Maa

  • Work-from-home

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Zindagi ki tapti dhoop main ek thanda saaya paaya hai maine
Jab kholi aankh to apni maa ko muskurata hua paaya hai maine,

Jab bhi maa ka naam liya,
uska beshumaar pyaar paaya hai maine,

Jab koi dard mehsoos hua, jab koi mushkil aayi
Apne pehlo mein apni maa ko paaya hai maine,

Jaagti rahi woh raat bhar mere liye
Jaane kitni raatein, use jagaaya hai maine,

Zindagi ke har modh par, jab hua gumraah mai
Iski hidaayat par, pakadhli seedhi raah maine,

Jis ki dua se har museebat laut jaaye,
aisa farishta paaya hai maine,

meri har fikr ko jan'ne wali,
mere jazbaaton ko pehcan'ne wali,
aisi hasti paayi hai maine,

Meri zindagi sirf meri maa hai,
Isi ke liye to Is zindagi ki shama jala rakkhi hai maine...
 
Top