Meri Mohabbat

  • Work-from-home

farooqrashid

Newbie
Aug 25, 2007
118
22
0
39
Meri Mohabbat

Mujhey zindagi ka sirf ek hi maqsad maloom hoa hey......Mohabbat.

Aur mujhey jis sey mohabbat thi....hey aur rahey gi.....wo mera rab hey.

Wo her waqt merey sath hey.

Mujhey oss ki mohabbat esi mili k oss k liey ab "oss" kehna bhi doori lagti hey.

Her saans aur her dharkan maiN shamil mera rab jism o rooh maiN mojod hey.....aur

mujhey kisi haal maiN akela nahi chorta.

Her waqt osi sey meri guftago hoti hey.

Apney dil ka haal sunaney ki nobat nahi aati....kioN-k wo itna qareeb aur sath hey.

Oss sey mujhey mangney k liey hath nahi othaney partey kioN-k wo mangney ka

moqa deney sey pehley merey dil ka khayal pora kar deta hey.

Esey sathi....esey dost....esey MEHBOOB k hotey hoey kisi mehboob....kisi

sathi...kisi dost ki mujhey koi zaroorat na thi....na hey....na ho gi.​
 

farooqrashid

Newbie
Aug 25, 2007
118
22
0
39
~*SS*~ said:
YE BOHAT ACHI BAAT HAI LAKIN MEHBOOB KI KHATIR KI MEHBOOB SE RISHTAY NIBHYE JAATAY HAIN

MEHBOOB KI MEHFIL KO MEHBOOB SAJAATAY HAIN
AATAY HAIN WO HI JIN KO SARKAAR BULAATAY HAIN
Agar mumkin ho to iss bbaat ki kuch wazahat kar deN plzzzzzz.
 

yasir

TM Star
Jun 23, 2007
1,011
137
63
37
lahore
nahi asa nahi hai mohabat to age barhna sikati hai chahee woo mohabat nakam ho ya nahi ho {(popcorn)}
 

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
farooqrashid said:
~*SS*~ said:
YE BOHAT ACHI BAAT HAI LAKIN MEHBOOB KI KHATIR KI MEHBOOB SE RISHTAY NIBHYE JAATAY HAIN

MEHBOOB KI MEHFIL KO MEHBOOB SAJAATAY HAIN
AATAY HAIN WO HI JIN KO SARKAAR BULAATAY HAIN
Agar mumkin ho to iss bbaat ki kuch wazahat kar deN plzzzzzz.

mera matlab ye tha k aap nay jo kaha wo bilkul theek hai
sub se pehlay to main ye kehna chahti hoon k really Allah k ilawa koi kisi ka ghum halka nahi karsakta

Allah k ilawa koi best friend nahi ban sakta

Allah k ilawa koi aisa nahi jo itni nafarmaani aur gunahon k bawoojud bhi muaf kar de aur phir kahy main tumharay ander hi hoon mujhay dekhtay kyun nahi

is baat ko jitni detail main bhi pesh kia jye koi nahi kar sakta aur wo bhi main ye to 1 nihayat hi haqeer si baat hai......

ab baat jo aap nay kahi...

us main main ye kehna chahoon gi k Allah nay farmaya jis nay meray mehboob k waseelay se maanga main us ko doonga

Allah aur us k farishtay aap(S.A.W) par daroodu salam bhaijtay hain

jab Allah nay ye kaha to Allah ka mehboob kon hua???

isi liya ye hadees hai k "tum jab tak momin nahi hosaktay jab tak tum apni jaan apnay maa baap se ziada muj ko na chaho"

jab aap(S.A.W) ko mehboob samaj lia to Allah bhi us banday ko mehboob bana laita hai...

Allah ki muhabbat fana fi Allah
us tak pohanchnay k liya
rasool ki muhabbat fana fi rasool

us ki muhabbat ki comletion ahlay bait se muhabbat

asal baat ye hai in sub baaton k ilawa
aap nay ye kaha k Allah k siwa mujhay na to kisi ki dosti ki zuroorat hogi na hosakti hai..
lakin dunyaawi rishtay jo nibha rahay hain ye muhabbat bhi Allah nay hi daali hai..

ye aur baat hai k in k upar Allah ki muhabbatrakhi jye...
agr in baaton ko bhi shamil ker laitay to ziada acha tha....aur wo jo main nay aap(S.A.W) k hawaalay se kaha un k zikr k baghair koi baat complete nahi..
 

farooqrashid

Newbie
Aug 25, 2007
118
22
0
39
MaiN aap ki raieysey mut-tafiq hoN.
Lekin mera kehna ab bhi ye hey k jab baat "Mohabbat" ki ho to oss k laiq sirf aur sirf Allah hey.....meri nazar mey.....shaid ye ghalat ho.
 

farooqrashid

Newbie
Aug 25, 2007
118
22
0
39
Jis maiN koi bhi gharaz ho wo mohabbat nahi merey nazdeek......Allah sey mohabbat ka dawa wo kar sakta he jo oss sey maghfirat bhi na mangey magar yehi kahey k ya Allah TEREY siwa kuch bhi nahi chahiey.
 

munna_bhai

Newbie
Apr 1, 2007
124
12
0
72
Mein Gunaahgaar...

