Meri Daastan-e-safar

  • Work-from-home

Aayat

TM Star
Dec 9, 2011
1,020
737
613
MERI DAASTAN-E-SAFAR
- MAP -
ye rasta tha jo hum ne tey kia, jaate waqt.jo k takreeban 2100 km ka safar tha.
Day :1
ek ajeeb si khushi or muskurahat le ker gher se me chal dia, ye khushi thi mujhe mere Allah ke gher jane ki, chun ke me bht safar pehle ker chuka hun, is lie mujhe is safar me kuch alag sa ehsas mehsus ho raha tha, wo ehsas kya tha, kyu tha, kise pata... Bas jo bhi ehsas tha jo bhi jazbaat they bht hi mukhtalif they.​
Umrah k lie bus me bethe intezar me tha, asar ki namaz k bad ka waqt tha or humara kafila safar k lie nikal para.apne sheher k logo ko dekh raha tha bus ki khirki se. Sab apne apne kam me masruf dikhe, Laga jese k me kitna khush kismat hun k aj me apne sab kam bhol ker sirf ek adna insan ban k ja raha hun, jis k daman me apne rab k lie koi ache amal nai, phir bhi uske dar per chal para hun. Dil me bas ek hi dua aa rahi thi, aey Allah mere umrah ko kobool ata farmadena, me tere dar pe ek esa fakir hun jis k pas koi pyala nai, per mangne k lie bht kuch hai.​
Raat ka waqt takreeban 9, bus abu dhabi k ek sunsan sehra me khule ek chote se dhabey per ruki jahan namaz ka bhi intezam tha or pet ka sahara bhi, kuch halki phulki ghiza khane k bad me wapis bus me betha hun, agla stop hoga UAE / Saudia ki border ka jo k is jaga se 250 km se zada k fasle per tha, me is doran khwabo ki dunia me jane ka irada ker chuka tha...​
1:15 am or hum ab saudia me hain border or check post per.kyu k khula medan tha duur tak na koi emarat na koi pahar is lie bht thand thi.​
3:30 baje ka waqt hai, bus k bahar jane ki himmat hi nahi ho rahi thi, kyu k hawa bht thandi or tez chal rahi thi. is doran mera rapta raha sajid bhai (hansmukh bhai) se or un ki prediction bhi yehi thi k humara khafila fajar k waqt hi puhanchega makkah me.​
-----------------------------------------------------------
Day 2:
subha ki tez roshni se meri ankh khuli , 8 baje ka waqt tha or safed rait hi rait thi dur tak abadi ka naam nai tha. Ye area qatar ki border se thora niche saudia ka tha.​
Takreeban 1:30 baje hum riyadh ke ek patrol pump per ruke hain, namaz parne ke bad waha k ek resturant se mandi ( arabic biryani ) khai, ab hum yaha se phir chal pare hain taif ki or jaha meekat se ehram pehna jata hai,​
waqt hai takreeban 4:30 pm, yaha raste me ek ajeeb si bat dekhi yaha ke jo pahar they wo tarashe hue they, ese lagta tha paharo ko tarash. Kr kuch banane ki koshish ki hogi kisi waqt me. mere zehen me ek hi bat ai "jaha me hai ibrat ke har su namone, magar tuihko andha kia rung-o-bo ne, kabhi ghor se bui ye dekha hai tu ne, jo mamoor they wo mehal ab hai soone"​
Guide k mutabik wo kehta tha k yaha pehle samandar hua kerta tha jab dunia bani thi is lie ese nishan bangae hain, kise pata hakeekat siwae Allah ke kyu k mene bhi is bare me nahi suna tha.​
Kher kafi ghanto k safar k bad hum log meekat per puhanch gae they, ye wo hudood hai jis se ap ko ehram pehna perta hai, ehram pehne k bad hum log rawana hogae masjid ul haram ki taraf.​
-----------------------------------------------------------
to be continued...
kal hum or kuch dino ki dastaan bayan karenge with pics
kal hum bayan karenge humara umrah ka tajurba kesa raha.​
ye total 13 dino ki baat hai jo hum share karenge ahista ahista, or mazeed pics bhi share karenge or TM k 4 members se humari mulakat ka kissa bhi isi me bayan karenge with pics so stay tuned.​
Masha ALLAH ap bohat khush naseeb hain jo apko ALLAH ne apne ghar ki Ziarat ka mouqa diya :)
N dastaan parh k bohat acha laga

thanx for sharing with us !
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
mashaAllah is post me sajid bhai ki mulaqaat bhi hogayi hai.aur muqamaat ki ziyarat bhi.
bade acche se describe kia aapne mashaAllah.:)
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
- MERI DAASTAN-E-SAFAR -
Day 5:
subha sajid se mulakat hui or nashte k bad unhu ne mujhe apna office dikhaya, phir zuhar tak me sajid bhai k sath raha, or unhu ne hume masjid-e-aisha per utara jo haram ki sab se kareebi hadood hai or meekat hai jaha per umrah k lie ihram bana jata hai.waha se aker mene dosra umrah kia, meri khala ka jin ki recently death hui thi.​
sajid bhai k office jate waqt un ki car se li hui ek tasweer.
sajid bhai k office me sajid bhai ki ek yadgaar tasweer.
sajid bhai k office ki garama garam cofee.
umrah ke doran humari ek tasveer.
baitullah ka ek dilkash manzar
baitullah ka ek dilkash manzar
baitullah ka ek dilkash manzar
makkah tower ka nazara mataaf se

