mera afsana(intezar)

  • Work-from-home

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
Assalam alaikum
janab maine aik aur afsana likha hai jo k neeche hai.

INTEZAR


Baba azmat ne ghar main shor machaya hua tha tha, jaldi karo, jaldi karo abhi nadir ata hi hoga. Arey azmat abhi to subha k 10 baje hain
Aur nadir ka gaoun to bohot door hai abhi waqt lage ga, [bawarchi khane se baba azmat ki bhabhi ufak ne buland awaz main kaha].
Arey kuch tayariyan mukammal bhi hain ya nahi? Aaj mera beta beta nadir kitni muddat baad gher araha hai.
Arey baba main us k liye bhuna hua gosht paka rahi hoon aap fiker na karain amma jab aap k ladle k liye bhindyan paka ker farigh ho jain gi to main phir bana loon gi, sehen main bethi baba ki bhateeji ne baba ko tasalli dete hue kaha.
Baba ne kaha: haan beta ye tum ne theek kiya aur bhindiya to nadir ko bohot achi lagti hain, phir achanak baba ghusse se bola: arey ye bahir ka derwaza kis kambakht ne band ker diya derwaza khula rakho, ye keh ker baba berha aur derwaza khol diya aur phir bahir nikal gaya aur bari bechaini se gali k sire ko dekhne laga, shagufta ne awaz di: baba ander aajao abba ko gai abhi sirf aik hi ghanta hua hai wapis aane main waqt lag jai ga.
Baba azmat shagufta ki baat sun ker ander aagaya aur charpai per beth ker apna dayan haath apne ser pe rakh ker apne maazi main doob gaya, maazi main jo kathin waqt us pe guzra tha us k bare main soachne laga k jab wo aik jawan aur shadi shudah aadmi tha aur us waqt us ka aik 6 sala beta tha .
Us ki biwi aaliya bohot khoobsoorat auarat thi mager us k kertoot us k chehre ki terhan na the, wo aik badlihaz aur badtameez lerki thi. Wo her waqt baba azmat se lerti rehti thi mamooli si baat ka bhi batanger bana leti thi. Aik mertaba to baba azmat aur aaliya k beech aisa jhagra hua k baat talaq tak ja pohonchi.
Baba azmat ko gher walon ne bohot samjhaya k aisa ghazab na kerna werna bohot pachtawa ho ga, ab jesi bhi hai tumhari apni biwi hai aur ye sirf tum donon ka masla nahi balke us k saath aik nanhi jan bhi hai socho us ka kiya hoga us ki zindagi per kiya aser pare ga is sab k baad?
Mager baba azmat ne kisi aik na suni aur aliya ko talaq de di.
Aliya apne bete nadir jo sirf 6 saal ka tha le ker apne susral chali gai, is khofnak waqiye k baad baba azmat ko apne kiye pe bohot afsos hua kyun k wo apne bete nadir se beinteha pyar kerta tha, talaq k baad pehle pehel to wo apne bete nadir se maheena adh main kabhi kabhi mil leta tha mager kuch arsa baad aliya ki shadi kisi ameer aadmi k saath ho gai aur wo aliya aur nadir ko le ker bahir mulk chala gaya, baba azmat ne bohot haath per mare k kisiterhan wo nadir ko jane se rok le mager wo kuch na ker saka, saalon tak baba azmat apne bete ka intezar kerta raha k ab aye ga ab aye ga isi intezar main 20 saal guzer gai.
Aur aaj 20 saal baad nadir apne mamoo k gher aya us k saath us ka sotela bhai bhi tha. Baba azmat ko jab is baat ka pata chala to wo khushi se pagal hue ja raha tha wo to usi waqt wahan ja raha tha mager us k bare bhai ghafoor ne use ye keh ker jane se rok diya k tum na jao wo wese bhi pehle se tum per ghusssa hai wahan ja ker kaheen hatha pai na ker bethna tumhara beta kiya soche ga? Aik kaam kerta hoon main jata hoon mujhe yakeen hai wo mere saath aisa sulook na Karen ge aur main nadir ko saath hi le awoon ga.
Baba azmat ne apne bare bhai ki baat maan li aaj subha aaj subha ghafoor nadir ko lane k liye gher se nikla, aur apne saath apne bete naeem ko bhi le gaya baba ka to bohot ji chah raha tha mager us ne apne bare bhai k faisle main hi behtri samjhi.
Baba azmat abhi apni sochon main gum tha k ufaq bhabhi k tez tarar awaz ne baba ko chonka diya.
Bahbhi ne kaha arey azmat ja zara bazaar se 10 k tamater hi le aa, uf kiya zamana aagaya hai pehle to do teen rupe dheron tamater mil jayakerte the mager aaj kal 10 rupe main do teen tamater hi milte hain.[bhabhi ne ghusse se berbarate hue kaha]
Baba azmat charpai se utha aur aur bahir nikal gaya aur sabzi wale ki dukan pe ja ker us se kaha arey beta zara 10 k tamater de do.
