Dil jal raha tha gham se magar naghmah gar raha
Jab tak raha mein, sath mere yeh hunar raha
Subah safar ki raat thi tare the aur hawa
Sayah sa aik der talak baam par raha.
Meri sada hawa mein buhat door tak gayi
Par mein bola raha tha jise be khabar raha
Guzri hai kia maze se khyalon mein zindagi
Doori ka yeh talsum bara kar gar raha
Khof aasman key sath tha sar par jhukka hua
Koi hai bhi ya nahi, yahi dil mein dar raha
Is aakhri nazar mein ajab dard tha munir
Jane ka is key ranj mujhe umer bhar raha.