Mega Urdu Contest 4th Round

  • Work-from-home

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
Assalam o ALaikum
Ok g mega urdu contest k 3 ROunds ki successful completion k saath hi Hum APne FInal Round tak pohanch chukkey hain,,Final Round thora sa Twist hay shayed thora tough bhi lagge Magar 3 ROunds may aapko practice ho chukki hogi different tareeqe se cheezian likhne ki is liye easy rhega INSHAALLAH
Round ka name hay "KITNE ZAHEEN HAIN AAP" Situations Story ROund!
Shayed apa k liye ye Term new ho aur shayed NAme se bohat se members ne kuch andaza bhi lga liya ho!
IS ROund may Aapko Kuch Situations di jayaingi AApko AIk story bnani hay aur un situations ko Story may aise Fit karna hay jaise wo Us story hi ka hissa hon!
may be aapko samajhna mushkil ho rha ho to mukhtasir sa ik sample aap k liye tyar kiya hay (dont follow it thoroughly ,,its just an idea)
For example ye kuch situations hain:
sit 1: aap aaye bahaar aayi
sit 2: Munne Beemar hay:p
sit3: Kaash waqt kuch peeche chla jaaye
sit 4: aap sabka to ALLAH hi hafiz hay
ISse kisi story may aise istamal kar saktey hain:
3rd year ki student maha hamesha ki tara aaj bhi athkeliyan karti class room may dakhil hui to pehle ki tara 15 minute late thi aur lecture shuroo ho chukka tha usse daikhte hi sab larkiyan aik saath gungunayi (sit 1:)"AAP AAYE BAHAAR AAYI",,,sharmindagi chupaate larkio pe ghoori daalte maha Teacher se sorry karne laggi....
teacher ne usse class may kharra reh k lecture attend karne ki saza di to aik saath kayi lario ki khi khi khi sunayi di ,,maare khuffat k maha ka chehra surkh par gya par ye shamrindagi hamesha ki tara chand saniye ki hi thi lecture k doran bhi wo idhar udhar larkio ko tang karte huye teacher ki ghorio ka markaz bani rhi bilaakhir usse class se bahir tashreef le jaane ka hukam de diya gya aur wo khushi khushi bahir ki janib lapki :p
BAahir aa k cafeteria ka rrukh karne hi walai thi k baahir parri bench k saath paaun uljha aur maha sahiba apne poore 5 feet 6 inch qad k satah zameen boss ho gai ,,,,,Dhraam ki aawaz se maha ki aankh khulli to pta chla maha madam college may nhi apne bedroom may bed se giri hain aur maha ka husband us k sirhaane khraa maathe pe bal daale bol rha tha sit2: uth jaao madam ("MUNNE beemar hay") :p
issi tara 4 situations use karte huye story complete karni hay!
NOte: Story may jahan jahan situations use hui hain usse thora highlight kar dain different color se!
i hope samajh aa gai hogi!
to Is ROund ki SItuations ye hain:
Sit 1: Hamid!tumhey maire saath pahari ki dusri janib phool chunne jana hay..


Sit 2: Kuda ka Kahuf karo Maham tum ne muje is qadar saffak aur bereham samajh rakha hay?


Sit 3: Maine har Mumkin koshish ki key phattey huye jooton k neeche se khisaktey huye talley(soles) Maham ko dikhayi na dian...



Sit 4: Door andaish log jootey k phattey huye talley nhi daikhtey bakey un phattey huye jooton may wo mazbut qadam daikhtey hain jinka rukh baghar kisi dushwari ki parwah kiye hamesha manzil ki janib rehta hay....


GUD LUCK! :)

Task submit karwane ki Last date 26th september hay!




Feel free to ask if there is any question!




@faari
@Bela
 

zehar

VIP
Apr 29, 2012
26,600
16,302
1,313
Sit 1: Hamid!tumhey maire saath pahari ki dusri janib phool chunne jana hay..
Sit 2: Kuda ka Kahuf karo Maham tum ne muje is qadar saffak aur bereham samajh rakha hay?
Sit 3: Maine har Mumkin koshish ki key phattey huye jooton k neeche se khisaktey huye talley(soles) Maham ko dikhayi na dian...

Sit 4: Door andaish log jootey k phattey huye talley nhi daikhtey bakey un phattey huye jooton may wo mazbut qadam daikhtey hain jinka rukh baghar kisi dushwari ki parwah kiye hamesha manzil ki janib rehta hay....

w slaam...

hmm bohot mazey ka round hai....acha aik bat pochni thi,,,kya ye isi trha use kr saktey hai situation ya ager 4sit pehley a jaey aur 1st last mai tou koi farak tou nhi ya isi tarha step wise use ho
 
  • Like
Reactions: hoorain

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
hmmmmmmmmm..{(thinkg)}
ok..koshish krte hain
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Sit 1: Hamid!tumhey maire saath pahari ki dusri janib phool chunne jana hay..
Sit 2: Kuda ka Kahuf karo Maham tum ne muje is qadar saffak aur bereham samajh rakha hay?
Sit 3: Maine har Mumkin koshish ki key phattey huye jooton k neeche se khisaktey huye talley(soles) Maham ko dikhayi na dian...

Sit 4: Door andaish log jootey k phattey huye talley nhi daikhtey bakey un phattey huye jooton may wo mazbut qadam daikhtey hain jinka rukh baghar kisi dushwari ki parwah kiye hamesha manzil ki janib rehta hay....

w slaam...

hmm bohot mazey ka round hai....acha aik bat pochni thi,,,kya ye isi trha use kr saktey hai situation ya ager 4sit pehley a jaey aur 1st last mai tou koi farak tou nhi ya isi tarha step wise use ho
its up to u
4 situations use karni hain aapki marzi hay ajsie marzi karain pehle ya baad may![DOUBLEPOST=1348290510][/DOUBLEPOST]
hmmm got it
intrstng.............[DOUBLEPOST=1348240812][/DOUBLEPOST]LAST DATE nai btai?
okesh edited!........{(popcorn)}
 
  • Like
Reactions: Detective

*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
shaam tak INSHAALLAH! :)[DOUBLEPOST=1348315404][/DOUBLEPOST]
aapki marzi hay jitni likhna chahain!
aur kia tarteeb isi tarah se huni chahie?
matlab jaise apne 1st 2nd 3rd isi tarah se ana chahie kahani me ya phir in situations ko kahin b fit kar sakte?
 
  • Like
Reactions: Detective

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
@hoorain ap b mere sawal par kuch tippani du
tippani???:s
is sawal ka jawba pichli post may diya tha qawareer ne bhi bta diya ,,main bhi bta deti hun phir se /:)

sirf situations maire walai sue karain Baqi sab aapki marzi hay,,tarteeb bhi apni marzi se rakhain,,length bhi theme etc bhi!
 

Khwahish

Super Star
Jul 9, 2010
10,367
2,827
1,313
29
Peshawar
kya stOry jasi bi hO chalega like lOving , funny , seriOus . bus hame SItuationsko Osmei use karna hai ?
[DOUBLEPOST=1348486198][/DOUBLEPOST]hame stOry esi thread mei share karni hai ya kOy Or thread bana ni hOgy ?
 
  • Like
Reactions: hoorain
Top