Sabzi wale ne tamater dalte hue baba se poocha baba ji suna hai aap ka beta nadir bari muddat aaj aap se milne araha hai kiya ye sach hai?
Baba azmat ne kaha: arey haan wo bas ata hi hoga tum zara jaldi tamater dal do.
Sabzi wale ne hanste hue kaha: arey baba zara saber karo thora churi k neeche saans lo wo jaldi thore hi aye ga us ka gaon to bohot door hai subha chaha ghafoor keh ker gaya tha k wapis ate hue sham ho jawe gi.
Baba ne oonchi awaz main kaha: acha ab bas ker oye de mujhe tamater main janta hoon sab kuch, bara aya mujhe sikhane wala, aur haan aik derjan kele bhi de de hai ye kele to bohot sabz hain[baba ne naak cherha ker kaha]
Sabzi wala chonk ker: hain baba ji ye to bas dikhne sabz hain baaki to ye peele kailon se zyada meethe hain, ye lain aik kela kha ker to dekhain kesa hai?
Baba ne kaila kha ker chilka waheen phenk diya aur kaha chal theek dal de derjan.
Pair babe ghee pooch gay ghee jam kern abhi tamater aur kele rakhe the k achanak baba ki peeth per kisi ne haath rakha baba ne jo mur ker dekha to naeem khara muskura raha tha abhi naeem kuch kehne hi wala tha k baba azmat ne cheekhte hue kaha, aagaya mera beta nadir kahan hai kahan hai?
Ye keh ker baba bahir ko dora dorte chala gaya, naeem ne peeche bohot awazain di mager baba ne us ki aik na suni aur wo dorta chala gaya naeem bhi peeche peeche dor raha tha, dorte dorte jab wo sabzi wale ki dukan per se guzerne laga to achnak us ka per phisla aur baba azmat gir gaya, naeem aur sabzi wale ne berh ker uthaya, baba derd se karah raha tha, naeem ne berh ker baba k paon k neeche chipke hue kele k chilke ko hataya aur kaha k: baba aap is kele k chilke ki waja se gire hain. Baba ne jo dekha to foran sabzi wale se bare ghusse main kaha:
Arey kambakht tu ne kele ka chika kha ker yaheen phenk diya tujhe koi akal hai ya nahi?
Kele wale ne jawab diya: arey baba ye kela maine nahi tum ne phenka hai abhi thori hi der pehle to tum kha ker gai the bhool gai kya?
Ye sun ker baba khamosh hogaya, aur phir naeem ki taraf mutawajja ho ker poocha: naeem beta nadir kahan hai?
Naeem ne kaha: baba yehi batane k liye main aya tha k aap mere kehne se pehle hi bhag pare, mujhe abba ne bheja hai, abba keh rahe the k baba ko ja k khushkhabri suna do k nadir ka ana ab pakka hai,
Mujhe is lie bheja hai k aap ko bata doon k aane main thori der lage gi aur aap pareshan bhi na hon.
Baba ne khushi se: hain, tu ne dekha mera beta, kesa hai? Us ki sehat kesi hai pehle jesa mota taza hai ya angrezi khane kha kha ker dubla ho gaya hai?
Baba k itne dher sawalon k jawab main naeem ne moo bana ker kaha: kahan dekha use maine baba, jab hum wahan pohonche to nadir mojood na tha wo bahir gaya tha us k mamu ne use phone kiya to us ne kaha k wo thori der main ajai ga, yeh keh ker naeem ne baba ka haath thama aur kaha: chalo baba ab gher chalain kis ne kaha tha itni dor lagane ko?
Baba azmat ne hans ker kaha: sach beta, mager maine apni sari zindagi main sirf do hi bar itni dor lagai hai, aik aaj lagai hai jab nadir aaraha hai aur aik us waqt lagai thi jab nadir ja raha tha aur main pagalon ki terhan kabhi aik k aur kabhi doosre k pas jaraha tha k koi mere nadir ko bahir jane se rok le.
Phir wo donon gher chale gai, gher pohonch ker naeem ne baba azmat ko charpai pe betha diya aur poocha: baba abhi bhi derd ho rahi hai?
Baba ne jawab main kaha: nahi ab main theek hoon, aur charpai per late gaya.
Itne main shagufta aur ufq ko naeem baba k girne ka waqiya sunaya, wo dono baba ki taraf ayeen, bhabhi ufq ne poocha azmat zyada chot nahi?
Baba ne kaha: arey ab main bilkul theek hoon jao tum apna kaam karo.
Baba ki bhanji shagufta ne baba se poocha: baba ager aap kahain to takor ker doon?
Baba ne shagufta se kaha: nahi beti ab main theek hoon jao tum apna kam karo.
Phir wo dono apne kaam main masroof ho gai.
Thori der lete rehne k baad baba phir uth khara hua.
Naeem ne poocha baba phir kahan?
Baba ne jawab dya: beta wo main zara ander ja raha hoon apne kamre main taake kuch purani yaadain taza ker sakoon.
Naeem ne poocha: purani yadain main kuch samjha nahi baba?
Baba ne muskurate hue kaha: ander aaja sab samajh jai ga.
Baba azmat naeem ko apne saath ander le gaya,
