Mere Ehad Ki Zuban Me Mujhe Gumrahi Aata Kar

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Dono janib rangbirangey phulon ki aik lambi qitar aur raahdari par andar ki taraf jaatey huye apni apni sargarmio may masruf Talba(students) ,,lambi,choti shirts,kuch scraf ,kuch dupatoon, Kuch muflers Liye huye larkian, chust jeans,dheeli shirts ,,kahi aasteenain charhaaye baal kaanton ki tara kharrey kiye huye larkey,,,aankhon pe chashmey tikaaye haathon may files aur laptops pakarey apne dehan may jaate huye aur talba k salam ka sar hila k jawab daite huye usatdza,,,
aaj 20 saal baad APne hi college ki Daakhli raahdari par kharre huye us ne maazi k kitne hi manazir ko yaad kartey huye haal k manazir ko parkha tha,,
Kuch bhi to nhi badla tha ,,,wo bhii to kabhi yhi mojud thi unka bhi to aisa hi group tha jo 3 larkey aur teen larkio par mushtamil tha ird gird groups may kharry students ko daikhtey huye apni aankhon may anokhi chamak aur honton par dilkash si muskurahat sajaye wo andar ki janib barhi...........

puarani tarz ki safedi se dhaki amarat jahan 20 bars pehle woh parhti thi..aj us k samne thi..mazi k sare manzr uski ankhon k samne gardish karne lge ..
woh sb is safed amaarat k daayen taraf mojood apne class room se nikal kar sar'sabz ghaas k biche farsh se hote huve cafe ki tarf bhari thi.

Wese hum sb ko ek sath lechture bunk nahi krna chahiye tha, sari class khali khali c lgne lgti hai..beth'te hi Taniya ne apne khayalat ka izhar kia tha
is samasiya ka b hal hai ek k aainda tum ne class me hi rehna hai.. Nomi ne shararat se kaha tha
nhi nhi..Taniya ne ghabra kar kaha
hahaha..yeh Professor Abad ur Rehman k lecture se sb bhagte kyun ho? Hassan ne kaha tha
bhagte unhi cheezon se hain jin ka hume khof hota hai.gale me la'parwahi se latkate dopate me bethi chugam chabati Ayesha ne be'niyazi se kaha tha..kisi ne us ki baat ka jawab nhi diya tha,jawab to khud us k pas b nahi tha.kya woh b darti thi,us ne dil me socha phir sar jhatak kar un sb k sath khush'gapiyon me shareek huvi thi

woh safaid amarat k pichle darwaze ki sidhyon pe bethi samne darakhton se khazan rasida patton ko girte dekh rahi thi.

Oo hoo yahan to bare bare log bethe hain..Hassan ki achanak amad pe woh chonk c gai thi..
baki sb kahan gaib hain? hassan ne daryafat kia tha
Nomi aur farhan ka pata nhi,taniya tissue ka dabba liye flu ko kos rahi hai,Maham as usual last date ko assignment bna rahi hai.
aur tum ne is dfa last date se pehle hi bna li..amzaing.hassan ne shararat se kaha
mau'jaze isi duniya me hi hote hain Mr.Hassan!
ohh ..us ne ghari ko dekha tha aur jaldi se cheezain samet'te huve uthi thi
kahan ja rahi ho?Hassan ne herat se pocha tha
Ma'am Mehjabin ko audition dene.mai annual function pe raqs me participate kar rahi hon na..yeh kehte huve woh sedhiyon se utri thi..
wow..interesnting yeh naya shok kb huva?
u know hassan art humesha se mera interest raha hai..mera passion! ..chahe woh kisi b kisam ka art kyun na ho..! us ne jaldi se jawab diya tha
aur khushk patton par se dorti huvi common room ki tarf bhar gai thi

Khawaten o hazraat matwaju hon..woh Cafe me un pancho'n k pas khare ho k pur'josh andaz me boli thi
sb ne khafa khafa nazren uthai thin aur phir magan ho gaye
oh ok..woh kuch smjhne k andaz me phir se boli thi
dear handsome boys and beautiful girls attention please!
ab sbhi muskura k us ki taraf mutwaju huve the.
Ma'am MehJabin ne mujhe select kr lia..! woh khushi se chekhi thi to jawab me sb ek sath bole the ..................... treat.. !
ho boht kamine tum log..Ayesha ne shararat se kaha tha
sara cafe qehqahon se gunjh utha tha
........