Appan ka to iss bare main likte hooe haath kanpta he tom sab log kese ye sab lik leta he. Boot sooch samjh ker lika karo. Buhat bhari baat he appan to ye janta heeee.
 

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
aap nay meri baat nahi samjhi farooq bhai main nay aap ki samj li ...dekhain aap theek keh rahay hain Allah k siwa koi dost nahi hosakta aur Allah nay farmaya

"" ALLAH K DOSTON KO NA GHUM HOTA HAI NA FIKAR""

""AUR MAIN UN KI AANKH..KAAN..ZABAAN..BAN JAATA HOON PHIR WO MERAY AANKH SE DEKHTAY MERAY KAAN SE SUNTAY AUR BAAT KARTAYU HAIN""

YE MAFHOOM HAI AGAR THORI BOHAT GHALTI HOGAI HO TO ALLAH MUAF KARAY

ACHA ZARA MERI IN BATON KA JAWAB DENA ZARA

MUJAY SIRF AAP YE AAP KI KAHI HUI KUCH BATAON KI DETAIL CHAHEY AUR APNAY SAWAAL K ANSWER...

AAP KI BATAIN K JAWAB CHAHTI HOO WO YE HAIN

1)--MUJAY ALLAH KI DOSTI K SIWA KISI KI DOSTI NAHI CHAHEYA

2)--ALLAH K SIWA NA KOI MEHBOOB THA NA HAI NA HOGA

AB MERAY SAWAAL

1)--KIA HUZURAY PAAK KI SHAFA AT K BAGHAIR KOI JANNAT MAIN JASAKTA HAI

2)--JAB QURAN-E-PAK MAIN ALLAH NAY AAP(S.A.W.W) KO APNA MEHBOOB BATAYA TO KIA AAP KO US K MEHBOOB SE DOSTI NAHI KARNI

3)--JAB ALLAH AUR US K FARISHTAY AAP(S.A.W.W) PAR DUROODO SALAM BHAIJ RAHAY HAIN AUR KAHA JARAHA HAI K A IMAAN WAALON TUM BHI AAP (S.A.W.W) PAR DUROODO SALAM BHAIJO TO KIA IS KA MATLAB YE NAHI K ALLAH K SAATH US K MEHBOOB KO BHI MEHBOOB RAKHNA ZUROORI HAI??


?????????????????????????????

PLZ REPLY

AND GIVE ANSWER
 

far00qrashid

Newbie
Jan 20, 2008
6
0
0
52
Karachi
Appan ka to iss bare main likte hooe haath kanpta he tom sab log kese ye sab lik leta he. Boot sooch samjh ker lika karo. Buhat bhari baat he appan to ye janta heeee.
Jo tum janta hey wo apan bhi janta hey magar apan tum ko koi nasihat nahi karey ga kioN k appan ney jo likha hey wo bagher sochey samjhey nahi likha:)
 

far00qrashid

Newbie
Jan 20, 2008
6
0
0
52
Karachi
aap nay meri baat nahi samjhi farooq bhai main nay aap ki samj li ...dekhain aap theek keh rahay hain Allah k siwa koi dost nahi hosakta aur Allah nay farmaya

"" ALLAH K DOSTON KO NA GHUM HOTA HAI NA FIKAR""

""AUR MAIN UN KI AANKH..KAAN..ZABAAN..BAN JAATA HOON PHIR WO MERAY AANKH SE DEKHTAY MERAY KAAN SE SUNTAY AUR BAAT KARTAYU HAIN""

YE MAFHOOM HAI AGAR THORI BOHAT GHALTI HOGAI HO TO ALLAH MUAF KARAY

ACHA ZARA MERI IN BATON KA JAWAB DENA ZARA

MUJAY SIRF AAP YE AAP KI KAHI HUI KUCH BATAON KI DETAIL CHAHEY AUR APNAY SAWAAL K ANSWER...

AAP KI BATAIN K JAWAB CHAHTI HOO WO YE HAIN

1)--MUJAY ALLAH KI DOSTI K SIWA KISI KI DOSTI NAHI CHAHEYA

2)--ALLAH K SIWA NA KOI MEHBOOB THA NA HAI NA HOGA

AB MERAY SAWAAL

1)--KIA HUZURAY PAAK KI SHAFA AT K BAGHAIR KOI JANNAT MAIN JASAKTA HAI

2)--JAB QURAN-E-PAK MAIN ALLAH NAY AAP(S.A.W.W) KO APNA MEHBOOB BATAYA TO KIA AAP KO US K MEHBOOB SE DOSTI NAHI KARNI

3)--JAB ALLAH AUR US K FARISHTAY AAP(S.A.W.W) PAR DUROODO SALAM BHAIJ RAHAY HAIN AUR KAHA JARAHA HAI K A IMAAN WAALON TUM BHI AAP (S.A.W.W) PAR DUROODO SALAM BHAIJO TO KIA IS KA MATLAB YE NAHI K ALLAH K SAATH US K MEHBOOB KO BHI MEHBOOB RAKHNA ZUROORI HAI??


?????????????????????????????

PLZ REPLY

AND GIVE ANSWER
Aap ko sms pey jawab dey chuka hoN.......mazeed wazahat chahiey to plz bata deN.
 
Top