Ab hum baba k kamre ka haal aap ko sunate hain.
Baba ka kamra kafi wasee aur hawa dar tha, mager phir bhi kamre main ghutan ghutan si mehsoos hoti thi, derwaza kholo to sofe k samne aik maiz pari thi, maiz pe aik safaid chader bichi thi aur us k ooper aik khoobsoorat guldan para hua tha jis main artificial phool lagai hue the.
Dahini taraf aik dabal bad tha aur us se ooper deewar per AllAH Aur HAZRAT MUHAMMAD (S.A.W) k naam likhe the aur ayatulkursi thi. Wese to baba kabhi kabhi jumme ki namaz perhta tha mager kamre ki deewar ko khoob sajaya tha.
Bahini taraf aik bari almari thi aur peti thi aur us se zara ooper aik choti si khirki thi jis se bahir ka nazara khoob kiya ja sakta tha.
Ab aage:
Baba azmat ne ander ghuste hi dahini taraf apna rukh kiya aur dabal bad k neeche se aik dermiyane size ki sandook nikali jis pe bara sa tala laga tha.
Naeem ne jo ye dekha to wo baba k kareeb beth gaya aur poocha: baba is main koi khazana hai kya?
Baba ne jawab diya: haan beta is main khazana hai.
Naseem ne bari bechaini se kaha: baba kholo na ise.
Baba azmat ne kaha khol raha hoon thora saber to karo.
Baba ne chabi nikal ker joon hi tala khola aur sandook ka ser hatay to naeem peeche ho ker beth aur hansne laga phir kaha: tum bhi na baba mazak kerte ho, ye koi khazana thori hai ye to kisi bache k khilone aur kapre hain.
Baba azmat ne kaha nahi beta main mazak nahi ker raha ye sach main mere liye khazana hai nahi ye to mere liye khazane se berh ker hai.
Ye dekh: baba ne aik ball haath main uthaya aur kaha: aik dafa jab main nadir ko ghumane le gaya to wahan raste main aik ball wala guzer raha tha nadir ne wahan zid paker li k mujhe ye ball le ker do, maine ball wale se keemat poochi to us ne 2 ru[e batai main un dinon berozgar tha jaib main sirf 1 hi rupiya tha main nadir ko zaberdasti god main uthyai gher le aya wo sare raste rota raha aur apni nazuk tange mere pait main marta raha jab gher aya tab bhi wo chup na hua to maine tere baap se rupiya le ker us k liye ball khareeda, ye dekh ker wo khushi se jhoomne laga. Yakeen jaano apne bete k chehre pe khshi dekh ker bohot sukoon mila. Baba azmat abhi baat ker raha tha k naeem ne sandook se aik chota school uniform nikal ker kaha: baba ye zaroor nadir ka uniform hoga mujhe yaad hai jab wo mere saath school jaya kerta tha.
Baba azmat ne uniform naeem k haath se lete hue kaha: nahi, ye tab ka uniform hai jab wo pehli bar school gaya tha aur main use apne kandhe per betha ker school le jaya kerta tha aur use ye lalach deta k ager wo school main perhe ga to chutti k waqt main us k liye us k pasandeedah angoor le ker awoon ga, to wo khushi khushi school jata, main bhi apne apne wade k mutabik roz us k liye angoor le ker jata main roz chutti k waqt apna kaam aadh main chor ker us ko lene jata, sach poocho to main chutti se adha ghanta pehle hi gate k pas khara ho jata aur chutti ka intezar kerta, intezar ki ghari bohot mushkil hoti hai aur ye shayad ab is dunya main mujh se behter koi nahi janta, main apne bete k baghair aik pal na reh sakta tha mager mujhe kya maloom tha k mujh pe aisa waqt bhi aana hai, ye keh ker baba rone lag para.
Phir baba apne aansoo poonjhte hue sandook se aur cheezain nikalne laga jis main tooti hui plastic ki train thi jise tape k saath jora gaya tha, us ki pati bhi jagah jagah se tooti hui thi aur bhi bohot se khilone nikale.
Naeem ne bariherat se poocha: baba ye sab to toota hai aur bekar hai is sab ko is terhan rakhne ka kya faida?
Baba ne ghamgeen lehje main kaha: beta main kab ka mer gaya hota ager ye cheezain na hoteen to, ab nadir araha hai na to main in cheezon ko phenk doon ga.
Phir naeem ne pooocha: baba aap ne shadi kyun nahi ki?
Baba ne thori der khamosh rehne k baad kaha: tu to aise keh raha hai jese tu hamare beech tha hi nahi, aik mertaba jo keh diya tha k shadi nahi kerni to nahi kerni.
Phir naeem uth khara hua aur baba se poocha: baba ab to nadir araha hai kya main in cheezon ko bahir phenk doon?
Baba ne asbat main ser hilate hue kaha haan phenk de, mager yesandook wapas le aana.
Naeem ne sare khilone sandook main daal ker bahir koore main phenk diye.