mosam sarma ki chuttion k bad woh college aayi thi lekin us k group k baki log gher'hazir the..woh nihayat boriyat ka shikar ho rahi thi
us ne ghari ki tarf dekha to Islamyaat k lecture ka waqt ho raha tha..yahan fazool bor hone se to behtar hai lecture attend kia jaye yahi sochte huve woh class room ki tarf bhari thi
talba-o-talibat se salam dua aur haal ahwal k bad Professor sahib ne lecture ka aaghaz kia
aj ka humara mozu hai " Islam aur aj ka musalman"
Alhamdulillah hum sb musalman gharano me peda huve,duniya k sb se behtareen deen ko humare liye muntakhib kia gaya..ek kitab Quran-e-pak ki sorat me hume mukamal zabta-e-haayat diya gaya aur.hazrat Muhammad S.A.W ki sorat me ek misali namona-e-hayaat..mujhe aur ap sb ko bhalai k deen ka per-o-kar banaya.
beta ap sb yaqinan jante hain zamana-e- jahliyat kis dor ko kehte hain..koi bataye ga mujhe
professor sahib ne sawaliya narzon se pori class ki tarf dekha tha
Islam aane se pehle wale dor ko.jb insan be'his darindon jese the na'umeed the har tarf fahashi aam thi,..........
ji shabash beta.bethen ap
ab ap sb ghor kren k aj jis zamane me hum hain ise ap kya kahen ge..?
kya apko nhi lagta aj k dor me woh sari baatain hain jo zamana-e-jahalat me thin..zra ghor kren..us k bad class room me khamoshi cha gai thi
us ne zra c dair ko socha tha to use kitni hi misalen mil gai thin..khud apni zaat,us k ird gird k log aur college ka mahol zamana-e-jahalat se kuch km to nahi tha..
woh khamoshi se class se nikal aayi thi..hum bhagte unhi cheezon se hain jis se hum darte hain..kya mai b darti hon..han waqai hi hum darte hain..kyun k hum munafiq hain..jahan jahan humari mulaqat apne andr k insan se ho unhi jagho aur cheezon se hum bhagte hain.khof khate hain.kya hum aj k musalman the ya dor-e-jahalat k be'his log..woh yeh sb sochna nhi chahti thi..phir b zehan-o-dil me jang chirh gai thi .

Hassan aur Taniya us k samne khare the,yeh kya sun rahe hain hum Ashi..Taniya ne Ayesha se daryafat kia tha
sahi suna hai..us ne be'nayazi se jawab diya tha
masla kya hai tumhare sath..hassan ne use jhinjhora tha..
Raqs to tumhara passion raha hai..ab achanak ma'm se inkar kyun kia tum ne..Art ki duniya boht wsii hai..feelings aur emotions ki duniya ..andr ki duniya.. woh musalsal bol raha tha.
zaruri nahi har art acha ho. har shoq musbat ho aur kon c andr ki duniya ki baat kar rahe ho..khala se pur..jahan insan gum ho jate hain..saakat mujasamo me,haya rul jati hai..saaz pe thirakte peron me..meri andr ki duniya kho gai hai..woh ajeeb se lehje me bol rahi thi
pagal ho gai hai yeh..smjhao ise Mahi..hassan ne maham se kaha tha
itni conservative soch kyun ho gai hai tumhari..? Maham ne kaha tha to Ayesha ne dukh bhari nazron se us ki tarf dekha tha
tum log smjh kyun nhi rahe yeh ghalat hai ..hum muslaman hain.yeh sb humari cheezain nhi hain
ohh..to tum ne jo ek week Professor sahib ki class attend ki hai us ka tumhare dimagh pe asar ho gaya hai..
yeh molviyon ne islam ko itna ghambeer bna diya hai har shy pe fatwa lga dete hain yeh ghalat hai woh ghalat..hassan ne haqarat se kaha
tum yeh Sir k bare me keh rahe ho,woh gusse se boli.. khud hi batao humare pas kon si shy hai jo sahi hai, humara libas,kano me head phone lgaye yeh nu'jawan.humara co education system kya sahi hai..mahino bad namaz parhna.. us ne khud pe aur idr gird college k dosre talba ko dekhte huve pocha tha.
hassan kuch dair khamosh hone k bad phir bola tha
dekho hum musalman hai na,Allah janta hai humara dil kitna sacha hai..phir yeh dikhawa krne ki kya zarurt hai..?
zaruri nhi hai k hum musalman gharano me peda hon aur khud b ache musalman hon..yeh kafi nahi hota,apne raste khud dhondne parte hain..nafs se hume khud larna parta hai..
aur humare dil me jo hai woh humare amal us ki gawahi dete hain..humare amal kya sabit krte hain k hum muslaman hain kya...? us k lehje me nami thi
dimagh ulat gya hai is ka,mahi kesi behki behki baatain kar rahi hai yeh.
kyun tum logo ko meri baaton ki smjh nhi aa rahi..mahi tum hi meri baat smjho..Ayesha ne Mahi ka haat parka tha
yeh disturb hai..kuch din bad khud hi normal ho jaye gi..Hassan ne gusse se kaha tha aur Mahi ko sath liye woh dono chale gaye the..
woh usi jaga bench pe beth gai thi aur muh pe dono hath rakh k ro rahi thi..!aj us k wohi dost jinhe dawa tha k woh use smjhate the,use pagal keh k ja chuke the.
Mere Ehad ki zuban me Mujhe Gumrahi aata kar