-----------------------------------------------------------
Day : 6
Subha sawere office jate hue sajid bhai ne mujhe or mere chote bhai ko pick kia or hum dono ne unhi k sath nashta kia or zuhar tak un k sath office me rahe, waha office se hi chand mins k lie mene apna ipod connect kia or phir TM per status likha or meri thori si guftugu Hoorain se hui.jo us waqt online thi.​
Zuhar k waqt phir sajid bhai ne mujhe gher pe chor dia or hum log zuhar se isha tak masjid ul haraam me hi rahe. agle din subha ko hi sajid bhai se akhri mulakat hoi hai chunn k hum logo ka khafila subha hi madina k lie rawana hone wala tha.​
masjid-ul-haraam ka ek khoobsurat fanoos.
masjid-ul-haraam ka ek dilkush manzar.
under construction area in masjid-ul-haraam
under construction area in masjid-ul-haraam
isha ki namaz k bad ka manzar masjid-ul-haraam me.
makkah tower ka shopping center
sajid bhai k sath makkah sheher chorne se pehle ki tasveer
sajid bhai k sath makkah sheher chorne se pehle ki tasveer
sajid bhai k sath makkah sheher chorne se pehle ki tasveer
makkah sheher se madina ki taraf rawana hote hue makkah tower ka manzar
makkah se madina jaate hue raasto ke dilkush nazare
makkah se madina jaate hue raasto ke dilkush nazare
-----------------------------------------------------------
 

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
-----------------------------------------------------------
MERI DAASTAN-E-SAFAR
Day :7
Hum subha subha takreeban 8 baje bus e beth gae or intzar ker rahe hai. Isi doran hansmukh bhai se bhi akhri mulakat hui. dil to chah raha tha kuch din or ruke , or baitullah me or ibadat karien or phir sajid bhai k sath kuch or din bhi guzar jate.​
Kher bus subha 8 baje nikli mecca se or takreeban 3 ghante bad hum ek patrol pump per ruke rest k lie usi doran hum logo ne dopeher ka khana khaya.​
madina jate waqt raste me ek patrol pump.
madina jate waqt raste me ek patrol pump per humari ek tasveer.
madina jate waqt raaste me ek patrol pump me mujood dukan.
phir hum waha se chal pare or mazeed takreeban 3 ghante bad zuhar k bad hum madina me puhanch gae they. Madina puhnchte hi ek ajeeb sa sukoon mehsos hone laga tha, ye bat sach hai k jaha mecca sheher me Allah ka khauf or shidat o jalal mehsus hota hai wahi madina me dili sukoon or ek esa ehsas hota jis ko lafo me bayan kerna bht mushkil hai. Yaha ane k bad ek bar phir sajid bhai se call per bat hui k hum madina kher o kheriyat se puhanch gae hain. Phir meri baat arshad bhai or nasir bhai se hui thi. Or jumme ki mulakat ka tey hua.​
Asar k bad hum sab masjid ul nabwi k lie chal pare jo k takreeban 1.2 km se zada dur thi humare flat se. Kher puhanchte hi jo thandi fiza mehsus hui or mun se subha Allah nikal gaya jab ap (S.A.W) k dar per punche mashallah masjid-ul-nabwi bht hi khobsurat sajai hui hai. Jaha tak hum puhanch sake waha se gumbad-e-khizra ki jhalak dikh rahi thi per pori tarha se nahi.​
masjid-ul-nabwi me dakhil hote waqt ka manzar.
masjid-ul-nabwi me dakhil hote waqt ka manzar.
masjid-ul-nabwi ka dilkush manzar.
masjid-ul-nabwi ka ek khoobsurat fanoos.
masjid-ul-nabwi se gumbad-e-khizra ka dilkush manzar
Kher namaz maghrib k bad hum log ap (S.A.W) k roze mubarak ki taraf puhanche buhat dikat k bad kyu k ap k chahne walo ki mashallah se itni bhed thi. Kher roza mubarak pe puhanch ker mene apni or apni family or apne sare dosto or TM walo ki taraf se ap ko drood o salam pesh kia, waha se jun hi bahir nikle masjid se to gumat-e-khizra jo k sabz rung ki hai wo dikhi mashallah bht khoobsurat manazir they wo. Kher phir isha k bad hi hum wapis apne flat me rawana hue.​
Aap (S.A.W) ke roza-e-mubarak per salam dene walo ki bhed.
ye wo pak jaga hai jaha Aap (S.A.W) qutba dia kerte they
ye masjid-ul-nabwi ka pak mihraab
Roz-e-pak Aap (S.A.W), Abu bakr sidiqi (R.A) or Umer (R.A)
Roz-e-pak Aap (S.A.W)
gumbad-e-khizra ka ek khoobsurat manzar.
gumbad-e-khizra ka ek khoobsurat manzar.
masjid-ul-nabwi k sath humari tasveer
-----------------------------------------------------------
to be continued...
agli bar hum or kuch dino ki dastaan bayan karenge with pics
hum bayan karenge humara madina ki ziyarat ka tajurba raha.
ye total 13 dino ki baat hai jo hum share karenge ahista ahista, or mazeed pics bhi share karenge or TM k baki 3 members se humari mulakat ka kissa bhi isi me bayan karenge with pics so stay tuned.
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
walaikum assalam adi :)
mashaAllah bahot hi khoob andaz me bayan kia aapne :-bd
thanks for sharing :) in sha Allah aapke madine k halaat bhi hum janne me khushi mahsoos karenge.
 
  • Like
Reactions: Atif-adi

Tishna-Kaam

Senior Member
Aug 24, 2007
629
319
1,163
jazak ALLAH khair
ALLAH ap ka ye safar qabool kare aur sab muslims ko iss sa'adat ki tofeeq de.ameen suma ameen
 
  • Like
Reactions: Atif-adi
Top