Sooraj ser pe tha k achanak aasman per kaale badal cha gai, ger ger ki khofnak awazain nikalne lageen tez hawain chalne lagi, thori hi der main ooper wale ne badalon k nalke khol diye aur sharaton se barish barasne lagi, tez barish ko dekh ker baba azmat ne chatri uthayi aur bahir nikal gaya.
Bhabhi ufq ne awaz di: ary azmat is tez barish main kahan ja raha hai arey ye naeem kidher chala gaya koi ise roko, bhabi ne bohot awazain di mager baba azmat chala gaya.

Baba azmat chatri liye bazar chala gaya abhi baba azmat kuch hi door gaya tha k naeem ne raste main naeem ne dekh liya aur poocha: baba kahan ja rahe ho?

Baba azmat kuch sochte aur hichkichate hue bola: wo main, main wo, soch raha tha k nadir araha hai to barish main bheeg na jai isi liye.
Naeem ne kaha: uff baba tumhai kya hua hai nadir apni gari main aye ga aur wo abhi thori hi aye ga wo to baad main aye ga aur tab tak to barish bhi tham gai hogi chalo ab gher chalo, baba khamoshi se naeem k saath gher agaya.

Gher pohoncha to bhabhi ufq ne baba azmat se kaha: arey tujhe mana kya tha na k nahi ja bahir wo khud ajai ga chal ab ander chal ker baith main tere liye roti lati hoon, subha bhi sahi terhan se tu ne khana nahi khaya.