aj 20 saal bad usi jaga bench pe bethi thi..lekin woh kitni mut'ma'in aur khush thi..!
yeh khushi us k andr k sakoon ki zamanat thi,us din is bench pe rone k bad aur khud ko apne doston ki nazron me pagal janne k bad b us ne khud ko dhondne aur apne maqsad-e-hayaat ko pane k liye amli musalman bnane ki sai ki aur Alhamdulillah kamyab rahi thi.
woh bench se uthi thi k achanak uski nazr Professor Qari Abad ur rehman pe pari,woh kafi bhoore ho chuke the .lekin abi tak isi college me tadrisi faraiz saranjam dy rahe the,woh Sir ki tarf bhari aur dhime lehje me salam bulaya aur taruf krwaya.
Sir ne boht khushi se salam ka jawab diya tha foran hi pehchante huve kaha,Beta humare pas boht se talib-e-ilm har saal parh k jate hain.kuch haqiqi talb ko pa jate hain aur kuch bazahir aala ohdon pe hote huve b zindgi k maqsad ko smjh nahi pate.ap me yeh tabdili dekh kar lga ap ne apne maqsad ko pa lia hai mashaAllah.
black aabaya me sar ta pair dhaki Ayesha 20 saal pehle yahan parhne wali Ayesha se boht mukhtalif aur mutma'in thi.
Professor sahib k pochne par us ne pichle 20 bars ki mukhtasir c dastan sunai.
yahan se jane k bad mai ne ek behrateen dars'gah me islamic studies me admission lia.wahan zindgi ka behtareen 4 saal guzare,ilm ki haqiqi talb ko usi dars'gah se paya.
us k bad amli zindgi me qadm rakha,apne husband ki madad se munkarin-e-hadis k khilaf kuch kitaben likhin,2 betiyan aur 2 baite hain mere,unki tarbiyat humesha se hassaas marhala raha mere liye k kahin yeh na ho k yeh b musalman gharano me peda ho k b islam ki rooh ko na smjh saken,lekin Alhamdulillah insan apne Rab ki nematon ka shumar nhi kar sakta,us ka ehsan hai k aj mujhe un ki Maa'n hone pe ek fakhar ka ehsas hota hai..!
apni daastan sunne k bad us ne baki sb k bare me pocha tha,jise Sun k use shadid dukh huva tha,
hassan aur maham ki shadi hone k kuch arsa bad alehdgi ho chuki thi unki ek beti isi college me parhti thi,Nomi ki ek car accident me moat ho gai thi,Farhan aur Taniya ka kuch maloom nhi tha.
un sb k liye us k dil se dua nikli thi,woh ijazat ly kar wapis muri thi k us ne college se bahir nikalte huve logo ko dekha tha k achnak uski nazr Hassan pe pari thi...woh chehre se shadid zehni tanao ka shikar lgta tha aur qadre bhora b, us k sath uski beti b thi,jo maghrabi tarz ki libas me malbos aur ek hath me sulagti sigrat liye huve thi..
gaari me beth'te hi dukh ki shiddat se us ne ankhen band ki thi,
Amma ji kya huva? us k sath bethe us k 17 saal k bete ne muhabbat se pocha tha.
kuch nahi..woh khamosh ho gai..driver gari chalao
gari chal rahi thi.. us ka zehan Quran-e-pak ki ek Aayat pe ja ruka tha
"Un logo ki manid na ho jana jis ne Allah ko bhula diya to Allah ne unhe Apne Ap se ghafil kar diya"
surah Al-Hashar(ayat no 19)[DOUBLEPOST=1348242285][/DOUBLEPOST]@hoorain , @Bela , @Nelli , @*Muslim* @Ally @Sabah @masoom_se_chahat @Detective @faari
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
MASHAALLAH Annu
Speechless :)
aapki tehreer hamesha professional touch liye hoti hay! bohat brief ,,neat easy to understand and with gr8 message :-bd
"hum bhaagtey unhi cheezon se hin jin se hum darte hain" Gr8 line of ur article!
GUD LUCK!
 
