Salam Frndz,
Aj mein mashray k aik buhat he aham issue ko biyan kerna chah rahi hon or is mamlay may ap sab ki raye chahty hon
Jaisa k ap sab jantay hain aj kal mehngai ney ameer ko bhi ghareeb bana dya hai or ghareeb to bechara ghareeb say bhi budtar ho chuka hai....Aj kal daily newspaper may ye news amm hai k hakoomat nay mehngai khatum kerney k mashwaray diay...humari hakoomat to shuro say he mashwaray dety aye hai lakin in mashwaron ko pora kerney k liay unhon nay aj tuk koi iqdamaat nahi kiay...
mein to mehngai k baray may yehi kehna chahongi k jub tuk humaray mulk may corruption hai tub tuk mehngai say nijat ka tasawur bhi nahi kia ja sakta
Ab mera sawal ap sab say yeh hai k kia ab ye dour sirf ameeron k liay he raha hai ya gahreeb k liay bhi ab koi jagha baki hai??
Kya ghareebon ko jeenay ka koi haq nahi raha?
Plz is baray may apni rayay sab yahan likhain coz ye buhat aham masla hai humaray country ka
wa8ing 4 ur ideas