Baba azmat khane se farigh ho ker phir se khara hogaya mager naeem ne haath se paker ker poocha baba phir kahan?
Baba azmat ne kaha main soch raha tha k bazar zara ghoom awoon barish bhi ghat gai hai kuch le bhi awoon ga.

Naeem ne kaha koi zaroorat nahi baba aap ko bahir jane ki sab kuch gher main mojood main aur ager kuch lana hua to main la doon ga aap aram karain.
Kuch der khamoshi chai rahi.
Phir kuch der baad baba azmat ne ik thandi aah bher ker kaha: hai kitna pyara mosam hai,maze maze ki hawain chal rahi hain, barish ne to jese berson se bharakte gham k sholon ko bhuja dala, kesi pyari matti ki soondhi soondhi khushbu arahi hai, baba azmat kehte kehte derwaze ki dehleez main aakhara hua, aur phir hawa main urti hui chiyon ko dekh ker kehne laga, dekh naeem in chiryon ki taraf kese khushi se hawa main per phelaye ur rahi hain, aaj to hum kisanon ki bhi khushi ka din hai kyun ALLAH TALA ne hum pe apni nemat bersa di hai, itne main naeem ko bhabhi ufq ne bulaya aur wo bahir chala gaya aur baba azmat apne palang per late gaya.
Is din kisi ko chahe kitni khushi kyun na ho mager us ki khushi baba azmat ki khushi k aage kam thi, kisi shayar ne sahi kaha hai k

Jesa mood wesa manzer hota hai
Mosam to insan k ander hota hai

Isi terhan intezar kerte kerte sham hogai, baba azmat sehen main betha tha k achanak gher ka derwaza khatka, baba azmat ne dor ker derwaza khol diya to naeem bahir se ander aya aur khushi se kaha baba ab intezar ki gheryan khatam hogai hain nadir bas aane hi wala hai chalo baith ker intezar kerte hain abhi gari aajai gi.
Kuch der khamoshi, sab gher wale sehen main bethe the k achanak gher ka derwaza khatka, tak tak tak………………. Wo charo khare hogai aur aik saath derwaze ki aur berhe bhabhi ufq aur shagufta apne saron per dupatta dal diya, baba azmat sab se peeche hoker khara hogaya jane wo kyun itna peeche gaya shayad apne bete ka samna na ker sakta ho ya shayad aur koi waja.
Naeem ne berh ker derwaze ka pat khol diya, aur ghafoor derwaze se ander dakhil hua, naeem ne ghafoor ko nazer andaz ker k bahir nikal gaya aur idher udher dekhne laga, mager bahir na gari thi aur na hi nadir, wo ander aagaya.
Ghafoor ne berh ker baba azmat se kaha: yakeen nahi ata k wo tumhara beta hai us ne tum se milne ko saaf inkar ker diya aur kaha k main us ki shakal tak dekhna gawara nahi kerta, ye alfaz ghafoor ne bare ghusse main kahe aur ander chala gaya.
Kafi der khamoshi chai rahi, jo jahan khara tha waheen khara reh gaya, sooraj dhal chuka tha, her taraf tareeki cha gai thi, parinde andhere k der se apne apne ashyane ko lot chuke the, thandi hawaon ne khofnak aandhi ka roop dhar liya tha, darakhton per se patte jherne lage the, aasman per aik bar phir se kaale badalon ka perda cha gaya tha, bijli karakne lagi thi, aik bar phir se barish hone lagi thi.
Itne main parosan gher main aagai aur kaha bhabhi maine ooper se dekha aap k choolhe per se handi jal rahi thi,
Bhabhi ne shagufta ko ishara kya aur wo dori kichen main chali gai naeem bhi gham zada ho ker ander aagaya, baba azmat gher se bahir nikal gaya, shayad apne aansoo chupana chahta tha, bhabhi rone lagi,
Kuch der baad bhabhi ne naeem se kaha k jao ja ker azmat ko dekho kahan gaya hai.
Wo joon hi kamre se bahir nikla to baba azmat gher main dakhil hua us k kapre bheege hue aankhain ro ro ker lal ho chuki theen aur haath main wohi toote phoote khilone the, baba azmat wo khilone le ker ander kamre main chala gaya aur apne peeche derwaza band ker liya.
 
Top