  • Like
Reactions: Qawareer

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
bht bht bht khubsurat likha ha annu............
jitni tareef ki jae kam ha.....
aj k dor k muslmanon ka almiya
hats off to you
nice sharing qawareer buhat acha topic banaya ap ne
hum bhagte unhi cheezon se hain jis se hum darte hain
best of luck
MASHAALLAH Annu
Speechless :)
aapki tehreer hamesha professional touch liye hoti hay! bohat brief ,,neat easy to understand and with gr8 message :-bd
"hum bhaagtey unhi cheezon se hin jin se hum darte hain" Gr8 line of ur article!
GUD LUCK!
MASHA ALLAH bohot hi acha topic tha sach mai parh kr khushi hui

best of luck
shukaria...!!!![DOUBLEPOST=1348307556][/DOUBLEPOST]@ღ*HõOriã*ღ , @Tooba Khan
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
bare jalde mujy tagg karnay ka kiyal agiya:mad:wesay may already parh rahe ho abe..w8 4 coments
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
galti ho gai bibi:eek: toobi kbi to masoom logo ko bakhsh diya kro:p
toobi na MAAF karna ab chor diya hay baccha....ab pora pora hisab lay k u ki jan chorne hayslap1)}[DOUBLEPOST=1348308133][/DOUBLEPOST]khair mazaq apni jaga but i must say jub b koe writing compition hota hay to mera moqabla siraf u k sat hota hay:pq k mujy tumhare tehreeray wese laghte hay jo aksar ird gird k halat o waqiyat dek kar maray apnay dil o zehan may obhartay hay...

sach bolo behatreen tehreer hay ye b pehli tehrero ki tara...m reaily speechles yara...very very nice anno....keep writing plzzzz...or mujy reail nam batana apna...q k i hope future may anno bibi ki tahareer dijest ki b zenat banay ge..:) good luck...
 
  • Like
Reactions: Qawareer

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
toobi na MAAF karna ab chor diya hay baccha....ab pora pora hisab lay k u ki jan chorne hayslap1)}
{(running)} ..........[DOUBLEPOST=1348308418][/DOUBLEPOST]
toobi na MAAF karna ab chor diya hay baccha....ab pora pora hisab lay k u ki jan chorne hayslap1)}[DOUBLEPOST=1348308133][/DOUBLEPOST]khair mazaq apni jaga but i must say jub b koe writing compition hota hay to mera moqabla siraf u k sat hota hay:pq k mujy tumhare tehreeray wese laghte hay jo aksar ird gird k halat o waqiyat dek kar maray apnay dil o zehan may obhartay hay...

sach bolo behatreen tehreer hay ye b pehli tehrero ki tara...m reaily speechles yara...very very nice anno....keep writing plzzzz...or mujy reail nam batana apna...q k i hope future may anno bibi ki tahareer dijest ki b zenat banay ge..:) good luck...
hahahaha..tooobiiiiiiiiiii=))
btw boht meharbani :p
 
  • Like
Reactions: Tooba Khan

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
Masha'Allah Bohat Khobsurat Anadaz aur Bohat hi achay Topic pe likha..! acha msg dia hay Jis ke aaj hum sab ko zurorat hay.

Anadaz-e-Biyan aur words ka chunao Impressive hay..! U r a ProfessiOnal Writer. :)
 
  • Like
Reactions: Qawareer

*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
ma sha Allah behtareen
lag raha hy ke abi college ki zindagi me apke sath ese chal raha hy
agr waqai ese hy tu mustaqbil ka jo manzar apne khud k lie banaya hy meri dua hy ke us se behtar hu ameen
 
  • Like
Reactions: Qawareer

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
ma sha Allah behtareen
lag raha hy ke abi college ki zindagi me apke sath ese chal raha hy
agr waqai ese hy tu mustaqbil ka jo manzar apne khud k lie banaya hy meri dua hy ke us se behtar hu ameen
shukaria!!!
sumAmeen
nhi..! tehreer me likhne wala kahin na kahin hota hai agr khud waziya tor pe na b ho phir b uski tehreer uski soch ki akasi krti hai.
 
  • Like
Reactions: *Muslim*

Zonish

Active Member
Mar 24, 2012
380
197
43
Bohat khobsurat manzr nama behad khobsurti se paish kia
or utni hi khobsruti se unwan se wabesta reh kar tehreer ko anjam tak pohnchaya
best of luck
 
  • Like
Reactions: Qawareer
Top