactions: waqas naseer
Top