Manzilen Unka Muqadr Keh Talb Ho Jin Ko

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Gaon ki tarf jati kachi Sark jahan ikka dukka rikshe aur tange dhool urate rawan dawan the,mai ne ek nazr is taweel sark ko dekha aur apna hath jaib me dala to chand sikkon aur dass(1o) rupe ka ek zakhmi not bar'amnd huva,lehaza mai ne kisi sawari ka sahara lene ki bajaye pedal hi in shanasa se raston pe chal para.
.......................
lakri k purane darwze pe daksat di to chand lamhon bad purjoshi se mera istaqbaal meri behan Maham ne kia tha,
Maham 13 bars ki thi ,us ne middle tak gaon k qareebi skol me parha tha,humari mali halat aur gaon k qareeb middle se aage skol na hone k bais woh aage nhi par saki,lekin woh apna shok meri kitabon k zariye pora karti rehti..islami tareekh se use humesha boht dil'chaspi rahi thi,isi liye mai college ki library se us k liye esi hi kitabain lata woh khud b parhti aur abba aur amma ji ko b parh k sunati..agarche woh mujh se 4 bars choti thi lekin hum dono me khasi be'takalafi aur apnaiyat thi
..........................

khana khate hi mai ne Amma se pocha tha,Amma Abba ji kahan hain?
woh fajr ki namaz k bad hi kheton k tarf nikal gaye the..nayi fsal ki bowai ka waqat aa puhncha hai na..Amma ne bataya tha.
thek hai mai phir jata hai hon Abba ji ka hath batane.
Amma mai b jaon..Maham ne Amma se pocha to amma ne kuch dair bad han me jawab diya tha..magr sham dhalne se pehle dono wapis aa jana .
.........................
Assalam u alaikum Abba ji..Maham ne dor se hi Abba ko purjosh andaz me salam bulaya tha.
Wa'alaikum Salam jeeti reho.,Abba ji ne pyar se salam ka jawab diya tha
mai ne b salam dua k bad Abba ji k hathon se daranti parki thi..
jb k Maham aur Abba ji darakht ki chaon me beth gaye the.
idhar udhar ki baatain hone lgi to mai ne Maham ko chirane k liye kaha..tujhe to hum ne fakeer baba ko aata dy kar lia tha..
hain Abba ji..Maham ne khafa khafa si nazron se mujhe dekha phir Abba ji se pocha tha
mai aur Abba ji hanse the to woh rohansi ho gai ..Abbaaa
na hamid beta tang na kar ise meri beti to bari pyari nemat hai Allah pak ki..aur nemat to an'mol hoti hai meri dhi(Beti) ka b koi moal nhi hai..Abba ki baat pe Maham khush huvi thi
Abba ji dil rakhne k liye keh rahe hain itne daant nikalne ki zarurt nhi..mai ne phir use chera tha
us ne qareeb hi choti c nadi me behta huva pani hath me ly kar mujh pe phekna shuru kar diya tha..
kya kar rahi ho?
aag lg gai hai pani daal rahi thi ..woh sharat se boli thi..mai ne limo k pode se ek adad limo tor kar use mara tha lekin nishana khata gya!
kacho masar kacho masar ..woh mujhe muh chirate huve nadi ko phalangti huvi us par chali gai..
kacho masar matlab??..mai ne na'smjhane wale andaz me pocha to woh boli kyun bataon,mai ne apni nayi saheli se sikha hai lekin matlab nhi bataon gi kacho masar..woh mujhe musalsal chira rahi thi
dor raho apni esi saheli se jis ki ba'dolat tumhri urdu zakhira'shud alfaz(vocabulary) me itne ajeeb-o-ghareeb alfaz ka izafa ho raha hai.
Ooo Titliyan..mukhtalif sabziyon k phoolon aur ghas pe uge kasni phoolo pe titliyan mundhla rahi thin..Aao titliyan pakre..us ki sari tawaju titliyon ki tarf ho gai thi..
woh titliyan pakrne ki la'hasil koshish kar rahi thi akhir kuch dair bad us ne meri tarf madad'talb narzon se dekha tha aur boli mujhe titliyan pakr do na
Kuda ka Kahuf karo Maham tum ne muje is qadar saffak aur bereham samajh rakha hay? mai to nhi pakron ga,
Allah bachaye yeh zalim larkiyon k shok..:p
us ne khafa si nazron se mujhe dekha aur phir koshish ki to 2 titliyan pakre me kamyab ho gai..hathon me qaid un titliyon ne jab aazadi k liye apne par parpharaye ..to na'jane kya soch us k dil me aayi thi k us ne foran inhe aazad kar diya tha..titliyan apna rang maham k hathon pe chor gai thin,us ne udasi se kisi soch me gum gai thi..
saye dhal rahe hain ab tum dono ghar ko jao..Abba ji ne hukam diya tha to mai Maham k sath ghar ki janib chal nikla...
raste me pahari k pas khare hote hi Maham ne kaha tha Hamid!tumhey maire saath pahari ki dusri janib phool chunne jana hay..
phool hi chahiye na tumhe yeh dekho Gobi k phol kitne pyare lg rahe hain tor lo,mai ne sark k sath wale khet ki tarf ishara kia tha..
huh..bahane mat banao
mai ne chehre pe thakan k asar late huve pahari ho dekha tha
Muhammad Bin Qasim ne 17 bars ki umar me sindh fatah kar lia tha aur tum yeh pahari sar nhi kar sakte..haif sad haif..us ne shararat se meri gherat ko lalkara tha
thek hai chalo..hum dono pahari k uper charne lge the halan'k itne taweel safr k bad is pahari pe charne hi himmat nhi thi lekin sare jahan se nirali meri behan k shok b nirale the aur dhamkiyan b.. hum dono pahari pe charne lge..
meri nazr jb apne joote pe pari to mai ne maham k piche chalne ka faisla kia Maine har Mumkin koshish ki key phattey huye jooton k neeche se khisaktey huye talley(soles) Maham ko dikhayi na dian...shayed ise dekh kar uska dil dukhe woh humesha se hasaas waqiya huvi thi..
mai apne juton ki tarf hi dekh kr soch me khoya huva tha k us ne mur kr meri tarf dekha aur nazren mere ghise huve khasta haal juton pe parin..
kuch dair khamoosh rehne k bad woh boli
mujhe manzilon k raston pe chalne wale ese musafir pe rashk aata hai..jin k chehre gard se atte hon..jute ghise huve aur pairon pe aable hon lekin phir b woh manzil ki talb ko na choren .un ki ankhon me maqsad k hasool k liye chamak ho..un ki thakan k piche kahin chupi huvi khushi..khush'kismat log..woh musalsal bol rahi thi..
mujhe maloom tha woh yeh sb is liye keh rahi hai k kahin mai kamzor na par jaon,mai khamosh tha
college me kya tumhare dost tumhara mazak urate hain?..lekin tum ghabrana nhi manzil k raste me ese b log aate hain jo sirf apki zahiri halat ko dekhte hain ap k andr k azm se na'ashna hote hain lekin kuch
Door andaish log jootey k phattey huye talley nhi daikhtey bakey un phattey huye jooton may wo mazbut qadam daikhtey hain jinka rukh baghar kisi dushwari ki parwah kiye hamesha manzil ki janib rehta hay..mai herat se us ki tarf dekh raha tha mujhe woh boht bari aur sanjida lgi thi.
acha to tum khud ko dor'andaish keh rahi ho..mai ne shararat se pocha tha
jo marzi smjho..woh be'nayazi se boli
maghrab ki simat dhalta soraj sham hone ki khabr dy raha tha..mai ne Maham ko wapis paltne ko kaha tha..Amma ghar intazar kar rahi hon gei..phir kbi phool chune ge..!!!
.................

