Main Kai Rotoun Se Hon dekhta.............

  • Work-from-home

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Main kae rotoun se hon dekhta k tamaam rang hain bujhay hoe
ye ab k khizan ko kia hoa keun meri nigah main thehar gae

main kia bataoun k ab ki baar chaman ki halat ajeeb thi
har phool matam-sara mila meri jahan jahan bhe nazar gae

ye kaun janay k kia hoa main dhoondh dhoondh k thak gaya
k wo jo eak titli thi baagh main wo bhe na janay kidhar gae

abhi hai zara wo asar jisay meri zaat ne poja kabhi magar
wo junoo tu kab ka khatam hoa wo sorat tu dil se utar gae

mujhay kis jurm ki saza mili k meri rooh tak hai thaki hoe
main apni jaga se hila nahi meri saans pher bhe ukhar gae

ye charaag-e-jan bhe ajeeb hai k jala hoa hai abhi talak
teri be-wafai ki aandhiyan tu kabhi ki aa k gozar gae

meray aasman k haath main bus eak chaand tha aas ka
usay baadloun ne nigal liya tu meri kaainaat he ujar gae
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top