Mein juda apni ravish ehl-e-chaman rakhta hun

  • Work-from-home

zabaid

Newbie
Feb 20, 2010
88
122
0
44
Mein juda apni ravish ehl-e-chaman rakhta hun
kab mein izhaar mey andaz-e-kohan rakhta hun
mein kahan sab ki taraf ruu-e-suqan rakhta hun
apne kirdaar pe tanqeed ka fun rakhta hun

ye alag baat ke iss baat mey ek baat bhi hai
jo mera haal hai aeena-e-halaat bhi hai


ilm wa irfaan pa ye ahad-e-qird bhaari hai
adal ke naam se aeen-e-sitam jaari hai
ab tu mantiq bhi faqat zahan ki ayyari hai
aqal ka masraf-e-awwal he rayaakaari hai

ilm ek lafz hai jis ka koee mafhuum nahi
mein wo ilm hun ke kuch bhi mujhe maloom nahi

mard-e-saffak se aeen-e-wafa puchtay hein
nafs-e-gumraah se manzil ka pata puchtay hein
qalb-e- be-kaif se asraar-e-dua puchtay hein
log bimaar se tarkeeb-e-shafa puchtay hein

jahl ne ilm ke maidaa'N mein zabaa'N kholi hai
kitnay guungo'N ne qitaabat ki dukaa'N kholi hai

hawas-e-zarr ko tamanna-e-baqa samjhe hein
apne alfaaz ko farmaane khuda samjhe hein
adl ko ehl-e-sharafat ki qata samjhe hein
ilm ko maan-ne walo'N ki ataa samjhe hein

jhuut kehta hun tu sab log dua dete hein
be-wafaee pa mujhe daad-e-wafa dete hein

log zaahir mein juda tarz-e-bayaa'N rakhte hein
keena wa bughz wa hasad dil mey nihaa'N rakhte hein
jhuut chal jae gee kazab ye gumaa'N rakhte hein
aur bhi log magar muuh mein zabaa'N rakhte hein

ab jo khamosh hein izzat ke liye dartey hein
kitnay nadaa'N hein jeene ke liye martey hein

ruuh ke noor ko zulmaat-e-nafas kya jaaniye
saer-e-aflaak, giraftaar-e-qafas kya jaaniye
soz-e-baatin ko ghulaman-e-hawas kya jaaniye
uss'at-e-fikr O nazar moor-o-magaz kya jaaniye

haif hai zauq-e-nazar aesh-e-nazaara banjaay
deen-e-haq talab-e-dunya ka sahara banjaay

Aaj ke daur mein daulat hai sharafat ki daleel
maal-o-asbaab ki kasrat hai najaabat ki daleel
hai galat goee pa asraar, sadaaqat ki daleel
saqt hairat hai ke shohrat hai layaaqat ki daleel

log kehtay hein bohat kuch unnhein kehne deejiye
ilm bunyaad-e-fazeelat hai tu rehne deejiye

nafs-e-gumraah ko izzat ka chalan kya maluum
khuu-e-badkaar ko khusboo-e-qutan kya maluum
dast-e-gulcheen ko tamanna-e-chaman kya maluum
fikr-e-awara ko tehzeeb-e-suqan kya maluum

surat-e-jahal se jab ilm ka gaaza nikla
lafz ke kaandhey pa maani ka janaaza nikla

yun mafadaat ka jadu kabhi chal jata hai
bhaee aagay jo barha bhaee ko khal jata hai
aysa insaan saf-e-insaan se nikal jata hai
ek he khoon sahi rang badal jaata hai

ruuh ko qalb-e-haivaan mein dhalte dekha
ham ne kitno'N ko yahan rang badalte dekha
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top