Goan me Election huve the humesha ki tarha Malak hashim jeet gaya tha,halan'k aj tak us ne gaon k liye kuch nhi kia tha lekin yahan koi dosra tha hi nhi un k muqable me larne wala,is saal b muntakhib numaindon ki tarf se qabl az waqat koi manasab intazamat na krne k bais gaon selab ki nazr ho gaya tha,humare khet,kache ghar aur khubsorat khawb beh gaye the,halat is qadr kathan the k Abba ji ne Malak Hashim se bhari soad pe qarza ly lia tha,is soch sath k aane wali fasal pe aada ho jaye ga.halat bigarte gaye,nayi fasal b fasli'keeron ki nazr ho gai..khaad k liye humare paas rupe nhi the..Malik Hashim ne Qarz ki wapisi k liye aaye roz mutalba shuru kar diya tha..Abba ne adhi se zeyada zameen bech di lekin ab tak qarz itna bhar chuka tha k woh b na'kafi thi,mai ne taleem chorne ka faisla kia to Maham ne shadid rad-e-aml zahir kia aur esa karne se mana kar diya..Malak Hashim ne humari majboori se faida utha tha aur 3 din ki muhlat di qarz ki wapisi k liye warna Maham se nikah ka mutalba kia..woh 45 bars ki pakki umar ka shakhs tha lekin yahan yeh koi nayi baat na thi.,yahan ba'asr aur be'his log dosron ki kamzoriyon aur be'basi se yon hi faida utha'te the.Abba ji ne baki zameen farokh kar di..lekin paison ka mukamal tor pe bando'bst na ho saka,,mai shehar se wapis aa gya tha.mai ne apne kuch doston ko madad k liye kaha lekin unki tarf se b musbat jawab na mila,ek waqeel se baat ki thi k woh hume insaf dilaye lekin insaaf b kitna mehnga ho gya hai us k andaza mujhe wakeel ki mangi jane wali raqm se huva,hum khali haath the,Malak Hashim dhamkiyan dy raha tha,shadid koshish k ba'wajod kuch na ho ska,3 din itni teezi se guzr gaye the,aur chothe din barat humari chokhat pe thi..mai Maham ka samna nhi kar sakta tha,us ne humesha bahadur mardon k bare me hi parha tha,aur socha tha,yeh baat us k liye shadid dukh ka bais thi k us ka baap la'char aur kamzoor tha,bhai ek buzdil aur be'bas insan tha aur jis k sath use beyah k jana tha woh dosron ki majborion se faida uthane wala be'his shakhs tha,
mai kamre me gaya maham Laal jore me bethi thi..mere jate hi uski saheliyan uth gai thin,mai ne maham ko bulaya tha..mai use batana chahta tha k mai us k liye kuch nhi kar saka mai be'bs tha,lekin woh chup thi..uski chup mujhe zeyada dukh dy rahi thi..Maham pahari k us paar phool chune chalen? mai ne kaha.
zabt toot gya tha,ansuon ka ek sumandr uski ankhon se beh nikala tha..!
shayed woh kehna chahti thi..pahari k us paar to koi phool nhi sirf jhariyan hain..lekin ansuon k siwa us ne kuch nhi kaha tha.aur rukhsat ho kar haweli chali gai thi

