Mauj dariya mein uthti hai safina dagmagata hai,

  • Work-from-home
Nov 12, 2011
12
3
0
[h=6]Mauj dariya mein uthti hai safina dagmagata hai,
Bhanwar mein jab phasey kashti, Khuda tab yaad aata hai.

Wasl mein toh inn aankhon se sirf masti tapakti thi,
Bataa kyun hizr mein tu ashk ke dariya bahata hai.

Kisey thi fikr jeete ji hamare ghar andheron ki,
Kyun ab har roz meri kabr par diya jalata hai.

Zarurat kya thi haathon ko hamare khoon se rangney ki,
Hamare khoon pe ab kyu khoon ke aansu bahata hai.[/h]
 
Top