Manzilen unka Muqadr k Talb ho jinko
Be'talb Log to Manzil se Guzr jate hain
Jin ki Ankhon me hon Ansu unhe Zinda Smjho
Pani marta hai to Darya b utar jate hain

kayi mosam badle the aur kayi bars isi kash'maksh me beet gaye the..aj phir mai apne gaon ki tarf ja raha tha,apni behan se milne ki gharz se haweli ka rukh kia tha..sarken pakki ho chuki thi..gaon k ek tarf skol aur madrsa tha..jahan talib-e-ilm ziwar-e-ilm se aarasta ho rahe the.ek tarf bna hasaptal..gaon ka manzr tabdeel ho chuka tha
mai haweli me dakhil huva to mujhe Maham se milane k liye haweli ki pichli simat ek bare se sehan me bheja gaya..jahan larkiyon aur chand uraton bethi mukhtalif hadees,tafseer aur islami tareekh ki kutab ka mutala kar rahi thin..Mahan me mujhe ek tarf bethne ko kaha..us ka chehra bata raha tha k woh mutmain thi
un logo k tarha jo kisi shy ki parwa nhi karte jo marte dum tak apne maqsad k sath lge rehte hain..
yeh sb kuch kese badla.woh meri ankhon me sawal ko yakinan parh gai thi...yeh bas aahista aahista huva..kayi barson pe taweel..kbi kbi mai b thak gai jese us pahari pe charte huve thak k beth jate the..lekin phir uthi,logo k zehano ko badalna yakinan boht kathan marhala tha,dil aue zehan k badlao k bad hi mahool me tabdili aati hai,kbi mujhe apne hosle past hote maloom hote to mai phir se isalmi tareekh k woh baab parhti jahan musalmon ne duniya ko badla tha. ,tumhe pata hai na uraten kitni mazboot hotin hain,tareekh gawah hai..woh zehan aur dilon pe hukmarani krna khub janti hain aur muslim tareekh me to Hazrat Umm e Ammara (R.A) b thin na..Muhammad bin qasim jese daleer nu'jawan k piche b to kisi mazboot Maa' ki tarbiyat thi..kitni hi misalen hain,yahi mujhe taqwiyat deti to Allah k fazal se yeh sb aasan hota gya,
bachpan me us ne jo parha tha uska asar aj uski is fatah k piche tha,aj mujhe smjh aayi thi Adb kyun kisi qoam ki pehchan hota hai,kyun k jo insan parhta hai woh shoari aur la'shoari tor pe un k zehano pe gehra asar chorta hai,aj humari naslon ko b Quran,Hadees aur ese hi mufeed aur ba'maqsd Adb ki shadid zarurt hai jo hume humara azeem-o-shan muslim virsa yaad dilate hain..!

pahari k us par phool chunne chalen..mai ne Maham ko aj barso bad kaha tha

Main Phool hi chunn rahi hon..us ne apni manzil pa li thi
.................
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
ahan sach a nice sharing also anno...........{()|as34
bht acha likka hay mashaAllah say...nice yar...beautiful.............
 

zehar

VIP
Apr 29, 2012
26,600
16,302
1,313
aaaaaaaaa MASHA ALLAH bohot hi acha likha tum ney
apni story mujhey dey do meri wali lai lo:D

best of luck...
 

zehar

VIP
Apr 29, 2012
26,600
16,302
1,313
(hgj)gobi key phool

hamid tumhain merey sath gobhi key phool chunaney pahari ki dosri janib jana hai(hgj)
 

*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
ma sha Allah
apki tahreer jab bhi parho ek jazba ek hausle ka paigham milta hy
jazakillahi khaira
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
pahari k us par phool chunne chalen..mai ne Maham ko aj barso bad kaha tha

MASHAALLAH
gr888888888 Annu :-bd
Bohat zabardast tareeqe se message convey kiya aap ne ,,,,aap sab log bohat talented ho bhae MASHAALLAH
Keep it up :-bd

aur kahani may muje bhi ghussa liya wahh ;)) kacchu maasar :p
 
Top